" Ye wahi ladki hai na. Selena?" Hassan mustafa ne ainak naak per qadre jhuka kar wajid ki jaanib dekha tha. Wo us samay unke office mein birajman tha. Apni siyaasi campaign ke hawale se unke saath gift o shaniid haazir hua tha. Lekin selena aur mariya ki video jungle mein aag ki tarah phail gayi thi.
Wo aankhon mein dheron afsos liye un do videos ko dekh raha tha. Pehle mariya ne selena ko istihsaal ka nishana banaya tha aur ab selena ne mariya ko jawaban apni haisiyat ka ehsaas dilaya tha. Use apne sar mein subha hi subha dard sa mehsoos hone laga tha.
"Ji. Ye wahi hai."
"Ye ab tumhari zindagi mein wapas aane ke liye ooche (absurd) hathkande aazma rahi hai." Unki thandi si tone per usne chubhti aankhon se unki jaanib dekha tha.
"Dad. Hum is baare mein baat khatam kar chuke the. Aap selena ke baare mein koi galat baat nahi karenge." Uska jazbaati sa andaaz tha ya kya. Lamhe bhar ko mustafa chonka tha. Bilkul halka sa. Phir aankhon se ainak utaar kar saamne rakhi. Pursukoon andaaz liye saamne baithe wajid ko dekha.
"Kya? Tum ab tak uske maamle mein jazbati ho! Mardon ko itni taweel mohabbat nahi bhaati. Tum bhi apne is bachkana rawaiye se bahar nikal aao."
Use apne sar mein thais so uthti mehsoos ho rahi thi. Inhin baaton ke baais wo pehle hi selena ko kho chuka tha.
"Mohabbat bachkana nahi hoti, dad!"
"Taweel mohabbat bachkana hi hoti hai. Ek phase samajh kar use guzaar lena aur uske asar se azaad hona hi tumhein asal mard banata hai. Nahi toh saari zindagi buzdil hi rahoge." Wo ab phir se ainak naak per jama raha tha. Phir saamne rakha akhbaar utha kar nigaahon ke saamne kiya.
"Buzdil hi toh hun mein. Buzdil hi tha jab hi use kho diya." Wo uth khada hua tha. Use a mustafa se koi baat nahi karni thi.
"Waise acha hi hai tumhari siyaasi maqbuliyat ke liye. Do aurtein tumhare sar per lad rahi hain. Tum naujawanon mein mazeed shohrat haasil kar sakte ho is waqye ki buniyad per. Bas use achi media ko rage do aur bayanat ka silsila jaari rakho." Wajid ne uski jaanib gehre afsos se dekha tha. Wo bilashuba ek siyasatdaan tha. Use har zehmat ko apne liye rehmat banana aata tha.
Agle hi pal wo uske office ka darwaza dhakelta bahar nikla toh peeche se wo uski bewakoofi per gehra saans bhar kar reh gaya tha. Phir akhbaar nigaahon ke saamne kar liya. Ye maamla usse zyada uski tawajjah ka haamil nahi tha.
_____________________
Selena guards ko liye wapas agency chali aayi thi. Parking area mein tamaam guards ki siyaah gaadiyan aa ruki thien. Agle hi pal ab tamaam guards uske saamne khade the. Wo bhi apni car ka pichla darwaza kholti bahar aa nikli thi. Yasir ke apni car ek jaanib park ki aur phir khamoshi se theher kar use dekhne laga. Wo ab apni car se pusht tikaye, saamne maujood guards ki nafri se muqatib thi.
"Aap sab ki razakarana ka behad shukriya. Aap sab ka khana aaj meri taraf se hoga." Uske muskura kar kehne per guards ne taaliyan bajayi thien. Phir wo sab usse ijazat lete chut Gaye. Wo car ki pusht se tiki, un sab ki jaanib muskura kar haath hila rahi thi. Yasir ab bhi ek faasle se use dekh raha tha. Tamaam guards agency ke androoni hisse ki jaanib badhe toh uski muskurahat gayab hui. Usne gehre gehre saans liye the. Yun jaise wo apna saans kayi lamhaat se roke rakhe hue ho.
Usne apne haathon ko nigaahon ke saamne kiya. Wo kapkapa rahe the. Mariya hassan jaisi baatsokh shaksiyat ko thappad de maarna asaan nahi tha. Usne apni hayaat ki tamaam tar himmat mujtama'a karke aisa faisla liya tha. Lekin ab wo apne hi faisle ke nataij tale laraz rahi thi. Saans bahaal karke usne apni car ki jaanib badhna chaha toh lamhe bhar ko kadam kapkapahat ka shikaar mehsoos hue. Wo ulajh kar girne hi lagi thi ke kisi ne use kohni se thaam kar ba asani seedha khada kiya.