Update-16

7 1 0
                                    

Dhima dara huaa tha. Par fir bhi vo kabhi himmat nahi harta tha. Kumutra ne jab chikh mar ke jane ko kaha to. Dhima ek bar kap gaya. Pas jo gav tha. Vaha ke logo ko jinn ke bare me pata tha. Is lie koi bhi dar ke mare ghar se bahar nahi nikla. Dhima khada huaa or fir gir gaya. Dhima kumutra ka bhayanak chahera dekh ke ghabra raha tha. Vo fir khada huaa or lagdate hue chalne laga. Uske pau me khoon nikal raha tha.

Jab kumutra ki najro se dhima dur huaa to kumutra dhan kheti ke pas hi jamin pe gir gai. Vo ghayal thi.

IMG-20210304-145716

Chuelo ki ek khasiyat hoti he. Unke ghav bahot jaldi bharte he. Magar jitni jaldi bharte he. Unhe khoon ki jarurat hoti he. Unhe bukh mitani hi padti he. Kumutra ke ghav bhar gae or vo khadi hui. Gav ke pas pir baba ki majar thi. Vo sidha aage nahi ja sakti thi. Is lie vo udd kar ghum ke jati he. Dhima ek hath me potli lie dhire dhire aage badhne laga. Vo gav bhi par kar leta he. Use ek pipal ka ped dikhai deta he. Use nahi malum tha vo pipal kabristan ke kinare par tha. Dhima ke pau me bhi dard hone laga. Vo ped ke niche pahocha or potli rakh kar late gaya. Uski ankhe band hi hui ki use laga koi uske upar latne ki kosis kar raha he.

Vo chhatpatane ki kosis karta he ki use kumurta ki aavaj aati he.

Kumurta ; are daro nahi me hu.

Dhima ; tum. (Smaile)

Dhima ke chahere par mushkan to aai. Par uski ankhe nahi khul rahi thi. Jese uski palko pe kisi ne gum dal diya ho. Uski palke chipak hi gai.

Dhima ; are meri ankho ko kya huaa he.

Kumutra ke hasti he.

Kumutra ; (smaile) ye mene kiya he. Tum muje dekh nahi paoge.

Dhima ke chahere par bhi pyari si mushkan fel gai. Kumutra dhima ki chhati par sar rakh kar dhima ke upar hi late gai.

Dhima ; (smaile) aaj to tumne bacha hi liya.

Kumurta ; bach to tum pahele hi gae the. Ye to usne tumhe marne ki tthan li thi. Aaj nahi to kal vo kese bhi tum tak pahoch jata. Is lie mar diya.

Dhima ; vo jinn tha na??

Kumurta ; ha jinn tha.

Dhima ; paheli bar dekha jinn. Padha to bahot tha. Lekin vo esi jagah par. Lagta he napak tha.

Kumurta ; are wah tumhe ye sab pata he.

Dhima ; ha pata he. Ese jinn sum sahan ilako par. Ya kahi gandi jagaho pe rahete he. (Smaile) or ye bhi pata he tum ghayal ho or tumhe kese bhi khoon ki jarurat he.

Kumurta bhi chok gai. Dhima bhut preto ke bare me bahot jankari rakhta he.

Kumurta ; lekin yaha koi janvar nahi he. Meri bhukh kal rat tak hi mitegi.

Dhima ; are fikar kyo karti ho. Mera khoon pi lo. (Smaile) apne biwi bacho ka pet bharna bhi to pati ka kam hota he.

Dhima ki pyari bato pe kumurta ko pyar aane laga. Vo dhima ke galo pe pyari si chamat marti he. Dhire se. Or dhima ke hotth chum kar boli.

Kumurta ; (smaile) tum bahot pyare ho. Adam jat kahi ke. Me tumhara khoon nahi pi sakti tum kamjor ho jaoge.

Dhima gussa se bola.

Dhima ; pagal mat bano kumurta. Tumhe khoon ki sakt jarurat he. Tumhe meri kasam.

Kumurta ko apne pati ki bate bahot achhi lagi. Khas kar uska khayal rakhne ka tarika.

Kumurta ; off fo. Chudel kabhi kashme manti he kya? Vo sirf vade manti he. Ha pi rahi hu. Veae bhi tumhara khoon bahot josila he.

Kumurta ne dhima ko ulataya or uske hips pe hath ghuma kar late gai.kumurta ne dhima ke kandho par dat gadha diye or khoon pina suru kar diya. Kuchh palo me dhima behosh ho gaya. Kumurta uske pas betthi yahi sochti rahi. Kahi usne galti to nahi kar di.

Saya- A Horror love storyWhere stories live. Discover now