Fajr beete waqt guzar chuka tha. Safed mehel ke kitchen se utha patak ki awaazein aa rahi thien. Maghribi tarz per bane safed kitchen mein har shay saaf suthri thi. Dada darmyani gol table per baithe angrezi akhbaar padh rahe the. Wo angrezi adab ke qaabile qadar ustaad the. Kayi saalon tak wo cambridge mein padhate bhi rahe the. Dadi ke inteqaal per unhone retirement leli thi. Ab wo saara din Ghar mein kitaabein padha karte the. Ya phir meysam ke saath zameenon per chale jaate. Meysam unke ghar ka mulazim tha. Khane se lekar safai tak ka har kaam uske zimme tha. Filhaal gaun mein uski ammi bimaar thien isi liye wo chutti per gaya hua tha.
Yasir ne naashta bana kar darmyani table per lagaya. Training ke dauran wo sheher mein akela raha tha isi liye uski khane pakane ki skills kaafi manjh gayi thien. Aasteenein kohniyon tak mode wo ab cups mein chai undel raha tha. Phir tray uthaye table per rakhta, kursi kheech baitha.
"Agar autograph nahi laaye toh ghar mat aana." Sardar ne kon aankhon se use dekhte hue ailaan kiya tha. Haath mein kaanta thaame wo chonka. Raat wala wa'ada yaad aaya. Wo zehni tor per karaaha tha.
"Dada please." Unhone akhbaar band kar table per patka. Yasir yakdam hi gadbadaya tha.
"Ghar. Mat aana. Jaayedaat toh bhool hi jao." Uska chehra bigda bigda sa nazar aane laga tha. Sardar ab raghbat se naashta karne lage the.
"Agar use bodyguard ban kar bachaya hai toh autograph lene mein itna kya masla hai tumhe?" Unhein uska aitraaz waqai samajh nahi aaya tha. Yasir ne gehra saans liya. Use Saleena ka pichla rawaiya yaad tha. Kaise wo use zabardasti apna autograph dene per misar thi. Aur usne kis drushti se mana kiya tha use. Ab wo jaane kis muh se autograph maangega.
"Aap drama king hain toh Saleena drama queen hai. Aur aap jaante hain ke mujhe dramon se sakht nafrat hai." Usne muh mein omlet rakhte hue kaha tha. Dada muskuraye. Apke aur Saleena ke darmyan mushahbaat chahe jaisi bhi ho. Unhein bohot azeez thi.
"Humein bhi tumhare jaise ukhde hue khushk insaan mein koi dilchaspi nahi hai." Savage dada. Usne gehra saans liya aur phir nashta karne laga.
"Apni maa se.." Uska chalta haath yaklaqt hi ruk gaya tha. Chehra besaakhta hi sanjeeda hogaya. "Apni maa se ek baar mil lena beta. Wo keh kar gayi thi ke agar tum uske bulane per bhi nahi aaye toh uske pass hazaaron tareeqe hain tumhe apne paas bulane ke. Beta wo kuch aisa waisa na kar baithe." Unki fikrmandi si awaaz per usne kaanta aahista se plate mein rakh diya tha. Sanjeeda si surmayi aankhein utha kar unhein dekha.
"Dada hum pehle hi clear kar chuke hain ke is baare mein baat nahi karenge."
"Yasir. Meri baat bhi nahi manoge?" Unki pyari si aankhein. Wo jaane kyun inkaar nahi kar paa raha tha.
"Mere paas unse baat karne ke liye kuch bhi nahi hai, dada. Wo kuch bhi kahengi toh meri zabaan se hurt hona yakeeni si baat hai. Mein bas unhein hurt hone se bacha raha hun."
"Tumhe usse kya gila hai beta. Maaf kardi na. Aurton ko itni lambi sazayein nahi diya karte bache. Wo nazuk hoti hain. Unke tootne ka qatra zyada hota hai. Mard mazboot hote hain. Unke toot jaane per bhi judne ki umeed wasiq hoti hai." Uske labon per talqi se muskurahat ubhar aayi thi.
"Baz dafa toote hue mard bhi nahi jud paate, dada. Chahe umeed kitni hi gehri kyun na ho. Aurtein, mardon ko todte hue ye Kyun bhool jaati hain ke wo mard hone se pehle insaan hote hain. Aur insaan jab toot te hain toh jins ki qaid se azaad hokar yakaaan takleef hoti hai. Farq tootne mein nahi hota. Farq bas itna hota hai ke aurtein ro kar apne tootne ka gham mana leti hain aur mard. Wo rone se qabal sirf ye sochte hain ke agar wo roye toh jo log unhein dekh kar zinda hain wo zinda nahi reh sakenge. Aur sirf isi liye. Mard. Kabhi nahi rote."
Wo normal si awaaz mein keh kar apni jagah se uth gaya tha. Sardar ne uske adhure naashte ko dukh se dekha.
Kuch pal baad wo apna uniform pehne kamre se bahar chala aaya tha. Baalon ko saleeqe se peeche jamaye. Aankhon per siyaah chashma chadhaye. Lounge mein theher kar wo haath mein ghadi baandh raha tha. Phir dada ko khuda Hafiz kehta bahar nikal aaya. Sardar ne besaakhta hi uske peeche hifazati duaein padh kar dam kiya tha. Phir gehra saans bharte uth kar study ki jaanib badh gaye.
Wo agency pohoncha toh subha ke waqt bhi khaasi gehma gehmi mehsoos hui. Wo dusri kisi bhi jaanib tawajjah diye bagair underground floor chala aaya tha. Apne cabin ki jaanib badhte hue usne team mates ko salam kiya aur phir kursi kheench kar baith gaya. Abhi wo baitha hi tha ke sheeshe ke paar bani raahdaari se ek guard ander jhaanka. Ye team C ka bodyguard Jamal tha jo haal hi mein appoint ho kar aaya tha.
"Yasir alam. Aapko chief haneefa apne office mein talb kar rahe hain." Usne sun kar asbaat mein sar hilaya aur phir uth kar haneefa ke office ki jaanib badh gaya. Ander wo tevri (frown) chadhaye, mashkook nazron se use chand lamhaat ke liye dekhte rahe.
"Kya? Kya meine kuch aisa dekh liya hai jo mujhe nahi dekhna chahiye tha?" Use unki Khamoshi se koft hui toh puch liya. Haneefa"acha" wale andaaz mein kursi par peeche ho baithe. Phir kamre ki dayein jaanib bane daraaz ki taraf ishara kiya.
"Wahan se kuch gayab hai, mister alam." Yasir hila tak nahi. Aankhein bhi nahi jhapkien. Wo use unki dheetayi per daad diye bagair nahi reh sake the.
"Kya gayab hai?"
"Siyaah high heels."
"Ooh. Afsos hua. Aapko itna hassas samaan khule aam nai rakhna chahiye tha." Haath baandh kar seedhe chehre ke saath kaha tha usne.
"Mein is statement per is office se bedaqal bhi kar sakta hun." Wo bhi itne hi sanjeeda the. Ek toh Saleena ki wajah se sab jaane Kyun use bedaqal karne per tule hue the. Pehle dada ab chief. Dada toh chief se do haath aage the. Wo toh jaayedaat se hi aaq kar rahe the use.
"Mujhe nahi pata tha. Ke tum apni mama ki Birthday per diye jaane wali heels mere daraaz mein rakh kar bhool gaye the." Aur unke yakdam pakad lene per wo pehli dafa buri tarah chonka tha. Mama ki heels. Ye baat usne apni team se kahi thi. Aur ye baat yahan tak pohonch gayi thi. Chief haneefa ke office ke paar. Darwaze se kaam laga kar baatein sunte, wo teeno ek dusre ko dekh rahe the. Unse gadbad hogayi thi. Ander khade yasir ne gehra saans liya. Ab baatein ghumane se koi ifaaqa nahi hona tha.
"Heels meine hi nikali thien."
"Bilkul. CCTV mein tum wazay tor per heels lekar bhaagte hue nazar aa rahe ho. Kya tum footage hazaf karna bhool gaye the?" Wo hairan the.
"Mujhe yaad tha. Delete karna zaruri nahi laga."
"Kyun chahiye thien heels?" Haneefa ne seedhe hote hue ehem sawal Kiya tha usse.
"Saleena ki heels toot gayi thien."
"Tum use apne jute de sakte the."
"Lekin phir mein heels nahi pehen sakta tha." Darwaze ke paar maujood sher aur zaar ki dabi dabi si hansi gunji thi. Bohot se guards bhi ab ke unke saath rukne Lage the. Yasir aur haneefa ki bahami guftgu hamesha bohot maze ki hua karti thi.
"Tum dusron ki parwah toh nahi karte. Jaane dete use nange pair." Aur is dafa wo jaise kuch bol nahi saka tha. Unhone bagaur uska khamosh chehra dekha tha.
"Qair. Kya heels use puri aagayi thien?" Agle hi pal wo sarsari sa bole toh yasir ne sar hilaya.
"Ji. Bilkul. Aise jaise wo unhi ke liye li gayi thien." Uske jawab per jaane kyun unhone khushk hote halaq ke saath thook nigla tha.
"Jaa sakte ho tum. Aur aindah. Aisi koi harkat nahi honi chahiye. Mere office mein dakhile ki ijazat diye jaane per najayaz fayda mat uthao. Gazab khuda ka. Ek senior guard ka rawaiya itna gair senior." Wo bad bada rahe the. Yasir palat aaya. Junhi darwaza khola toh wo teeno jo kaam lagaye hue the. Ander girte girte bache. Use dekh kar sher aur zaar zabardasti muskuraye the. Saahir ne toh uski bhi zehmat nahi ki thi.
"Tum teeno kyun ho aakhir meri zindagi mein?" Usne daant pees kar kaha aur unhein ghoorta hua bahar chala aaya. Wo teeno uske peeche aaye the.
"Kya aap saleena se mile the?" Sher ne mutajassis hokar pucha toh wo yakdam palta. Ek toh uske aas paas maujood har mard Saleena ka fan kyun tha aakhir? Wo dar kar do kadam peeche hata tha. Usne ungli utha kar use dikhai.
"Us aurat ki baat mat karna mere saamne." Usne ghoor kar tanbeeh ki thi. Sher ne dar kar zor se sar hilaya tha. Saleena ke mutaaliq jo bhi baat karega. Ab jabde per mukka khayega yakeenan usse. Wo office mein dakhil hua aur bure mood ke saath kursi kheench baitha. Un teeno ne ek dusre ko ek saath dekha tha. Abhi usse baat karne ka matlab ek serious punch ka saamna karne ko dawat dena tha. Aur wo teeno hi aisi dawat se ghabraya karte the.
_________________
YOU ARE READING
Carpe Diem (Rabia Khan)
Storie d'amoreCarpe Diem is an Urdu novel written by Rabia Khan.