Farhan Riksha chalane ke liye ghar se nikalne hi wala tha tab usne Rida ke ammi abba ko dekha........
Un dono ko dekh kar Farhan ko ghussa to bahut aaya lekin usne Apne ghusse pe control kiya aur un dono ko salaam kiya.
Asslamualaikum khala khalu Rida ke ammi abba ne Farhan ke salaam ka jawab diya Walaikum assalam.........
Uske bad Farhan ne Rida se kaha Main kaam par jaa raha hu sidha raat ko hi ghar aaunga.........
Kya aap dopahar ko khana khane ghar nahi aaenge (Farhan har roj dopahar ka khana khana ghar aata tha) lekin Aaj Rida ke ammi abba ke wajah se wo ghar nahi aa raha tha..........
Nahi main nahi aaunga tum dopahar me Kuch accha khana bana kar apne ammi abba ko khilo.........
Aaj 2 saal baad tum apne ammi abba se mil rahi ho isliye saath me khana khao aur pure Din apne ammi abba ke saath Waqt bitao..........
Main un dono se baat karungi to kya aap ko is baat se koi problem nahi hogi mera Matlab mere mayeke walo ne jo Kuch bhi aap ke saath galat kiya...........
uske bawajud aap mujhe permission de rahe ho unse baat karne ki..........
Haa mujhe koi problem nahi hogi wo tumhare ghar wale hai main jaanta hu tum un logo se baat karna chahti ho......
Isliye tum jaise un logo ke saath pahle rahti thi waisa raho baate karo khana khao main tumhe kabhi nahi rokunga....
Lekin ek baat hai jo main tumse kehna chata hu ke main unhe kabhi maaf nahi kar paunga.......
Jab main tumhare paas Nahi tha tab tumhare saath un logo ne kitna bura bartaav kiya tha.........
Jab Maine wapis aaya to un logo ne mere saath bhi bahut galat kiya hame alag karna chaha tum ye baate bhul kar unhe maaf Kar sakti ho lekin main nahi..
Wo kehte hai na ke apno ki phechan bure Waqt me hoti hai to hamre bure Waqt me main ne un logo ko pehchan
Liya ke wo kitne apne hai...........Isliye main un logo se dur hi accha lekin tum fikr mat karo main tumhe unse milne ke liye kabhi Nahi rokunga..........
Aur ye main un logo ke liye nahi Kah raha ye main tumhare liye kah raha Kyunki us bure Waqt me tumne mera saath nahi choda.........
Farhan ki Baton ki wajah se Rida bahut khush ho gai Kyunki ke Farhan ne Rida ke ghar Walon ko maaf nahi kiya fir bhi usne Rida ko nahi roka unse milne ke liye aur baat karne ke liye..........
Farhan kaam par chala gaya uske baad Rida ne apne ammi abba se baate ki aur un logo se kaha ke wo dopahar ka khana uske paas hi khaye..........
Uske baad usne dopahar ke kahne ke liye biryani banai aur apne ammi abba ko khilai..........
Rida ne us din apne ammi abba se bahut baate ki aur use pata hi nahi chala ke kab din beet gaya aur raat ho gai........
Rida beta ab ham dono heena ke ghar jaa rahe hai heena se milne raat ko wahi kahana kha kar so jaayenge...........
Aur kal wapis Solapur jaa rahe hai......
Kya aap log aaj aaye aur kal hi wapis jaa rahe ho itne jaldi please Kuch din ruk jaiye.......
nahi beta ham to bas yaha tumse milne aaye the tumhara haal jaanna chahte the tum se mil liye ab bas kal wapis jaayenge.........
Uske baad Rida ke ammi abba heena ke ghar chale gae......
12 bajne ko aaye the lekin Farhan abhi tak ghar nahi aaya tha Rida ne zeenat aur zeeshan ko khana khila kar sula diya.......
Aur khud khana nahi khaya Farhan ka Intezar Karne lagi ke Farhan aayega to uske saath khana khaegi.......
YOU ARE READING
safar zindagi ka 🍁
Fiksi UmumSafar Zindagi Ka ye Kahani Hai Rida aur Rizwan ki Unki Zindagi Mein Kitne utaar chadhav ate Hain aur wo kaise apni zindagi ke utaar chadhav se Paar hokar apni zindagi Mein Khush rahte hain🍁