ch 47

91 9 1
                                    

Haneefa police station chale aaye the. Lock-ups mein kayi giraftar afraad ko rakha gaya tha. Mulk ke naamwar afraad ki zamanaton ka silsila jaari tha. Kisi media ke bande ko police station mein dakhil nahi hone diya ja raha tha. Barristers, judges aur kayi amraa ki aulaadein juwwe jaise ghunawne jurm mein giraftar ki gayi thien. Tv per unke naamo ka ishtihar (publicity) kisi surat bardaasht nahi kiya ja sakta tha.

Haneefa aage badhe toh unhein agle hi pal armaan nazar aa gaya. Wo unhein dekh kar usi taraf aa gaya tha.

"Uncle. Aapko mehez pandra minute ki mulakat ka waqt diya jayega. Theek hai na?" Uske istifsaar per unhone sar asbaat mein hilaya toh wo unhein apne saath liye kayi raahdaariyon mein aa nikla. Raahdaari ke ek sire per ek kamra maujood tha. Mujriman aur mulziman se prosecutors, wukla (lawyers) aur profilers usi kamre mein mulakat kiya karte the. Armaan unhein darwaze tak chod kar ja chuka tha. Unhone gehra saans liya aur phir aage badh kar darwaza khola.

Safed jhulte bulb talay shagufta safed chehra liye birajman thi. Aane wale ko ek nazar dekha aur phir saakit ho gayi. Haneefa aage badh aaye. Phir kursi kheench baithe. Unki aankhein zakhmi thien. Selena ke saath pe dar pe hue waqyaat ne unhein hassas kar diya tha.

"Meri beti ko mujhse juda karne ke baad ye hifazat ki hai tum ne uski? Uske peeche loan sharks ko bhej diya? Ek lamhe ke liye bhi nahi socha ke loan sharks insaano ka kya haal karte hain?" Unki zakhmi so awaaz ubhri thi. Shagufta agle hi pal besaakhta uth khadi hui thi. Uska chehra ab ke safed hone ke saath saath murda mehsoos ho raha tha. Hathkadi lage hone ke baais uske dono haath qaid the.

"Meine. Meine loan sharks ko uske peeche nahi bheja tha." Haneefa uski baat per bagaur uska chehra dekhne lage the. Unhein jaise uski kisi baat per yakeen nahi tha. Usi pal moid ne mariya ke office ka darwaza dhakela tha. Wo jo sheeshe ki khidki ke saamne aistadah thi, lamhe bhar ko mudi. Moid ki chubhti si bhuri aankhein use apne ander utarti mehsoos ho rahi thien. Wo agle hi pal aage badha aur use gardan se thaam kar deewar se lagaya.

"Kya bakwas hai ye? Agar tum ne unhein uska pata nahi diya tha toh wo us tak kaise pohinche?" Wo ghara kar aage jhuke the. Shagufta ke jism se khoon ka aakhri qatra tak nichod gaya tha. Wo beyakeeni se unke muqaabil aa baithi thi.

"Khuda gawah hai, haneefa. Meine unhein apni beti ka pata nahi diya tha."

Moid ke haath ki giraft uski nazuk gardan per bohot gehri thi. Besaakhta hi use khaansi aayi.

"Kyun bheja tha tum ne loan sharks ko uske peeche? Unhein maarne ka hukm kyun diya tha tum ne?"  Wo sard si dheemi awaaz mein gharaya tha. Mariya ke chehre ka rang safed padta ja raha tha. Phir wo yakdam hans di. Dono haathon se moid ki safed ungliyan apne halaq se hatane ki koshish bhi ki. Lekin uski giraft bohot sakht thi.

"Uski maut mere haathon likhi hai, moid. Tum mera. Kuch nahi kar sakte." Agle hi pal moid ne uski gardan chodi toh wo khaansti hui aage jhuki. Phir hans kar seedhi hui.

"Narm mizaaj rakhne wala shafeeq maahire nafsiyat! My foot!" Wo yakdam aage badhi thi. Phir uske muqaabil aayi. Uski aankhon mein jhanki.

"Agar is maahire nafsiyat ki tabah haal zehni haalat logon ke saamne aa gayi toh jaante ho wo kya karenge?" Wo sapaat chehra liye use dekh raha tha.

"Tumhare psychopath hone se mujhe koi farq nahi padta. Lekin socho. Tumhare mareezon ko kitna farq padega?" Billi jaisi shaitani aankhein thien uski. Moid ki safed peshani per kayi lakeerein ubharne lagi thien.

"Selena ka peecha chod do."

"Saabit hota hai ke sirf mein hi uske peeche nahi. Tumhare aur mere jaise kayi log uske peeche hain. Wo din dur nahi jab uski bhi laash baaki actress ki tarah pankhe se jhulti hui milegi.

Carpe Diem (Rabia Khan)Where stories live. Discover now