Sadak tham gayi thi.
Usne ruqsaaron ko chu kar dekha toh wo bheege hue the. Sadak khatam ho chuki thi lekin maazi ki takleef deh yaadein abhi tak saath thien. Wo dakhili darwaze se apartment ki imarat mein dakhil hui. Phir lift ki jaanib chali aayi. Abhi lift ka darwaza band hone hi laga tha ke siyaah dastaane wala haath lamhe bhar ko darwazon ke darmyaan aaya.
Insaani maujoodgi ke bais darwaza phir se khul gaya tha. Siyaah libaas mein malboos shaks ander dakhil hua. Uske chehre par siyaah mask chadha tha aur sar per cap liye wo nazrein jhukaye ander dakhil hua tha. Lift ka darwaza band hogaya. Saleena ne ek sa sarsari si nigaah us shaks per daali thi. Aur isse pehle ke wo kuch samajh paati aage wale ne uske gale mein moti si rassi daal kar peeche ki jaanib zor se kheencha toh wo khaansti hui aage jhuki. Uska saans band ho raha tha. Wo haath maarti bamushkil lift ke button dabane ki koshish kar rahi thi. Kheencha taani mein uska rumaal khul kar lift mein hi gir gaya tha. Hamlaawar puri quwwat se rassi peeche ki jaanib kheench raha tha. Wo himmat khatam hone per besaakhta hi ghutnon ke bal jhuki thi. Gale se rassi nikaalne ki koshish mein usne apne naqunon se apni hi gardan zaqmi karli thi. Use laga wo mar rahi hai.
Uska saans halaq ke bilkul aakhri hisse mein atka hua tha. Lift ke button per rakha uska haath kapkapa kar neeche aa gira tha.
Zubair and sons company ka chota beta uska fan tha. Lekin use pata nahi tha ke wo ek stalker fan hai. Toxic fan. Usne use apni party mein madov (invite) kiya tha. Aur phir uske mashroob mein drugs ghol kar use pila di thien. Agle kayi ghanton mein police ki aamad ke saath hi wo nashe mein dhut bar aamad kar ki gayi thi. Uske test karwane per pata chala ke wo drugs le chuki thi. Uske career ki bulandi zameen par aa giri thi. Us scandal ne kabhi uski jaan nahi chodi. Wajid jo usse shadi karne hi wala tha. Ab kabhi use apni biwi nahi bana sakta tha. Wo ek bad kirdaar actress saabit hui thi. Wo uski biwi kaise ban sakti thi.
Kapkapata haath zameen par wo kheench kar saans le rahi thi. Uski aankhon se kayi aansu toot kar gire. Shiddat per laga goya uske phepde phatke ko hai.
Kya ye uska ant tha? Ek mehroom actress ka anjaam.!
Wajid hassan. Maa. Mehroom zindagi. Shaheer ke haathon padi maar. Bhook ki aziyat. Aziyat per aziyat. Uski muzaahmat dam tod rahi thi. Wo mar rahi thi. Wo marne wali thi. Ke yakayak lift ke dono darwaze ek dusre se juda hue. Aur kisi ne hamlaawar ko zordaar laat maari toh wo peeche deewar se jaa laga.
Use samajh nahi aaya. Wo neem behoshi ki haalat mein thi. Aane wala hamlaawar ko buri tarah maar raha tha. Lekin hamlaawar uski giraft se nikal kar bhaag chuka tha. Us shaks ke paas filhaal uske peeche bhaagne ka waqt nahi tha. Saleena ka wajood hawa se bhi zyada halka hogaya tha. Use saans nahi aa raha tha. Phepde jaise saans lene se inkaar hogaye the.
Uska maseeha ab use seedha kiye us per jhuka hua tha. Uski adh khuli aankhein use tak rahi thien.
Wo shayad uska ruqsaar thapthapa kar kuch keh raha tha. Wo use sun nahi paa rahi thi. Sab dhundla hota jaa raha tha. Aur phir. Us shaks ne use apne haathon mein utha liya. Ab wo use liye tezi se aage bhaag raha tha. Aziyat jaise tham rahi thi. Wo behosh hui uske haathon mein jhool rahi thi.
Use bas bachane wale ki aankhein yaad thien.
Wo surmayi aankhein thien.
Khubsurat aur surmayi!
_________________
Wo aankhein band kiye daraaz thi. Wo aankhein kholna chahti thi lekin nashawar dawaiyon ke zere asar use palkein juda karna dushwar malum ho raha tha. Yakayak use apne ruqsaar per kisi ka haath mehsoos hua. Thanda sa lams.
Wo haath ab ruqsaar se phisal kar uski zaqmi gardan per aa thehra tha. Aur phir use kisi ki garam saansein apne kaan ke behadh khareeb mehsoos hui thi. Use apna saans rukta hua mehsoos ho raha tha. Kya wo koi khwaab dekh rahi thi?