ch 7

428 28 8
                                    

Wo neechla lab daanton tale dabaye, uper badhti lift mein maujood tha. Agle floor per pohonch kar lift ka darwaza khula toh wo bahar nikal aaya. Phir ek pal ko theher sa gaya. Saamne maujood director ke office se saleena udaas si nikal rahi thi. Yuwal uske peeche aaya tha. Unki awaazein use yahan tak sunayi de rahi thien.

Shayad writer ne saleena ko drame mein lene se inkaar kar diya tha. Ek aur takleef deh rejection. Yuwal ne use tasalli di aur chala gaya. Wo purse haath mein thaame khule se baal mein khadi reh gayi. Aaj usne siyaah maxi zebtan kar rakhi thi. Dur se dekhne per uska wajood chamak raha tha. Yasir chup chap use dekhe gaya. Usi pal wo zeenon ke darwaze ki jaanib badhi toh dur se aati colleague workers ko dekh kar theher si gayi. Phir muskura kar unse haal ehvaal lene lagi.

"Ooh. Aap lift kyun use nahi kar rahi?" Ek ne pucha toh wo hans di.

"Thoda weight lose karna chah rahi hun. Seedhiyan best hain weight lose karne ke liye." Peeche khade yasir ne afsos se gehra saans liya tha. Workers aage badhin toh wo gehra saans bharti darwaza khol kar zeenon per utar aayi. Wo mechanici andaaz mein uske peeche badha tha. Wo zeenon se tanha utra karti thi. Koi bhi uski routine track karke use nuksan pohoncha sakta tha.

Zeenon per do nufoos (souls/ individuals) bilkul Khamoshi se utar rahe the.

Saleena upri zeenon per khamoshi se utarte yasir ki maujoodgi se beqabar thi.

Lekin wo uski maujoodgi se baqabar tha. File ab tak uske haath mein thi aur zeenon per utarte uske kadmon ki chaap na hone ke barabar thi. Aur ye toh tay tha ke bodyguard yasir alam jald hi is confidential kaam ka hissa banne wala tha.

__________________

Wo uske peeche bilkul Khamoshi se utar raha tha. Uska dimaag apne aur chief haneefa ke darmiyan hui guftgu ke darmyan uljhan hua tha. Usi asna'a (duration) mein use ehsaas hi na ho saka ke saleena ki tak tak karti heels ruk chuki hain. Wo zeenon per gayab dimaagi ke saath utar raha tha ke yakdam gad bada kar peeche hua. Saleena saamne maujood zeenon ke kushada hisse mein khadi, haath bandhe use ghoor rahi thi. Usne khankhaar kar aas paas dekha.

"Tumne kal kaha tha ke tum stalker nahi ho." Wo use aankhein choti kiye ghoorti hui zeene chadh rahi thi. Phir usse ek zeene neeche ruk gayi.

"Mein apne raaste jaa raha tha."

"Peeche aane wala hamesha peecha kar raha hota hai." Aankhein ab tak choti thien. Rangat jo likhari ke inkaar per zor pad rahi thi. Ab ke kuch kuch bahaal mehsoos ho rahi thi.

"Kahin tum mujhe tanha paakar mujhse fayda toh nahi uthane wale the? Aisa sochna bhi mat. Meine Kung fu mein karate kar rakhe hain." Gardan utha kar kaha toh yasir ke abru ta'ajjub se uper ko uthe.

Usne aisa jumla aaj tak nahi suna tha.

"Kung fu mein karate?"

"Na sirf ye balke hathyaar bhi maujood hain mere pass." Agle hi pal usne apne siyaah purse se seb kaatne wali churi nikaal kar yasir per taani thi.

"Ye hathyaar hai? Ise khilona nahi kehte?" Kya Kamaal sanjeedgi se pucha tha usne.

"Iska istemaal ise khatarnak banata hai."

"Aapko iska istemaal aata hai?"

"Kya tum per tajurba karke saabit Karun?" Aabru utha kar pucha. Wo bezaar hone laga tha.

"Agar aap raasta dengi toh mein apni matlooba jagah tak pohonch sakta hun."

"Pehle ye batao ke lift chod kar tum seedhiyon se kyun neeche Jaa rahe ho? Ek mazboot jawaz do." Chand pal theher kar yasir ne apne baal khujaye the.

"Mein thoda.... weight lose karna chah raha tha." Wo uske jawab per chand pal ke liye lajawab hui thi.

"Mera. Mazaak udha rahe ho tum? Mein tumhe utha kar phenk sakti hun in seedhiyon se neeche." Chaba kar kaha toh yasir ne ek naqidaana (indiscriminate) si nigaah uske saraape per daali. Siyaah maqmali maxi uske pairon tak thi. Lekin uska upri hissa khula tha. Us khule hisse se uski collar bones wazay tor per ubhri hui nazar aa rahi thien. Jism is qadar nazuk tha ke dekhne per bhi uski haddiyan nazar aaya karti thien. Ye uska nahi uske profession ka qusoor tha.

Carpe Diem (Rabia Khan)Where stories live. Discover now