Usne apni car wasee o areez raqbe per phaile bangle ke saamne roki aur phir usi sanjeedgi se bahar nikal aaya. Uska ruq ab ander ki jaanib tha.
Kayi mulazmeen ne use theher kar salam Kiya tha.
Wo kisi ka bhi jawab diye bagair tezi se aage badh raha tha. Uske khubsurat haathon ki upri jild halki si qaraash zadah thi.
Wo parwah kiye bagair aage badhta raha aur phir lounge ke paar khaase faasle per maujood tv hall ki jaanib chala aaya. Sheeshe ka darwaza dhakela toh dono nafoos chonk kar uski bewaqt aamad per dum bakhud hogaye.
Wajid uth khada hua tha.
Wo wajid ke bilkul barabar aata tha. Un mein Zara sa fark tha. Bilkul Zara sa.
"Tum yahan kya kar rahe ho?" Wajid ki peshani per bal ubhre the. Usi nigaahon se pucha. Mariya bhi uski maujoodgi per uth khadi hui thi. Use kisi anhoni ka ehsaas hua tha.
Uski thandi aankhein wajid se hoti hui mariya per phisli thi.
"Agar selena ko nuksaan pohonchane ke liye. Aindah. Kisi bhi loser ko hire Kiya. Toh mujh se bura us roze zameen par tumhare liye koi nahi hoga!" Uski awaaz bhi utni hi thandi thi jitni ke uski aankhein. Mariya ka chehra lamhon hi mein safed hua tha.
"Kya matlab? Kiski baat kar rahe ho?" Wajid buri tarah chonka tha. Chehra zara sa pher kar beyakeeni se mariya ki jaanib dekha.
"Wo meri patient hai. Uski zehni sehat mere liye bohot ehmiyat ki haamil hai. Tumhari biwi uski zehni haalat tabah karne per tuli hui hai, wajid hassan. Aur isse pehle ke mera sabr jawab de jaaye. Apni biwi ko samjha lo. Mein aindah tum mein se kisi ko bhi tanbeeh karne nahi aaunga." Aur usi ke saath wo palat gaya tha. Uska over coat chalne ke baais muqalif simt mein udh raha tha.
Wo moid hassan jo kabhi apne sautele bhai ke zehreele rishte ki jaanib dekhta tak nahi tha. Aaj wo mehez apni ek patient ke liye use tanbeeh karne chala aaya tha. Aur kuch usool the jinki wo kabhi khilaaf warzi nahi kiya karta tha. Ab peeche se mariya aur wajid ke buland awaaz se behes karne ki awaazein aa rahi thien. Lekin wo kisi bhi cheez ka asar liye bagair bahar ki jaanib badhta ja raha tha.
_________________
Wo ghar jaane ka irada multawi karke armaan ke paas, police ke head quarter chala aaya tha. Us thaane ke saath detectives ka office bhi maujood tha. Cases ki noiyat ke hisaab se hi wahan per kaam kiya jaata tha. Agar case pecheedagi liye hota toh use detectives ki team ko diya jaata tha. Aur agar case choti noiyat ka hota toh police ke officeraan use dekha karte the. Kayi saalon tak toh police headquarter ne detectives ki mudakhilat ko bardaasht hi nahi kiya tha. Lekin waqt ke saath saath wo unke wajood ko qubool karte jaa rahe the. Wo sab qaabil log the. Unki qaabiliyat ne aapna aap manwa liya tha.
Meeting room se bahar nikalte armaan per uski nigaah padi toh wo usi jaanib badh aaya.
"Hamlaawar kahan hai?" Uske puchne par armaan ne aarzi jail ki jaanib ishara kiya tha. Lockup ke peeche, salaakhein mazbooti se pakde hamlaawar khada, unhin ki jaanib dekh raha tha.
"Isse tafteesh karne per kya malum hua?"
"Kuch khaas nahi. Wo khud ko stalker fan bata raha hai."
"Jhoot bol raha hai ye." Usne sar'at se kaha toh armaan ne sar asbaat mein hilaya. Wo bhi Yasir se muttafiq tha.
"Kya ye militant hai?" Uske sawal per wo chonka tha.
"Militant? Kya matlab?"
"Selena ke peeche ek Militant stalker ko dekha gaya tha." Uske jawab per armaan is hamlaawar ki jaanib dekhne laga tha.
"Test karein?" Kehte hi wo lockup ki jaanib badh gaya tha. phir chaabi se darwaza khol kar ander dakhil hua aur apne peeche darwaza band kar liya. Yasir ab uske cabin mein rakhe table ke saath tik kar khada usi jaanib dekh raha tha. Wo jaanta tha ke armaan kya karne wala tha.
