Wo sun hue chehre ke saath nazar ke office mein baithi thi. Wo aur yuwal mustaqil phone per reporters ko is phaili afwah ke baare mein brief kar rahe the. Unke halaq ek hi baat karte khushk hone lage the.
"Nahi sir. Aisi koi baat nahi hai. Wo selena ka bodyguard hai. Wo usse zyada kuch nahi hai." Nazar ne peshani per ubharta paseena saaf karke kaha tha. Yuwal bhi usi qism ki baatein karke reporters ko mutma'een kar raha tha. Kuch pal baad nazar ne apna phone off karke uski jaanib dekha tha.
"Kya tum jaanti ho ke actress ki zindagi ko kya cheez kha jaati hai?" Usne nazrein utha kar nazar ki jaanib dekha tha.
"Afwahein. Afwahein uski zindagi ko tabah kar deti hain. Tum ek scandal se nikal kar dusre mein yun bagair break ke dakhil nahi ho sakti. Tum aise tabah ho jaogi. Saikdon actress aise hi tabah hui hain." Uski hatheliyon per mehendi abhi tak maujood thi. Lekin ab wo bhari surat iqtiyaar karti jaa rahi thi. Jis musarrat ke bulbule mein wo qaid thi, wo bulbula phat chuka tha. Ab haqeeqat muh khole uske saamne khadi thi. Aisi haqeeqat jisse uski hayat tak kadwi ho gayi thi.
"Ab meri baat dhyan se suno." Usne use kaha toh wo uski jaanib khaali khaali nazron se dekhti rahi.
Usi peher nichle floor per raahdaariyon mein tamaam guards ke darmyan salman Abid ne yasir ko apni jaanib mutawajja kiya tha. Wo sapaat chehra liye unke hukm ka muntazir tha.
"Media bulao. Tum abhi press conference mein uske aur apne taluq ka inkaar karoge. Tum usse ek do dafa ke alawa nahi mile. Na tumhein uske maamlaat mein dilchaspi hai. Chand haadsati footage ko apna rang diya ja raha hai. Tum is taluq ko aise pesh kiye jaane ki muzammat karoge. Ye hamare department ki izzat ka sawal hai." Usne hukm sun kar sar hilaya tha. Lab ek seedhi si lakeer mein band the.
"Tum press conference mein is taluq ko baatil qaraar dogi. Tumhara us guard se koi taluq nahi hai. Tum is baat ka. Sab ko yakeen dilaogi. Tum isi conference mein apni maa ki giraftari ka bayan bhi dogi. Tumahari maa ko is jurm mein fabricate kiya ja raha hai. Phansaya ja raha hai use. Tum sab ko yahi kahogi. Reporters ke fuzool sawalat ke jawabat dene ki zarurat nahi hai. Aitemaad se muskura kar baithi rehna. Unhein apne aane wale project ke baare mein batana. Unhein ye tasur dena ke tumhein is sab se koi farq nahi padta. Tum sukoon se apna kaam kar rahi ho." Usne gehra saans liya tha. Aur phir usne sar asbaat mein hilaya.
Nichle floor per salman ab tak yasir ki jaanib mutawajja the.
"Aur tum. Aindah. Selena mazhar se. Kabhi nahi miloge. Agar tum uske aas paas dikhai diye. Toh tumhein suspend kar diya jayega. Tum use nahi jaante. Tumhein usse koi sarokaar nahi hai. Got it?" Usne salman ki baat sun kar sar asbaat mein hilaya tha. Wo samajh gaya tha.
Press conference ke liye media ko bulaya gaya. Pehla bayan Yasir ne diya tha.
Dusra bayan shaam ko rakha gaya tha. Agency ka wasee hall safed chamchamate tiles se mazeen tha. Selena reporters ke jam e ghafir ke saamne maujood thi. Camera ka click click, flash lights aur uske saamne maujood besh o bahaar mics. Wo sab uska bayan sunne aaye the. Usne lab waakiye. Muskurayi. Usi peher yasir agency ke dakhili darwaze ki jaanib badha tha. Wo uski awaaz sun sakta tha. Lekin wo intehaai sanjeedgi se asar liye bagair bahar ki jaanib badhta ja raha tha.
"Nahi." Usne halaq mein ubharti girhein nigal kar shuru kiya tha.
"Mein yasir alam ko nahi jaanti. Unse ek do dafa mulakaat ek mukammal ittefaq hai."
Uske kadam nahi ruke. Wo dakhili darwaze tak pohonchne wala tha.
"Uske do dafa ki mulakat ko galat tasur diya ja raha hai. Mera yasir se koi taluq nahi hai."
"Yasir alam mere liye ek ajnabi ki haisiyat rakhte hain. Unhein agar mere saath ramp per dekha gaya hai toh wo ek script ke tehet dekha gaya hai. Meri zindagi mein aise guards ki koi jagah nahi." Wo muskura kar bolti ja rahi thi. Halaq mein girhein lagti ka rahi thien. Saath saath dil bhi band ho raha tha.