Kya Baat Hai Farhan bahut khush lag rahe ho aaj.........
Haa Shahmeer bhai bahut Khush to hun main aaj...........
Achcha aisa kya hua.......
Main ne Meri Ammi se baat ki aur unhen bata Diya Mere Aur Rida ke bare me ki Mera Rishta pakka ho gaya hai Mangni ho gai hai...........
Achcha to kya Kaha Tumhari Ammi ne naraj Hui hongi na Tumse.......
Nahi bhai meri ammi bahut acchi hai mujhse bahut pyar karti hai wo Kabhi Mujhse naraj Nahi Hoti Chahe main Kuch Bhi karu........
Main ne unhen bataya Sab Kuch kya kaise hua........
Thoda unhen Afsos hua tha ki wo Meri Mangni Mein Nahi Shamil Ho saki lekin wo khush ho gai yah sochkar Ki Main Yahan settle Ho Gaya..........
Unki Yahi Khwahish thi Ki Main khush raho apni life mein.............
mujhe bahut bura lagta hai meri Ammi Mujhse Itna Pyar Karte Hain Main Bhi meri ammi se bahut pyar karta hun lekin halat ne mujhe meri Ammi Se Dur Kar Diya...........
Jaanta hun Bhai Main Tu Teri ammi se Kitna Pyar Karta Hai har roj unhen Kitna Yad karta hai..........
lekin Tu yah bhi to Soch ho sakta hai ki Rida Se milane Ke Liye Hi Teri Zindagi Mein yah sab hua........
Varna tu aur Rida kaise Milte Ek India ke East mein rahti hai to dusra West mein Naseeb Mein Tum donon Ka Sath likha tha........
isiliye to Tu Kolkata se Mumbai aaya Saqib ke ghar mein Ruka aur Rida Teri aur Mulakat Ho Gai.........
Han ho sakta hai ki meri aur Rida ki Mulakat Aisi likhi ho lekin iski mujhe bahut badi kimat chukani Padi Apne gharwalon Se Dur hokar.......
Ab tu yah sab Soch kar Udaas mat ho khush rahe Tere Ammi bhi to khush hai na fir aur Tujhe Kya chahie Teri Rida se shaadi Hone Wali Hai........
Isliye purane Baaton ko bhul ja aur apni life mein khush rahe Aane Wale kal ke bare mein Soch bite Hue kal ke bare mein nahi........
Han bhai yah Baat To Hai purani Baton Mein Kuch Nahi Rakha main bahut khush hun apni life mein Aur Meri zindagi ka aaj ka Sach sirf yahi hai.......
Aise hi dono bhai ne bahut der tak ek dusre se baten ki........
Aise hi Waqt bitane Laga Farhan aur Rida ke mangne ko 4 mahine Ho Chuke the Farhan ki taraf se shaadi ki batchit karne ke liye masuma Khala hi thi.......
masuma Khala Ne Faisla Kiya ki wo Solapur Jayegi zufar Heena aur Farhan & Rida Ki shaadi ki tarikh fix karne ke liye........
khala Ne Farhan Se Kaha wo Solapur ja rahi hai shaadi ki tarikh fix karne ke liye.......
Farhan khush ho gaya usne khala se kaha ki wo Kuch gift Dena Chahta Hai rida ko please Khala aap Rida ko Mera Diya Hua gift de dijiye......
han theek hai jo bhi gift hai de do main De Dungi rida ko........
Ab Masuma Solapur aa chuki thi wo apni beti Ke Ghar gai pahle......
Aur unhone rida ke ghar phone kiya aur bataya Ke wo Solapur a chuki hai to Aaj Raat hi shaadi ki tarikh nikaalne wo Ghar aa Jayegi......
rida ki Ammi yah Baat Janti thi Kyunki Jabeen aur Masooma ki batchit phone per hoti thi isliye Jabeen ko Pata Tha Masuma Ke Solapur aane ka......
masuma Jabeen ke ghar gai wo Logo Ne dinner kiya aur batchit ki unhone Faisla Kiya ke dono Bahanon ki shaadi ek hi din me ek saath Karenge aur unhone 22 January ko Heena aur Rida ki shaadi ki tarikh fix ki.......
YOU ARE READING
safar zindagi ka 🍁
Ficción GeneralSafar Zindagi Ka ye Kahani Hai Rida aur Rizwan ki Unki Zindagi Mein Kitne utaar chadhav ate Hain aur wo kaise apni zindagi ke utaar chadhav se Paar hokar apni zindagi Mein Khush rahte hain🍁