ch 19

68 7 1
                                    

Ehsan Ali se uski maa ka nikaah ho chuka tha. Wo un dono ko apne ghar le aaye the. Uski maa ne uske ruqsaaron ko apne dono haathon mein liye. Yahan aane se qabal kuch kaha tha.

"Saleena. Ab hamare takleef deh din khatam beta. Ab hum pet bhar kar kha sakenge." Wo khush hogayi. Do waqt ki roti.  Pet bhar kar. Izzat se. Use aur kya chahiye tha. Lekin aisa kuch nahi hua. Ghar aate hi intehaai nafrat se un dono ki jaanib dekha gaya. Wo choti thi. Use nafrat ke baare mein itna kuch khaas pata nahi tha. Lekin use itna pata tha ke wo aur uski maa us izzatdar gharane mein. Ek intehaai makrooh hissa the. Wo us gharane ke layak nahi the.

Ehsan Ali ne unke liye mahaaz per har Jang ladi. Wo jab tak zinda rahe tab tak dono maa beti sukoon se khana kha sake. Lekin phir unki achanak wafa'at ne un dono ko rizq se mehroom kar diya.

Ghar ki bhaabhiyan khane ke table per unhein apne saath bithana gawara nahi kiya karti thien. Uski maa saara din kaam karke bhi unke liye qaabile izzat saabit na ho saki. Wo unke saath ek table per baith kar khana khane ke baare mein soch bhi nahi sakti thi.

Saleena darwaze ki chaukhat mein khadi, mehroom nigaahon se khane ko takti rehti. Wo choti thi aur khaasi kamzor bhi. Uske shehed rang baalon ki do chotiyan uske kandhe per padi hoti thien. Mahjabeen ke purane kapde pehne, wo mehroom nigaahon se un sab ko khaate dekhti rahi. Us mehroomi ne saari umar uska saath nahi choda. Raat wo apni adhiyon per unchi hokar slab per rakhi rotiyon ko dekhti. Wo sukhi rotiyan hua karti thien. Itni sukhi ke unhein halaq se utaarna mumkin nahi tha. Wo unhein paani mein dubo kar bamushkil halaq se utaara karti thi. Use rona nahi aata tha. Use pata nahi tha ke sukhi rotiyon per rona chahiye.

Rahma aur zubaida ke ameer bhai bahar mulk se wapas aate toh ghar ke bachon ke haathon mein tahaif sambhalne se qaasir ho jaate. Mehenge perfumes, stationery, not naye rangon ki pencilein aur khubsurat jute. Unke pass har shay ke dher lag jaaya karte the. Wo tab bhi darwaze ki chaukhat mein khadi unhein takti rehti. Use yahan se aage badhne ki ijazat nahi thi. Uski mehroomi savaa hoti gayi. Wo ander se khaali hoti jaa rahi thi. Maa ne phir se kisi bar mein job dhoond li thi. Shayad ye us ek kam tanqua ko haasil karne wale shohar ko chod dene ka natija tha. Ek zillat jo ab tak unke chehron per musallat thi.

Wo bhi umer, mahjabeen, aur ghar ke mazeed bachon ki tarah kisi ko "baba" kehna chahti thi. Uski zabaan tars gayi thi ye lafz kehne ke liye. Use toh ehsan ko bhi baba kehne ka mauqa nahi mil saka tha. Use apni puri zindagi mein kisi ko bhi ye lafz kehne ka mauqa nahi mil saka tha.

Uski taayiyan apne bachon ko nigaahon mein tanbeeh kiya kartin. Ke uske saamne kisi bhi tohfe ko na kholein. Nazar lag jayegi. Wo aisi nazrein samajhne ke liye bohot choti thi. Unki tez nazron ko masumiyat se takne ke alawa uske pass aur koi raasta nahi tha.

Phir maa kayi kayi din ghar nahi aaya karti. Wo un ghar walon ke rehm o karam per rehne lagi. Bachon mein sirf ek umer usse maanoos (attached) tha. Wo usse chota tha. Saleena ko use apne saath rakhna acha lagta tha. Lekin rahma apne bacche per uska manhoos saya pad jaane se darti thi. Isi liye wo uski nanhi god se umer ko cheen kar ke jaaya karti thien. Saari raat wo khamoshi se bistar par leti umer ko yaad karti rehti. Usne apni zindagi bohot khaufnaak tanhai mein guzaari thi. Bhooka reh jaana. Akele reh jaana. Bhula diya jaana. Uske khauf uske saath bade hone lage the. Padhai mein dilchaspi thi lekin uski mehroomiyon ne use padhne nahi diya. Wo kuch badi hui toh job ki talaash mein nikal khadi hui. Unhin dinon use nazar mila tha. Wo ek choti si agency ka director tha. Uski khubsurti aur zarurat ko dekhte hue use kaam per rakh liya gaya tha. Acting mein usne apni jaan ki baazi laga di. Wo saari zindagi aansu apne ander rakhti aayi thi. Usne wo saare aansu drame ke set per baha lene ko tarjeeh di. Uski adakaari is qadar natural thi ke bade bade directors ki nigaahein us choti si ladki ki jaanib uthne lagi thien.

Ghar walon ke liye wo mazeed makrooh hogayi.

Shaheer ne uske pehle drame per use bohot bura maara. Wo ek thappad se dur Jaa giri thi. Uski baali bhi kaan se toot kar dur Jaa giri thi. Bilashuba wo bohot bhaari thappad tha. Wo uske chehre par nahi. Rooh per barsa tha.

"Aap mujhe thappad nahi maar sakte, taya. Aap mujhe thappad maarne ke har haq se mehroom hain." Usne kapkapate labon ke saath bas itna hi kaha tha. Shaheer us per jhuka aur use baalon se noch kar khada kiya. Wo uske sakht haathon tale laraz rahi thi. Ghar wale ek jaanib khade sukoon se ye manzar dekh rahe the. Umer academy gaya hua tha. Nahi toh wo apne baap ka haath zaroor rokta.

"Ye maa beti. Kis cheez ki Kami rakhi hai tumhare liye humne? Lekin tum dono nashukri aurtein! Kabhi izzat ki roti nahi kha sakti tum dono." Usne uske baalon ko jhatka tha. Uske ander sab kuch kirchi kirchi (shards/particles) hota ja raha tha.

"Izzat! Roti, roti hoti hai taya. Uska izzat se koi taaluq nahi hota. Mein sukhi rotiyan kha kha kar badi hui hun. Fridge ke band darwaze ko mehroom aankhon se dekh dekh kar is maqaam tak pohonchi hun. Aapke paas mujhe maarne ka koi haq nahi hai. Aap har haq se mehroom hain." Ab ke ruqsaar per padne wala karaqt thappad. Murad ki jaanib se tha. Uska Masum ruqsaar surkh hogaya tha. Bhaari haath padne ke bais hont phat gaye the aur ab unse khoon ras raha tha.

"Bakwas karti hai! Hamare Bhai ki zindagi ko khane wali dayan hai tu. Aur teri wo maa." Uske saath hi usne use baalon se pakda aur ghaseet ta hua Ghar ke darwaze tak laaya. Darwaze se ander aati shagufta ki aankhein lamhe bhar ko phail si gayi thien. Saleena ke chehre par tashaddud ke nishaan the aur ghar wale use ghar se bahar phenk rahe the. Lekin phir koi muzaahmat kaam nahi aayi. Use aur shagufta. Dono ko kisi kode ki manand bahar phenk diya gaya. Wo roti rahi. Phir nazar ke paas chali aayi. Uske paas apna career mazboot karne ke alawa aur koi chaara nahi tha. Wo bhooka rehne. Akele reh jaane. Aur bhula diye jaane se aaj tak khaufzada thi.

Industry walon ne use kayi hi saalon mein aasmaan per bitha liya tha. Wo branded libaas Zebtan karne lagi. Uski rihaish aur sawari sabse mehengi thien. Lekin bachpan ki mehroomiyan kabhi saath nahi chodti. Uski mehroomiyan chup zaroor gayi thien lekin wo aaj tak uske saath badi ho rahi thien.

Apne ek drame ki shoot ke dauran hi use wajid hassan Mila tha. Intehaai narm dil aur izzat ki nigaah rakhne wala wajid. Wo pehli hi nazar mein uski deewani ho gayi thi. Wo usse mohabbat karne lagi thi. Wo use izzat se raha tha. Use har izzat dene wale se mohabbat ho jaya karti thi. Wajid bhi use zyada der tak nazar andaaz nahi kar saka. Wo bohot khubsurat thi. Use nazar andaaz nahi kiya ja sakta tha. Un dono ke darmyaan mohabbat ka rishta qayam hogaya. Kabhi saath na chodne ke kasmein aur wa'adon ka silsila chal nikla. Wo apne career ki bulandi per thi. Lekin phir uske saath wo hua jo use. Us bulandi se pisti mein liye aa gira.

Saleena mazhar per drugs ka scandal saabit ho chuka tha.

Aur wo. Wajid hassan ke liye. Ek na qaabile qubool insaan saabit ho gayi thi.!

______________

Carpe Diem (Rabia Khan)Where stories live. Discover now