Wo uper maujood floor per aayi toh yuwal saamne hi nazar aa gaya. Uski haalat dekh kar chand pal wo goong sa khada raha tha.
"Ye. Ye kya ho raha hai? Tumhare baalon ko kya hua?" Wo official card ungliyon mein ghumati aage badh rahi thi. Phir restroom ki jaanib badh kar apna huliya durust kiya. Jab wapas nazar ke office mein aayi toh haalat khaasi behtar thi. Makeup ko halka sa touch dekar usne baalon mein brush chalaya toh sab kuch apne midaad per durustgi se aa laga.
" Meri Julia se ladai hogayi thi." Usne ailaan kiya tha. Nazar jo kursi par peeche ho kar baitha tha girte girte bacha. Wo dono aankhein phailaye use tak rahe the.
"Usne mujhse badtameezi ki toh meine uske baal noch liye." Kandhe uchka kar kaha jaise ye toh koi masla hi na ho. Nazar ne bamushkil apne badhte blood pressure ko normal rakha tha.
"Saleena. Tumhare haalat aise nahi hain ke tum itni ameer actress se ladti phiro. Agar wo tum per fine file kar degi toh dene ke liye paise nahi honge tumhare paas. Behtar yahi hai ke Khamosh reh kar apna kaam kiya jaaye."
"Usne mujhe sab guards ke saamne flop actress kaha tha, bhai. Ye koi baat nahi hoti." Usne bhi jawaban usi khafgi se kaha toh nazar ne gehra saans liya. Phir mazeed behes ko taal kar daraaz mein se kuch nikaalne laga. Agle hi pal ab wo uski jaanib kuch badha raha tha. Official card. Saleena ne ek jhatke se usse Card jhapta tha.
"Wah wah. Pehle ek Card nahi mil raha tha ab toh do do hogaye hain." Wo dono ko nigaahon ke saamne kiye bachon ki si Khushi se keh rahi thi. Yuwal uski Khushi dekh kar besaakhta hi muskuraya tha. Albatta nazar ki peshani per istifhaamiya se bal namodaar hue the.
"Ye dusra card kahan se aaya hai?"
"Chief uncle ne diya hai apna card." Jata kar uske gosh guzaar kiya toh wo gehra saans bhar kar reh gaya. Wo un do cards ko dekh dekh kar nahi thak rahi thi. Phir alwidayi kalmaat keh kar yuwal ke saath bahar ki jaanib badh gayi.
"Ek director ne humse tumhare mutaaliq raabta kiya hai. Ho sakta hai ke uska secretary tumse kuch dino tak raabta kare. Agar unka phone aaye toh fauran haami bhar lena. Lead role ki baat kar rahe the wo." Wo uski jaanib khushi se chamakti aankhein liye dekhti rahi. Phir muskura kar sar hilati lift ki jaanib badh gayi. Aah. Official lift ka khwaab pura hawa chahta tha. Yuwal uski Khushi per muskurata hua use haath hila raha tha. Wo bhi pur josh si haath hilati rahi. Lift ke darwaze band hue toh yuwal palat aaya. Nazar apne office mein pareshani se biraajmaan tha.
"Chief ne agar khud hi use card dena tha toh hum se itna risky kaam karwane ki kya zarurat thi?" Yuwal ne ander aate hi pucha toh nazar ne lailmi ke bais sar nafi mein hilaya. Chief ka rawaiya uske liye sawaliya nishaan tha.
Isi floor ke nichle floor per yasir ek baar phir haneefa ke saamne haath adab se bandhe khada tha. "Nazar se Saleena ko official card dene ka meine hi kaha tha." Wo unki baat sun kar halka sa hairan hua tha.
"Wo yahan ki official actress nahi hai. Jiska matlab hai ke agency ke paas use card dene ka koi jawaz nahi. Lekin chonke uski security zyada ehem hai toh meine nazar ko use card illegal tareeqe se dene ka kaha tha. Uski zimmedari meri hai. Nazar ya yuwal ki nahi." Unhone matanat se keh kar yasir ka nazar ke qilaaf charged fine rad kar diya tha. Wo samajh kar sar hilata bahar nikal aaya tha. Sadd shukar ke chief ne usse aaj ke ajeeb o gareeb haadse ke baare mein koi baat nahi ki thi. Wo apne cabin mein chala aaya tha. Guards ab tak uske sar par sawar the. Yahan unhein ek actress nahi dekhti thi. Aur yasir ke liye do do actress lad rahi thien.
"Kya ab tum sab mere sar se hatoge?" Usne buland awaaz se sab ko jhaada toh wo yakdam dar kar peeche hue. Phir nazrein chura kar apne apne cabins ki jaanib badh gaye. Usne ek qoonqawar nigaah darwaze per daali thi. Kuch pal baad senior guard uski jaanib ek file liye badhe. Ye file Julia ke mutaaliq thi aur usne hi maangi thi. Wo sar ke qam se unka shukriya ada kar raha tha. Wo palat te palat te lamhe bhar ko thehre. Phir uski jaanib jhuke.
"Aisa kya kiya hai tumne. Ke ek nahi. Do do haseen aurtein lad rahi thien tumhare liye?" Wo sargoshi mein puch rahe the lekin zaar aur sher ke kaanon tak ye sargoshi pohonch chuki thi. Unki hansi besaakhta thi. Yasir ki ghoori par fauran se hanste hanste khaansne lage the wo dono. Saahir jo uske saath hi kursi per baitha tha. Yaklaqt hi uski jaanib jhuka.
"Mein bhi janna chahta hun." Wo jo bolta nahi tha. Ab usse puch raha tha. Usne zabt se aankhein band karke gehra saans liya tha.
"Mera khayal hai mein hi yahan se uth jaata hun." Bahar ki jaanib badhte hue usne office ka darwaza"tha" ki awaaz ke saath band Kiya tha. Aisi ki taisi in actresses ki.!
______________
Chand din qabal.
Shaam ki gehri hoti siyaahi mein mariya hassan apne baap ki company se bahar nikal rahi thi. Car ki pichli nishast par baith kar usne driver ko chalne ka ishara kiya toh wo moadab sa sar hilata drive karne laga. Markazi shaahraaah se guzarne ke baad ab uski siyaah chamchamati car choti tang galiyon mein dakhil ho rahi thi. Ek tang o tareek gali ke aakhri sire per car ruk gayi thi. Is tang gali mein car nahi jaa sakti thi isi liye ab use khud chal kar jaana tha. Gali ke aakhir mein dead end tha. Us deewar se zara pehle ek purana sa car service ka hall maujood tha. Yahan per qista hall si gaadiyan khadi thien. Oil aur car ke khule purzon ki ajeeb si bu thi us kabaad khane mein.
Wo naak per haath rakhti aage badh aayi thi. Ek jaanib andhere mein koi maujood tha. Wo is jagah ko pehchanti thi. Lekin is jagah ki bu se use chakkar se aane lagte the. Wo kabhi is bu ki aadi nahi ho sakti thi.
Andhere mein kursi per birajman shaks ka chehra wazay nahi tha. Naahi mariya ne uska chehra dekhne ki kabhi khwahish ki thi.
Wo saamne rakhe ek stool per our takalluf si baith gayi thi.
"Militant. Mein nahi jaanti tum kon ho. Kahan se ho aur kaise dikhte ho. Lekin mein itna jaanti hun ke tum apne kaam mein khaase maahir aur manjhe hue ho. Isi liye. Hum direct kaam ki baat per aayenge." Aage se koi jawabi radde amal na ubhra toh mariya ne gehra saans bhar kar kehna shuru kiya.
"Saleena Mazhar!" Ek naam liya tha usne. Phir apne purse se ek tasweer nikal kar aage badhai. Andhere mein maujood shaks ne aage badh kar tasweer leli thi.
"Use tabah kar do. Tinka tinka karke. Itna ke mein us per tars kha kar use apne baap ki charity per rakhne ke liye majboor ho jaun. Use aise todna ke wo dobara uth na paye. Khatam kar do use." Militant ne andhere mein sar hilaya tha. Yun goya usne hukm sun kar maan liya ho. Mariya ki aankhein jalan ke bais andhere mein gulaabi ho rahi thien.
"Lekin. Tum uske tinka tinka hone per har jagah mujhe dawat doge. Mein apni aankhon se use tabah hota hua dekhna chahti hun. Mein ye saabit karungi ke wo kabhi bhi wajid hassan ke qaabil nahi thi. Wajid hassan ke qaabil sirf ek aurat hai. Mariya hassan." Seene per dastak de kar sulagte hue lehje mein kaha aur phir uth khadi hui. Andhere mein birajman shaks khud bhi andhere ka hi hissa malum ho raha tha. Wo bahar nikal kar aayi toh tezi se haanp rahi thi. Ander ki ghutan use saans nahi lene de rahi thi. Kuch pal baad khud ko compose karke usne apne kadam car ki jaanib badhaye aur phir gaadi un makrooh tang galiyon se nikalti chali gayi. Un galiyon se ta'affan ki ajeeb se bu uth rahi thi. Yun Goya. Kaccha gosht pak raha ho.
_________________