ch 53

44 9 0
                                    

Agli dopahar yasir agency chala gaya tha. Yahan uska koi kaam nahi tha. Sardar ko shaam valime ke liye Jaana tha. Wo unke kamre ka darwaza bajati, ijazat milne per ander chali aayi thi. Wo koi kitaab padh rahe the. Uske ander aane per seedhe ho baithe.

"Dada. Mujhe aap se ab ijazat chahiye." Uske kehne per wo use na samajhi se takne lage the. Wo muskura kar paas Chali aayi thi. Phir unke saamne bed per aa baithi. Unki jaanib dekha.

"Aap ki mohabbat, khuloos, qadr o manzilat itni khubsurat thi ke mein khud ko yahan se nikaal le jaane per zara sa bhi majboor nahi kar saki. Lekin jo aayein unhein toh jaana hota hi hai na. Aaj nahi toh kal. Bas kal jaane se behtar hai ke mein aaj hi chali jaun."

"Lekin bache Yasir ne toh kaha tha ke tum mazeed ek hafta rukogi."

"Ji dada. Tab haalat bohot kathin the. Mere paas theherne ke liye mehfooz maqam nahi tha. Lekin ab mein wapas kaam per ja sakti hun. Agar nahi gayi toh maamlaat bilawajah tawalat ka shikaar ho jayenge. Mein nahi chahti ke ab kisi ko bhi mere hawale se koi shikayat ho." Usne sanjeedgi se kaha tha. Sardar ne fikrmandi se use dekha.

"Shagufta ka masla kaise hal karogi?"

"Mein filhaal is maamle per koi bayan nahi dena chahti. Maamla khud hi dab jayega. Pehle mein maa ki zamanat karwa kar unhein ghar wapas laana chahti hun." Unhone uske laaiha e amal (strategy) per sar hilaya tha. Phir uski jaanib narmi se dekha.

"Yasir ke saath jaogi?"

"Nahi, dada. Use mazeed pareshan nahi karna chahti. Meine apne PA ko call ki hai. Wo mujhe lene aata hi hoga." Sardar lamhe bhar ko use udaasi se dekh rahe the. Wo thi toh zindagi mein kitni ronaq aur khushi thi. Ab wo chali jayegi toh ye mehel kitna sunsan ho jayega. Unki nigaahein mehsoos karke usne unhein sawaliya sa dekha tha.

"Kya hua, dada?"

"Soch raha hun tum jaa rahi ho toh yasir ke sath hi guzara karna padega." Aur wo hans di thi.

"Ye toh karna padega aapko."

"Aur tum jaanti ho na. Ke yasir ke saath guzara karna is duniya ka sab se mushkil kaam hai." Wo hansti ja rahi thi aur saath mein unki taaid (encouragement) bhi kar rahi thi.

"Aap theek kehte hain." Wo bhi muskuraye the. Agle kayi lamhaat mein yuwal chala aaya toh wo sardar ko alvidayi kalmat kehti bahar nikal aayi. Dada use chodne lakdi ki baadh tak aaye the. Wo car mein baith kar bhi unhein haath hilati rahi. Wo ab baadh se bahar nikle use haath hila rahe the. Wo jaa chuki toh unhone gehra saans liya. Aur phir ander chale aaye.

"Aao sardar. Apni tanhai ko phir se gale laga lete hain." Aur kuch tha ke uske jaate hi saara gaun sunsan sa mehsoos hone laga tha.

___________________

Meeting office ki taweel nishaston per kayi guards birajman the. Wo un guards mein se the jinhein tehqeeqati team ne apne saath case ko tehqeeq karne ke liye chuna tha. Saahir ne table per sab ke saamne nageene wali angothi rakhi. Yasir ne use nazrein utha kar dekha. Saahir ne use raat wale maamle per aagahi di thi isi liye wo chutti lene ke bawajood bhi aaj agency chala aaya tha. Maamla sangeen tha. Koi agency ke ander dakhil hua tha. Aur wo bhi nichle floor per. Jo sab se zyada hassas (sensitive) floor tha. Yahan actress ke saikdon raaz maujood the. Kisi teesre fard ka yahan dakhil hona durust nahi tha. Ye ek tarah ki qatre ki ghanti thi. Aur pure security system ke liye sawaliya nishaan bhi. Salman abid ne ek gehri saans li aur phir peeche ho baithe. Un sab per ek nigaah daali. Haneefa unke sath hi sanjeedgi se birajman the.

"Jo kal raat hua. Wo qaabile muzammat (condemnable) hai. Koi hamari agency mein dakhil hua. Hamare cabins mein se files khangalin. Aur isse pehle ke wo kuch lekar yahan se faraar hota, wo dhar liya gaya. Ye achi baat hai. Lekin isse kahin zyada tashweeshnaak baat ye hai ke wo hamare system ke har ek pehlu se waqif hai. Har ek dakhili aur khariji darwaze se. Mein ye kehna toh nahi chahta, lekin gaalib gumaan yahi hai ke koi hamare ander hi maujood hai." Wo lamhe bhar ko seedhe ho baithe the. "Aur hum mein se hi koi hai." Ye aakhri baat bohot sard lehje mein kahi gayi thi. Har ek guard ka chehra lamhe bhar ko safed hua tha.

Carpe Diem (Rabia Khan)Where stories live. Discover now