Ghar aa kar Farhan bahut roya itna roya ke use dekh kar rida ke bhi Aankhon me Aansu aa rahe the.........
Lekin Rida ne Farhan se Kuch nahi kaha naa hi use kisi baat ki taslli di.......
Kyunki ye baat bahut badi thi ke Farhan ki Ammi ab is duniya me nahi thi aur Farhan ko is baare me Kuch pata bhi nahi tha.......
Isliye rida ne Khamosh rehena behtar samjha wo Farhan ko taslli deti bhi to kya kahkar deti..........
Aise hi 8 din nikal gaye in 8 dino me Farhan kaam par bhi nahi gaya........
Aur naa hi ghar se bahar gaya na kisi se mila wo bas ghar me ek kone me baithe rote reheta........
Wo itna ro raha tha ke uski Awaaz bhi baith gai thi........
Rida ko Farhan ki fikr hone lagi use lag raha tha ke agar Farhan aise hi bas rota raha to uski tabiyat na kharab ho jaye...
Wo Farhan ko samajhane ki koshish kar rahi thi lekin Farhan Kuch samajhane ko taiyar hi nahi tha........
Use bas ye baat yaad aa rahi thi ke uske ammi ki wajah se wo jinda aur sahi salaamat hai..........
Lekin apni ammi ke akhri Waqt me wo apni ammi ke paas nahi tha...........
Naa meri ammi se akhri baar baat hui naa main ne akhri baar apni ammi ko dekha...........
Aur 3 mahine baad mujhe malum hua ke meri ammi is duniya me nahi hai ab...
Wo ye sab baat Rida se kahkar bas roe jaa raha tha Farhan ki baat sunkar Rida Khamosh ho gai ...........
Raat ho gai sab so gae Farhan bhi rote hue so gaya Lekin us raat Farhan ke Khuwaab me Farhan ke Ammi aaye........
Rizwan beta tum ro kyu rahe ho tum rote ho to mujhe accha nahi lgata tum jaante ho na..........
Fir kyu ro rahe ho dekho meri baat suno beta rona band kar do...........
tum khush rahoge to mujhe accha lagega
Aur meri fikr mat karo me theek hu aur khush bhi.........Ammi mujhe maaf Kardo main aapke paas apke saath nahi tha..........
main tumse naraz nahi hu beta isliye meri baat mano aur apna Khyal rakho....
main tumse bahut pyar karti hu aur meri dua Hamesha tumhare saath rahegi.........
Farhan ki ammi ne Farhan ke sar par haath rakha uske mate ku chuma aur chale gai............
Farhan ki Aankh khul gai aur sab se pahla lafaz Farhan ke muh se nikla ammi.........
Subha ho gai Rida uth chuki thi Farhan ke muh se ammi sunkar Rida ne Farhan ki taraf dekha aur kaha kya hua........
To Farhan ne Rida ko rote hue bataya mere ammi aaye the mere khuwaab me.
Aur mere sar par hath rkha mata chuma aur khush rahene ke liya kaha aur unhone ne mujhe kaha ki unki dua Hamesha meri saath rahegi.........
Aap ke ammi aapse bahut pyar karte the Isliye wo aapko rote hue nahi dekh sake
Haa tum sahi kah rahi ho mere ammi mujhe se pyar karte the.........
Uske baad Farhan uth kar nha kar ready ho gaya aur Rida se kaha nashta lao mujhe kaam par jana hai.........
Rida ko ye Dekhkar Khushi hui ke Farhan ne apni ammi ki baat maanli.....
Uske baad Farhan har roj fir se kaam par jaane laga apni normal life jeene laga apni Bahano ka haal jaanne ke liye unhe phone karke unse baat karne laga
YOU ARE READING
safar zindagi ka 🍁
Fiction généraleSafar Zindagi Ka ye Kahani Hai Rida aur Rizwan ki Unki Zindagi Mein Kitne utaar chadhav ate Hain aur wo kaise apni zindagi ke utaar chadhav se Paar hokar apni zindagi Mein Khush rahte hain🍁