Kuch masroofiyat ke baais wo armaan se mil nahi saka. Agli subha agency ke nichle floor per khaasi gehma gehmi thi. Wo apne cabin mein birajman tha ke ek guard ne darwaze se sar ander daala.
"Kya yahan model Yasir alam rehte hain?" Peeche se dabi dabi hansi ubhri thi.
"Sher!" Usne sar uthaye bagair tanbeeh ki toh wo yun gayab hua jaise gadhe ke sar se singh.
Agle lamhaat mein wo haneefa aur salman ke saamne haath baandhe khada tha.
"Tum ne modeling kab shuru ki? Jaante ho na guard hone ke saath koi bhi part time job nahi kar sakte tum." Haneefa ne thandi si tone ke saath meetha sa tanz kiya tha. Usne gehra saans liya tha.
"Jis model ne walk karni thi wo bhaag gaya tha."
"Miene koi tafseel nahi maangi." Salman ne hansi chupane ke liye chehra jhuka liya tha. Usne sar asbaat mein hila kar yahan se nikalne hi mein aafiyat jaani thi.
Apne office ki jaanib badhne hi laga tha ke saath se guzarte senior guard ne uske kandhe par haath rakha.
"Mujhe kal hi pata chala hai ke tum safed suit mein bhi ache lag sakte ho." Usne zehni tor per karaah kar gehra saans liya tha.
"Bohot shukriya aapka."
"Shukriya kaise. Bhai ho tum apne."
"Ji bilkul."
Kuch pal baad usne cabin mein aakar file zor se table per patki. Usi waqt armaan uske office mein daakhil hua tha.
"Tum kal ramp per kya kar rahe the?" Usne use khoonkhawaar nazron se ghoora. Armaan ko samajh nahi aaya ke wo itne gusse mein kyun hai.
"Kya?"
"Mujhse agar kal ke baare mein ek aur sawal kiya na tumne. Toh salamat nahi jaoge yahan se." Armaan hans raha tha. Yakeenan sab ne uski nas per sawalaat maare the. Isi liye wo tapa baitha tha.
"Case ka kya bana? Koi lead?" Kuch pal baad usne sar uthate hue pucha toh armaan ne sar asbaat mein hilaya. Wo uske saamne hi kursi per baitha tha.
"Qaatil ko compulsive disorder hai."
Uske aabru lamhe bhar ko sukde.
"Kaise?"
"Uske qatal karne ke andaaz se pata chalta hai. Mein kal Samreen raza ki report dekhne gaya tha laboratory. Uski report mein wazay tor per dekha ja sakta hai. Ke jis tarah use qatal kiya gaya hai. Wo normal insaan nahi kar sakta. Kisi zehni mareez ka kaam lagta hai ye."
"Ek report dekh kar use disorder ka shikaar keh dena ek bada da'wa hai." Usne kaha toh armaan ne samajh kar sar hilaya.
"Lekin uske qatal karne ka tareeqa. Uska hathyar. Us hathyar ka istemaal. Waqt aur jagah. Sab ek khaas Pattern ke tehet kiya gaya hai. Criminal profilers ka manna yahi hai ke qatil ko koi na koi zehni aarza la haq hai."
"Criminal profilers ki taraf se harmi report aa gayi kya?"
"Filhaal toh nahi. Wo kuch research kar rahe hain. Kuch dino tak mil jayegi report." Usne hankara bhar kar sar hilaya tha.
"Aath dafa. Kul aath dafa usne victim ke sar per hathyar se waar kiya hai. Kya tumhe ye normal lagta hai?" Armaan ne kuch pal baad pucha toh usne sar nafi mein hilaya. Aath dafa bohot zyada tha. .
"Uska hathyar kis noiyat ka hai?"
"Hathodi numa. Lakdi ke daste wala. Bhaari bharkam."
"Ye mehez qiyaas aarai (spectaculation) hai?"
"Haan. Victim ke zakhmon se toh ab tak yahi aqz kiya gaya hai."
"Qaatil ka qad kitna hai?"
"Chay feet ek inch." Armaan ne jawab diya toh usne sar hilaya. Wo kuch soch raha tha.