Rida ko apni SAAS ke letter par barosa tha lekin aaj Farhan Jis halat mein Ghar Wapas Aaya Tha use Dekhkar Rida ke Ghar Walon Ko bhi yakeen ho gaya tha ke Rida ki SAAS ne Jo Kuch Bhi likha Tha use letter mein wo Sach likha Tha............
Dopahar Ho Gai thi Farhan bacchon ke sath room mein Baitha tha Rida Farhan ke liye khana le I khana Garam tha........
jaise hi Farhan ne khana khaya uska Munh Jal Gaya to Farhan ko Itna gussa aa Gaya ki usne Rida per hath uthaya use mara aur gussa Karne Laga.........
Farhan Rida se Kahane Laga Tum Itna garm khana Kaise Lekar I Mere Liye tum kya chahti ho ki main Garam khana Khao Mera Munh pura Jal Jaaye bus aise hi ulti sidhi batene Farhan Rida Se Kahane Laga..........
Rida rone Lagi usne Farhan ko Shant karane ki koshish ki Lekin Farhan Shant Nahi ho raha tha aur ghusse Se Ghar ke bahar Chala Gaya..........
Farhan ke ghar Aane Ki vajah se Rida Ke Dil Mein sukoon To tha lekin Farhan ki Aisi Halat Dekhkar use Farhan ki bahut Fikar ho rahi thi.........
Farhan pura din ghar ke bahar Bhukha Pyasa firta Raha Raat Ho Gai to Ghar Aaya Rida ne Farhan Se Kaha Kya Main khana Lekar aaun aapke liye.......
Farhan Ne Rida se gusse mein kaha Nahi Koi jarurat Nahi Hai Main khana Nahi khaunga.........
Aisa mat kijiye khana kha Lijiye aapane dopahar mein bhi Kuchh nahin khaya....
mujhe nahi khana Tum fir se mera Muh Jala dogi..........
Nahi main khana Thanda Lekar aaungi aap kha Lijiye.......
main ne kaha na tumse mujhe nahi khana samajh Nahin Aata Tumhen......
Farhan Ne gusse se chillate Hue Kaha.....
Uska gussa Dekhkar Rida Dar Gai aur Khamosh ho gai Uske baad wo dono so gaye.........
Agale Din rida ne Farhan ko Thanda nashta lakar diya.......
Farhan nashta Karke Baitha Hi Tha ke Irfan aur Rida ke Ammi Abba Farhan se Kahane Lage.........
Farhan Kolkata jaane se pahle Tumne Humse karza liya tha Humne wo karza loan per uthaya tha.......
uska loan bahut badh gaya tha To Humne wo karza chuka Diya lekin ab Hamen paison ki jarurat hai isliye Tum Hamen paise kab Lauta rahe ho.......
Farhan Ki dimagi Halat Ab Bhi barabar Nahi thi lekin Fir Bhi Rida ke ghar wale is baat ki Parvah kiye Bina Farhan per karza lautane ka pressure Dal rahe the...
Main Kahan Se lakar Dun aap logon ko paise mere pass Kuchh Nahi Hai.......
Dekho Farhan agar tum Hamen paise Nahi de sakte to Tumne Jo plot kharida tha Tumhen wo plot bechna hoga.......
Un logo ki baat sunte hi Farhan ne ghusse se kaha aap sab Mujhse ye kaise kah Sakte Hain Main Mera plot Nahin bechunga.......
agar tum apna plot Nahin bechna Chahte to theek hai hamara Paisa lauta do abhi ke Abhi........
main kahan se lakar Dun Aapka Paisa mere pass Nahi Hai.........
Tumhare pass paise nahin hai isiliye Tumse kah Rahe Hain Ki Tumhen Tumhara plot bechna Hoga Hamen Hamare paise chahie Chahe Jo Ho Jaaye.
Main ne bahut mehnat se wo plot kharida tha mujhe bahut pasand hai wo plot Main Nahi bechunga aap logo ko jo karna hai karo.........
Farhan ka gussa badhane lag gaya tha wo Rida ke gharwalon se jhagada Karne Laga........
lekin Rida ke gharwalon Ko Farhan Ki Halat per thoda bhi Taras Nahi aa raha tha unhe Bus Apne paison se matlab tha
dono ka jhagada bahut Badh Raha Tha aur Rida Khamosh thi Kisi Se Kuch Nahin kah rahi thi........
YOU ARE READING
safar zindagi ka 🍁
General FictionSafar Zindagi Ka ye Kahani Hai Rida aur Rizwan ki Unki Zindagi Mein Kitne utaar chadhav ate Hain aur wo kaise apni zindagi ke utaar chadhav se Paar hokar apni zindagi Mein Khush rahte hain🍁