Agli subha Farhan phir se ghar ke bahar chala gaya naya ghar dhundhne ke liye
Lekin shaam ho gayi thi......Ghar dhundte Hue fir bhi Farhan ko koi bhi aisa ghar nahi mil Raha tha jis ka kiraya kam ho.......
aur deposit bhi naa dena pade Kyunki Farhan ke paas deposite dene ke liye paise nahi the aur abhi filhaal uske paas koi kaam bhi nahi tha......
Wo Pareshan ho kar ek garden ke bahar jaa kar baith Gaya tab Farhan ki Mulakat Rida ke chote khalu mustafa se hui........
Rida ke chote khalu Riksha chalate the aur wo waha ek passenger ko Lekar aaye the tabhi unho ne Farhan ko dekha aur uske pass aa gaye........
To Farhan ne unhen Dekhte hi unhen salaam kya asslamualaikum khalu kaise ho aap to mustafa ne Farhan ke salaam ka jawab diya.......
Walaikum assalam main theek hu aur tum bato tum kaise ho aur Yahan kya kar rahe ho.......
Kuch Nahi khalu bas aise hi baitha hu To mustafa ne kaha akle baithe ho Pareshan bhi lag rahe ho kya hua btao shayad main koi preshaani me madad kar Saku.......
Mustafa Farhan se baate karte hue uske sath wahi baitha raha tab Farhan ne mustafa ko pareshani batayi.......
Main Ghar dhund raha hu jiska kiraya kam ho aur deposit bhi naa dena pade Kyunki mere pass paise nahi hai aur abhi mere pass kaam bhi nahi hai......
Lekin mujhe aisa ghar mil hi nahi raha kya karun samjh nahi aa raha Kuch din me ghar khali karna hai......
Tab mustafa ne Farhan se kaha agar aisi baat hai to tum mere ghar pe raho deposit dene ki jarurat nahi aur kiraya bhi main jiyada nahi lunga hisab se lunga........
Lekin khalu aap ke paas extra room kaha hai 2 room ka ghar hai aapka usme se ek chota Kitchen room hai aur dusra jo bada hai usme aap log sote ho.......
Haa extra room nahi hai mere paas lekin tum mere kitchen room reh sakte ho ek taraf hamara kitchen ka saamaan hoga ushi me dusri taraf tum apna saamaan laga dena........
Accha theek hai khalu aap ka shukriya me Kuch dino me apna saamaan aap ke ghar me sift kar lunga.........
Mustafa se baat karne ke baad Farhan sidha Apne ghar gaya aur Rida ko bataya ki mustafa khalu se Mulakat hui thi.......
Aur ghar ke baare me baat hui unse to unho ne kaha ki ham unke ghar pe rah sakte hai aur wo kiraya hisab se lenge...
Accha lekin khalu ke paas to extra room nahi hai to ham waha kaise rah sakte hai....
Haa main ne bhi kaha khalu se to unhone kaha ki ham unke kitchen room reh sakte hai ek taraf unka saamaan hoga ushi me dusri taraf hamara saamaan hoga.......
Haa lekin kitchen room to chota hai unka fir ham kaise rahenge......
Main Jaanta hu lekin ham kar bhi kya sakte hai Hamen ghar mil bhi nahi raha isliye hame adjust karna hoga......
Haa sahi kaha aap ne to bataiye fir ham kab saamaan shift karenge.......
Ham 2 din me shift ho Jaenge khalu ke waha tum saara saamaan pack karlo.....
Haa theek hai main sifting ki taiyari karti hu ye kahkar Rida sochne Lagi ke ham kaise rahenge waha.....
Farhan ke paas kabhi kaam hota hai kabhi nahi main kaise Mushkil se ghar chalati hu aur Farhan ka ghussa jiski wajah se Farhan kai baar mujhe maarta hai.......
Ye saari baate main ne kabhi kisi ko nahi batai naa hamare Mushkil halato ke baare me kisi ko Kuch pata lagne diya
Lekin agar ab ham khala khalu ke ghar rahenge to sab ko pata chal jaayga.......
YOU ARE READING
safar zindagi ka 🍁
General FictionSafar Zindagi Ka ye Kahani Hai Rida aur Rizwan ki Unki Zindagi Mein Kitne utaar chadhav ate Hain aur wo kaise apni zindagi ke utaar chadhav se Paar hokar apni zindagi Mein Khush rahte hain🍁