ch 28

74 5 0
                                    

Agli subha gehre andhere mein wo ghar se nikal aayi thi. Agency ke jaanib se bheji gayi gaadi mein wo set ki location pe0r chali aayi thi. Yahan uska makeup aur dress makeover hona tha.

Use tayyar hone mein teen se chaar ghante lag gaye the. Abhi shoot shuru hone mein waqt tha. Wo yuwal ke saath agency chali aayi thi. Subha ke nau baj rahe the. Agency ki gehma gehmi dekhne se taaluq rakhti thi.

Usne nichle floor per jaane ke liye card insert kiya aur phir kayi inch lambi heels se  chalti aage badh aayi.

Apne cabins mein sar jhuka kar kaam karte tamaam guards use sar utha kar dekhne lage the. Selena mazhar Aaj muskura nahi rahi thi. Wo aaj sanjeeda thi.

"Mujhe agency ki regulations ke tehet chand hifazati guards chahiye." Wo chief haneefa ke saamne khadi thi. Wo bilkul gung hue use dekh rahe the.

Uska libaas. Uska libaas tha jo tawajjah kheenchta tha.

Wo qeemti silk ka gehre surkh rang ka libaas tha. Uski lambayi kadmon tak girti thi. Upri gala ek jaanib se band tha aur ek aasteen hatheli tak aati thi. Dusra kandha ek jaanib se barahna tha aur dusri aantee gayab thi. Uska safed bazu aur gardan ka nazuk hissa unchi baandhi ponytail ke baais mazeed wazay hogaya tha. Aage se saare Baal samet kar unhein Ariana Grande wali mashoor zamana ponytail mein gundha gaya tha. Silk ke libaas per kamar ke paas ek Silver rang ka chamakta hua belt maujood tha. Wo us libaas ki khubsurti ko chaar chaand laga raha tha. Aankhon per smokey makeup kiye, deep red rang ki lipstick lagaye. Wo bilashuba haseen lag rahi thi. Guards ko uski khubsurti sahaarne ke liye aankhein chundhiyani pad rahi thien.

Haneefa ne use regulations se zyada guards de diye the. Wo unhein liye kahin jaane ki tayyari mein thi. Nazar aur yuwal ko keh diya tha ke wo set per khud ko mehfooz mehsoos nahi karti isi liye un guards ko liye jaa rahi hai. Uska andaaz aisa tha ke koi bhi use mana nahi kar saka.

Uske nikalte hi Yasir apne cabin mein dakhil hua tha. Chief haneefa pareshani se uski jaanib badhe the.

"Yasir. Selena. Wo kayi guards ko apne saath liye jaane kahan gayi hai." Aur wo unki baat sun kar chonka tha.

"Kya meri team bhi gayi hai uske saath?" Aur chief ke sar hilane per wo tezi se uper ki jaanib bhaga. Saath saath usne saahir ke saath bhi raabta joda tha.

"Kahan ho tum?"

Aur uska jawab sun kar wo lamhe bhar ko saakit ho gaya tha. Phir tezi se apni car ki jaanib badha. Zan se gaadi aage le gaya.

Wo un guards ki humraahi mein ek buland o baal imaarat tak safar karke chali aayi thi. Shehzaadi ki jaanib ka darwaza khola gaya. Aur wo apne kayi gulaamon ki moyiyat mein aage badh aayi. Ye sab gulaam uske har jaanib maujood the. Buland o baal imaarat mein maujood afraad theher kar us surkh o safed ladki ko takne lage the. Us karobari imaarat mein uske aate hi halchal si mach gayi thi.

Wo bagair kisi dikkat ke aage hi aage badh rahi thi. Uski heels ki baazgisht guards ke booton ki baazgisht mein bhi wazay tor per sunai de rahi thi. Usne ek guard ko ishara kiya toh wo uske liye raasta banane laga. Use ab conference room ki jaanib badhna tha. Tamman raate use azbar the. Wo us NGOs ke kisi raaste ko nahi bhooli thi.

Shoaib bastaami ki ek lauti beti, mariya hassan auditorium numa conference room mein maujood ek meeting conduct kar rahi thi. Wo badi si screen ke saamne khadi kayi naamwar shaksiyaat ke saamne apne agle laaiha amal ko tarteeb de rahi thi.

Agency se NGOs ka head office dur nahi tha.

Wo apni car se nikal kar tezi se ander bhaaga tha. Mariya hassan ne us subha har shay ki tawaqqu ki thi. Lekin usne selena mazhar ko apne saamne aise dekhne ki tawaqqu hargiz nahi ki thi. Wo use dekh kar muskurayi thi. Phir aage badh aayi. Sab chehre uthaye use dekhne lage the.

Carpe Diem (Rabia Khan)Where stories live. Discover now