ch 13

78 10 2
                                    

Wo aaj phir se siyaah libaas zebtan kiye agency chali aayi thi. Silk ka siyaah khubsurat libaas, jo uske taqnon se zara uncha tha. Gale mein maujood safed nazuk sa choker aur ek kalai mein bareek sa bracelet. Kaanon mein tops pehne, shehed rang baalon ko ek taraf daale. Wo bareek siyaah heels mein aitemaad se chalti nazar ke office ki jaanib badh rahi thi. Julia ko apni secretary ke saath muqalif simt mein bane office ki taraf jaa rahi thi lamhe ke hazaaron hisse mein chonk kar thehri. Shahnaz bhi use rukta dekh kar besaakhta ruki thi. Siyaah maflar. Jo yasir us din uske mana karne per bhi apne saath le aaya tha.

Wo palti aur phir usi tezi se aage badh aayi. Saleena ko awaaz dekar roka.

"Excuse me." Wo nazakat se palti thi. Use dekh kar sawaliya sa aabru uchkaya.

"Ji?"

"Ye maflar. Aapka hai?" Wo uske sawal per jazbuz hui thi. Phir sar nafi mein hila kar gale mein maujood choker per pehne maflar ko utaara. Halka sa muskurayi. Aah. Wo actress thi.

"Ye ek guard ne mujhe diya tha. Fan tha mera. Meine socha rakh leti hun." Maze se kaha toh Julia Anderson ke kadmon tale maujood zameen lamhe bhar ko hil si gayi. Yasir alam. Saleena mazhar ka fan tha?!

Use apne kaanon se dhuwan nikalta mehsoos ho raha tha. Saleena ne na samajhi se uska surkh padta chehra dekha.

"Kya koi issue hai?" Aur isse pehle ke wo kuch samajh paati Julia aage badhi aur uske haath se maflar kheencha. Wo uski harkat per shashdar (amazed) reh gayi thi. Shahnaz bhi chonk si gayi thi.

"Usne kaha wo tumhara fan hai?" Uski mazaak udhati nazrein Saleena ko bohot buri lagi thien.

"Ji. Kya wo mera fan nahi ho sakta?"

"I mean. Itni cheap cheezein pasand nahi karta wo." Uska andaaz bohot bura tha.

"Cheap kisko kaha hai aapne? Apne aap ko dekha hai? Aise maflar kheenchti hui aap zyada cheap lag rahi hain." Usne bhi usi tezi se maflar kheencha tha. Julia ko uski juraat per jaise yakeen nahi aaya. Usne aage badh kar uske haath se dobara maflar kheencha aur phir use muskura kar dekha.

"Ab ye faisla aapka fanboy hi karega. Ke usne ye aapko khud diya tha ya nahi." Usi ke saath wo tezi se palat kar underground jaati lift ki jaanib badhi. Saleena bhi usi tezi ke saath uske peeche aayi thi. Lekin lift band ho chuki thi. Usne button dabaya. Jawab nadaarad. Uff. Ek toh yahan ki lifts ke official cards. Wo tezi se zeenon ki jaanib bhaagi thi.

Agle kayi lamhaat mein Julia yasir ke sar per khadi thi. Uske haath mein siyaah maflar bhi tha. Floor per kaam karte tamaam guards yasir ke cabin ke darwaze per khade the. Aur tamasha bas shuru hi hone wala tha. Aaj se pehle koi actress yun neeche nahi aayi thi. Ye pehli dafa tha is liye sab ki dilchaspi ka markaz tha.

"Ye maflar tumne diya tha us actress ko? How dare you!" Wo us per garayi. Usi pal saleena haanpti kaanpti zeenon ka darwaza khol kar floor per aayi thi. Use dekhte hi guards ke darmyan shor sa mach gaya. Kisi ne use dekh kar "beauty queen" ka na'ara bhi lagaya tha. Koi kehta nahi tha lekin wo un sab guards ke dilon per raaj karti thi.

"Saleena mazhar aa rahi hain." Kisi ne chief haneefa ko italla kardi thi. Wo hairat zadaj se apne office se uth aaye. Cabin ke bahar laga rush use dekhte hi chut gaya tha. Wo sab darmyan se hate. Siyaah bareek heels ki tak tak ke saath wo ander dakhil hui. Kandhe par pade baal peeche jhatke toh Sher hassan ko dil ka daura padte padte reh gaya. Aah wo saleena thi.

"Ye. Jiske paas official card tak nahi hai. Tumne ye maflar ise diya tha! Mujh per use faiqiyat (preference) di thi?" Saleena per ek naqadaana nigaah daal kar bolti Julia ne acha nahi kiya tha. Siyaah libaas wali ladki aage badhi aur uske haath se maflar zor se kheencha. Uski juraat per peeche se guards ki dabi dabi "hoo" ki awaaz goonji thi.

Carpe Diem (Rabia Khan)Where stories live. Discover now