ch 34

73 4 0
                                    

Agle din wo intehaai thakan ke bawajood bhi shoot per chali aayi thi. Us pure hafte uske auqaat kaar khaase masroof the. Nazar amjad ne ye photoshoot bohot kathin marahal ke baad rakhwaya tha. Wo apne masail mein apne kaam ko nazar andaaz karne jaisi jasarat nahi kar sakti thi. Aisi luxuries ki gunjayish sirf un actress ke paas nikalti thi jo khaasi ameer thien. Us jaisi adakaara ke paas sar jhuka kar kaam karne ke alawa aur koi raasta nahi tha.

Shoot ke dauran hi use chief haneefa ki call mausool hui thi. Wo use kisi ehem maamle ke tehet agency bula rahe the. Usne shoot se faarigh hokar unse milne ka waada kar liya. Lekin shoot se faarigh hote hote bhi use maghrib ho chuki thi. Thakan thi ke aasaab se ab pathon(muscles) mein sarayat karti jaa rahi thi. Wo maghrib ki azaanon ke saath hi agency mein dakhil hui thi. Glamour agency waqatan glamour si lag rahi thi. Raat ki utarti siyaahon mein uske safed roshan qumqume har jaanib roshan the. Un roshniyon mein use pal bhar ko apni aankhein chundhiyati hui mehsoos ho rahi thien.

Wo aage badh aayi. Yuwal aur nazar amjad ko apni aamad ki italla di aur unse haal o hawal daryaaft karne ek baad nichle floor tak chali aayi. Shoot ke baad wo khaase araam deh se libaas mein malboos thi. Usne halke gulaabi rang ki ghutnon tak aati frock zebtan kar rakhi thi. Safed tights aur heels ke bajaye sneakers pehne, khule baalon ko peeche kiye un per pyara sa rumal baandhe. Chehre per do adad bareek latein giraye. Wo khubsurat lag rahi thi.

Aage badhte hue usne bohot se guards ko sar ke qam se muskurate hue salam ka jawab diya tha. Use agency ka ye nichla floor bohot pasand tha. Kyunke us jagah kabhi uski beizzati nahi ki gayi thi. Kabhi use hiqarat se nahi dekha gaya tha. Use har guard ne hamesha izzat ki nigaah se dekha tha.

Khadakte phone ke ghantiyon aur hami ke saath aate jaate guards ke bawajood bhi use wo jagah pursukoon mehsoos hui thi. Chief haneefa ke office se qabal, Yasir ka cabin maujood tha. Usne lamhe bhar ko ander jhaank kar dekha. Saath khud ko Yasir ki daant ke liye tayyar bhi kar liya. Wo yun ek maaroof team ke office mein jhaank rahi thi. Koi lataatdta ya nhi lekin Yasir ki jaanib se padne wali jhaad yakeeni thi.

Lekin ander ka manzar use hairan kar gaya tha. Team ka koi bhi rakun ander maujood nahi tha. Darmyaane table per bohot si files aur laptops khule rakhe the. Aisa lag raha tha jaise wo kisi ke oftad (accident) ke aane per apne office se uth kar gaye the. Usi masroof table ke paar, koi tha jo namaz padh raha tha. Wo theher gayi thi. Phir aahistagi se ander chali aayi.

Wo siyaah coat kursi per daale, mehez dress shirt mein malboos namaz ada kar raha tha. Utarti maghrib mein agar koi manzar ho sakta tha toh selena ke liye wo yahi manzar tha. Uske pursukoon ruk'u aur sajde ki harkaato sakeenaat use ruk kar dekhne per majboor kar gayi thien. Usne kabhi nahi socha tha ke kisi ko namaz padhte dekhna bhi itna dilchasp ho Sakta hai. Usi peher zaar Yasir ko awaaz deta ander dakhil hua toh selena ne use yaklaqt hi labon per ungli rakh kar Khamosh rehne ka ishara kiya.

Uske haath mein ek khuli file maujood thi. Shayad wo use kuch dikahne laaya tha. Yasir per nigaah padte hi wo ma'azrat khwahna sa muskura kar bahar ki jaanib badh gaya. Wo salam pherne ke khareeb hi tha ke selena ko chief haneefa ki jaanib se call kar liya gaya.

Wo use yunhi chod kar unke office ki jaanib badh gayi thi. Salam pher kar lamhe bhar ke liye Yasir ne palat kar dekha tha. Wahan koi bhi maujood nahi tha.

"Aapko agency ki jaanib se ek guard assign Kiya jaa raha hai, selena. Aap work place ya phir kisi bhi jagah is guard ke bagair nahi jayengi. Agar aap uske bagair jayengi toh aapko mujhe apni majboori se pehle hi agaahi deni hogi. Kya aapko is aqdaam per koi aitraaz hai?"

Wo chand pal unka shafeeq sa Chehra dekhti rahi thi. Phir seedhi ho baithi.

"Mujhe koi aitraaz nahi hai. Mere paas muaitraz hone ka koi jawaz maujood nahi. Lekin bas ye bata dein ke mujhe konsa guard de rahe hain aap?" Wo chand pal uske istifsaar per use dekhte rahe the. Wo hamesha aise sawal kiya karti thi jo sab se kam ehmiyat ke haamil hua karte the. Wo bhi aisi masumiyat se ke us per gussa nahi aaya karta tha.

Carpe Diem (Rabia Khan)Where stories live. Discover now