Wo darwaze mein hi aistadah rahi. Yasir aage badh aaya tha. Sardar ab uth khade hue the. Unhein jaise selena ke yahan maujood hone per yakeen nahi aa raha tha. Wo Yasir ko madad talb nigaahon se dekh rahi thi ke abhi wo apne dada se purtakalluf sa taaruf karwayega. Wo use is awkward haalaat se bacha lega. Lekin majal hai. Wo use gundon se toh bacha sakta tha lekin awkward situation se nahi! Badtameez na ho toh. Yasir ne lamhe bhar ko palat kar uska surkh padta chehra dekha aur phir gehra saans liya. Ek actress thi aur dusre hazrat unke fanboy magar dono mein itna aitmaad nahi tha ke aage badh kar ek dusre ko khush aamdeed hi keh dete. Uff. Ab ye bhi use karna tha. Bodyguard hone ke saath saath aakhir wo kya kya karega aur?
Wo zara aage badh aaya. Ek ek nazar dono per daali.
"Selena ye mere dada hain, sardar alam. Dada ye." Wo lamhe bhar ko dada ka chehra dekh kar thehra tha. Bachon ki tarah sharmata hua gulaabi chehra. Usne bamushkil apni hansi zabt ki thi. "Ye selena mazhar hain."
"Bete aao ander. Darwaze mein kyun khadi ho?" Wo yakdam hi sambhale the. Selena jhijakte hue aage badh aayi. Phir aahista se dada ke saath rakhe sofe par baith gayi.
"Kaise hain aap? Yasir ne mujhe pehle bataya nahi ke wo mujhe yahan la raha hai nahi toh mein apna huliya durust karke aati." Use apni bikhri haalat per sharm aa rahi thi. Sardar ne muskura kar dono haath uthate hue use mazeed kuch bhi kehne se rok diya tha.
"Arey koi baat nahi. Koi masla ho gaya hoga yakeenan. Acha aap theek se baitho. Ise apna hi ghar samjho. Mein Yasir ko dekh lun zara." Wo aage badh kar uske peeche kitchen ki jaanib aaye the. Wo laparwahon ki tarah bottle se muh lagaye paani pee raha tha. Dada yakdam gusse se aage badhe. Uske haath se bottle jhapat kar slab per rakhi. Yasir is oftad per gadbadaya tha.
"Ab kya kiya hai meine?"
"Ek phone nahi kar sakte the mujhe tum. Yun aise achanak se selena ko le aaye. Mujhe heart attack bhi ho sakta tha!" Usne gehra saans liya tha. Dada bhi selena se koi kam dramatic nahi the.
"Mere paas aapko phone karne ka waqt nahi tha. Selena ki aur meri haalat dekh rahe hain na aap. Hamla ho gaya tha us per achanak. Bohot masle the isi liye yahan laana pada. Sheher mein rehna theek nahi tha uske liye." Dada ne besaakhta uske zakhmi haath ko dekha toh apna har shikwa bhool gaye. Unhone jaldi se aage badh kar counter ke uper bane daraaz se first aid box nikala.
"Lao mein kar dun saaf. Itna gehra zakhm kaise lag gaya?"
"Bas kuch masla ho gaya tha. Mein theek hun aur mein ye kar lunga. Aap Selena ke paas jaa kar baithein. Wo bohot dari hui hai. Use relax karein."
"Use kaise relax karun? Pehle mein khud toh relax ho jaun." Dada ne apne dil per haath rakh kar gehra saans liya toh Yasir ne aankhein ghumayin. Gehra saans bhar kar wo bahar chale aaye. Uske saamne aa baithe. Wo thaki thaki si lag rahi thi magar sadar ko dekhte hi seedhi ho baithi. Unhein muskura kar dekha. Unka toh dil hi pighal gaya tha.
"Bete kya logi? Kuch thanda. Chai? Kuch bhi? Ya khana lagawa dun?" Usne besaakhta haath utha kar unhein har takleef se baaz rehne ka ishara kiya.
"Nahi dada ji." Aur usne itne pyaare tareeqe se unhein dada kaha tha ke sardar ko maare Khushi ke waqatan daura padne laga tha.
"Aapko bura toh nahi laga meine aapko dada keh diya." Usne mohtaat nazron se unka chehra dekhte hue pucha toh unhone muskura kar naak se makkhi udhayi.
"Nahi bete. Mujhe bohot acha laga. Mujhe aaj tak kisi ka yun dada ji kehna acha nahi laga." Kitchen se bahar nikalte Yasir ki samaat mein sardaar ke alfaaz utre toh wo gehra saans bhar kar reh gaya. Phir sar hilata aage badh aaya. Selena ki jaanib paani ka glass badhaya. Usne lamhe bhar ke liye uski jaanib dekha tha phir uske haath se glass le liya.