safar zindagi ka🍁 part 16

28 2 0
                                    

Agale Din Farhan Maya ko Lekar Uske Gaon ja raha tha to to pure Ghar wale Maya ko bye Kahane ke liye darwaje Tak Aaye The lekin Rida Nahi aai wo hall Me Zeenat ko Lekar sofe per Baithe Rahi

Maya aur Farhan ke jaane ke baad Zarina Rida ke pass aai aur Rida se Kahane Lagi Ki Dekha Tumne Kaise kal Ham Maya ko kah rahe the ki mat Jao To maya Nahi Mani aur Rizwan ke Kahate hi fauran man gai thi.......

Aur aaj Kitna Khushi Se Rizwan ke sath ja rahi thi Tumhen dekhna chahie tha Bahar Aakar.......

Yah sab sunkar Rida ko bahut gussa aa raha tha lekin wo Janti thi Zarina ki fitrat ko wo samajh rahi thi ki Zarina Rida ko Farhan Ke khilaf bhadka Rahi Hai isliye Rida ne Zarina se kuch nahi kaha usne Zarina ko Ehsas hone nahi diya ki Uske Dil Mein Aag Lag Rahi Hai..

Farhan Maya ko Lekar Uske Gaon pahunch gaya to maya Ne Farhan Se Kaha ki aaj Yahi ruk jao Raat Hone Wali Hai kal chale jana aur apne Doston Se bhi mil lena......

To Farhan Ne Maya Se Kaha ki Mujhe Jana Hoga Rida Mera waite kar rahi Hogi.......

To maya ne kaha ki tum itne Waqt Ke baad Yahan Aaye Ho aur Agar Apne Doston Se Nahin Miloge To unhen Bura lagega isliye please ruk jao......

Maya ke bahut Kahane ke baad Farhan vahin ruk gaya........

Raat ho chuki thi Rida Zarina aur uske bacchon ke sath baithkar khana kha rahi thi to Zarina Rida se Kahane Lagi ki Pata Hai Rida Jaise Rizwan ne Anjan shahar jakar Tumhen Pasand Kar liya aur tum se shaadi kar yaha Lekar aaya agar aisa mera beta Karta na To Main garam garam Tel uski biwi ke upar Dal deti......

Yah Sun kar rida bahut Dar Gai thi usne fatafat khana khaya aur Zeenat ko vahan Se Lekar Apne Kamre Mein Chale gai use ghabrahat ho rahi thi Kyunki Farhan Wapas Nahi aaya tha......

aur uske dimag Mein Zarina ki baten ghoom rahi thi to usne jaldi se apne Kamre ka darvaja band kar diya aur Zeenat ko Lekar so gai......

Farhan ko Maya Ke Gaon gaye hue 3 Din Ho Chuke the lekin Farhan Wapas Nahi aaya tha........

Is baat ki vajah se Zarina Hamesha Rida ko bhadkane ki koshish karti thi lekin Rida Zarina se sirf Itna kahati ki koi baat nahi aap ke Bhai Ko Jitna ghumna Hai ghume lekin ghoom FIR kar aaenge to mere pass hi........

Farhan ke yahan na hone ki vajah se Rida Hamesha Zeenat ko Lekar Kamre Mein Hi rahti........

Kyunki use Zarina se dar lagta tha use ghabrahat hoti Thi ki Farhan ke Yahan na hone ki vajah se Zarina uske sath Kuch karna De.......

Pure 5 Din baad Farhan Maya Ke Gaon Se Wapas Aaya Tha rida ko bahut jyada gussa aa raha tha.......

to Farhan Rida ko Samjha raha tha Kah Raha Tha ki main wapas Aana Chahta tha jaldi lekin Mere vahan ke dost Mujhe Aane Nahi de rahe the......

Kai Saalo ke bad mein un Logon se mila tha Jis vajah Se Main Nahi Aaya wapis vahin ruk gaya........

Dekho Main Jaanta hun pahle hi Tumhen Yahan Rahane me bahut taklif ho rahi thi aur Aise Main Tumhen Yahan Akela Chhod Kar Chala Gaya.........

is vajah Se Tumhara naraj Hona banta hai lekin tum fikra mat karo Ham kal hi yahan se chale Jaenge..........

Uske baad Rida maan gai Aur agale Din Farhan Rida ko Lekar Apne Ammi ke ghar chala gaya........

Farhan Rida ko Lekar Apne Ammi ke ghar pahunch gaya Rida ko Apne saas ke Ghar Me Rahane me koi problem Nahi Thi Kyunki Rida ke saas aur Chhoti nanad Rida ke sath acche se Rahte the....

Lekin Rida jitne Din Zarina ke ghar Rahi wo bahut Pareshan thi wo Jab bhi Zarina ko Yaad Karti to use tension Hota tha uske liye Zarina ke ghar mein bitae Hue Kuch mahine bahut taklif bhare the.........

safar zindagi ka 🍁Where stories live. Discover now