Hassan house dhoop ki tamazat tale jhulas raha tha. Uske unche khubsurat sutoon aur qeemti patthron juda dakhili darwaza uski shaan o Shaukat ka alambardaar tha. Wajid hassan sarbarahi kursi per birajman khamoshi se naashta kar raha tha. Hall mein mehez kaante aur chammach ki awaaz goonj rahi thien. Ek jaanib iPad khula rakha tha aur wo saath saath e-mails neeche karta ek nigaah daal raha tha.
Saath baithi mariya ne us per ek Nazar daali thi. Unki aakhri talqi kalami ke baad se wo dono hi ek dusre ko nazar andaaz kar rahe the.
"Kya hum ek dusre ko kisi teesre fard ki wajah se ignore karte rahenge?" Usne kaante se ande ka tukda muh mein rakhte hue, sapaat lehje mein pucha tha. Wajid ka haath lamhe bhar ko theher sa gaya tha. Phir usne nazrein uski jaanib pherin.
"Teesre fard ko tum laayi thien darmyaan mein."
"Tum itne paarsa nahi ho, wajid." Wo talqi hui thi. Usne kaanta zor se plate mein rakha toh kitchen mein khade naukar sehem se gaye.
"Meine kabhi bhi bad diyanati nahi ki hai is rishte mein. Kabhi bhi use palat kar nahi dekha meine."
"Meine kaha na tum itne paarsa nahi ho. Tum aaj bhi use yaad karte ho." Mariya ko apni aankhein dehekti mehsus ho rahi thien. Use kisi pal chain nahi aata tha. Wajid ne zabt se uski jaanib dekha.
"Bohot hogaya, mariya. Mein use bhoolna bhi chahun toh nahi bhool sakta. Kyunke tum mujhe bhulne hi nahi deti ho."
"Aisa kya hai us do take ki actress mein Jo tum use Aaj Tak apne dil se nikaal nahi sake ho? Na aqal hai. Na shakal hai. Na status hai. Naahi aqlaaqiyaat hain. Na asar o rasoq hain. Hai kya aakhir uske pass?" Wo hathe se ukhd gayi thi. Wajid ne lamhe bhar ko use afsos se dekha tha. Ye aurat apna ghar khud barbaad karne per tuli hui thi.
"Uske paas. Masumiyat hai. Bohot shaffaf dil hai. Munafiqat se khaali. Mohabbat se bhara dil hai. Bagair kisi tafreeq ke mohabbat dene per raazi dil hai uske paas. Aur ye tumhare pass nahi hai, mariya." Usne theher theher kar. Ek ek lafz alehdagi se kaha tha taake wo use puri tarah sun le. Aur mariya hassan ne use sun liya tha. Use apni kanpattiyan jalti mehsoos ho rahi thien. Uske chehre par bohot khaufnaak tasuraat ubhar aaye the.
"Tum chaho bhi toh waisi nahi ban sakti. Duniya ki koi bhi ladki chahe toh mere liye saleena mazhar nahi ban sakti. Mein chahun bhi toh uski masum aadatein nahi bhula sakta. Is duniya ki har Shay mujhe uska bedaagh wajood yaad dilati hai. Kya kuch aur bhi sunna hai tumhein?" Usne tezi se kursi ghaseeti aur hall se bahar nikalta chala gaya. Peeche mariya ko jaise hatak aamez jumlon per yakeen nahi aa raha tha. Wajid hassan ne kayi saalon us jawab ko dene se khud ko baaz rakha tha. Lekin ab. Uska sabr apni hadh ko pohonch chuka tha.
Ghar mein har taraf Khamoshi chah gayi thi. Yun goya kabhi us ghar mein kisi nafs ne kalaam ko zehmat di hi na ho.
________________
Agle din uski car theek ho kar wapas aa chuki thi. Isi liye wo aaj agency aayi thi. Yuwal ne use kaha tha ke wo aaj director se baat karega. Saath hi nazar ne uske comeback ke liye ek photoshoot tarteeb de diya tha. Kuch na kuch kaam use milta toh behtar tha.
Halke gulaabi rang ka libaas Zebtan kiye wo bohot khubsurat lag rahi thi. Uski jaalidaar aasteenein hatheliyon tak aati thi. Seedhe baalon ko ek jaanib kandhe par daale wo aitmaad se aage badh rahi thi. Gardan par nishaan albatta zarur maujood tha. Dress ka gala choker tha isi liye use gardan mein gulaabi rang ka dress se match karta maflar lena pada. Uske fashion mein kisi ko kya ehsaas hona tha bhala.
Office ki jaanib badhte hue use yuwal dur se hi nazar aa gaya tha. Wo shayad phone per kisi se mahve guftagu tha. Saleena ne use haath hilaya aur phir pass chali aayi. Wo uske director se hi baat kar raha tha. Uske chehre par aas wa umeed ke dooray chadhne lage.