Aitbaar

634 46 16
                                    

Rey enters the canteen in anger & joins the Gang. He keeps muttering to himself whereas others are looking at him with confused & weird expressions.

Nil: Rey tu theek haina?

Rey: Arre kya theek hoga.. ek toh hum sab yahan affiliation ko wapas paane ke liye itni mehnat kar rahe hain & wahan madam gul charre uda rahi hain.

Sharon: Gul what?

Aashi: Inka matlab romance types?

Gang: Lekin kaun?

Rey: Aur kaun? Kriya.

Gang: KRIYA?!

Swayam: Rey tera top floor theek toh hai? Yeh tu kya bakwas kiye jaa raha hai?

Rey: Main?! Kal se dekh raha hu... pehle diary ko lekar tensed hogayi jab maine uski diary padhi bhi nahin thi. Then kal usse kissi Abhishek ka call aaya toh woh nervous hogayi aur phone nahin uthaya. Aur ab apne so called personal kaam se chali gayi woh bhi kisi ladke, shayad woh Abhishek ke saath.

Simmi: Arre, uski life hai uski joh marzi woh kare. Agar woh Abhishek or whatever jiske saath gayi hai toh shayad kisi reason se gayi hogi.

Rey: Bina mujhe bataye?

Amar: Kyun? Tu utka boyfliend hai? Nahin na? Toh woh tujhe kyun batayegi?

Rey: Arre friend hai woh humari... kya woh humpe trust nahin kar sakti?

Swayam: Trust issues Kriya se zyaada kisse hai.. woh hum bhi jante hai aur tu bhi.

Rinni: Trust do individuals ke beech ek pillar ki  tarha hoti hai Rey. Kriya aur humare beech ka trust utna hi strong jitna ke pehle tha. And woh tumpe bhi trust karti hai but you—

Bharat: Yede tu toh usse apna dost bhi nahin maanta.

Rey: Tum sab kehna kya chahte ho.

Vicky: Mere bhai baat yeh hai ke jab ki tension tu kyun le jab woh teri kuch lagti hi nahin.

Aashi: Ya phir woh aapki bohut kuch lagti types hai issliye aap itna pareshan types ho rahe ho.

Sharon: Correction. Jealous, tum jealous ho rahe ho ke Kriya ki life mein tumhre alava koi aur bhi hai.

Rey: What nonsense. Mere alava toh Amar, Bharat, Nil, Vicky & Swayam bhi toh hain.

Nil: Haan sab bhi toh hain but you see we are just good friends aur tu uska achcha dost se shayad kuch zyaada hai, nahin?

Swayam (thinks): Ab isse kya pata ke do saal pehle tak yeh dono ussi track pe the aur ab Rey ki gaadi uss patri se hatne ka naam nahin le rahi.

Now one by one everyone leaves from the canteen patting a frustrated Rey's shoulder.

Rey recalls how he use to get protective & possessive about Kriya when boys use to link her with Swayam or Shivam getting acquainted with her (Chandaniyaan in BG).

Rey: God! Meri feelings meri problem hai aur mujhe inhe handle karna aana chahiye. Please god, I don't want to fall in love again.

Saying so he leaves the canteen but little did he know, Swayam & Sharon had heard him speaking to himself. Both were smirking at how their friend is just a few steps far from realizing his true feelings.

*The End*

------------------------------------------------------------------------------------------

A short TS of Rey being tormented b/w his feelings after seeing Kriya with Abhishek. I so wished that CVs will elaborate more on that topic keeping aside the POV of Kriya.

Do leave your precious vote, comments and share this work also don't forget to Follow this book so I can keep you guys posted. See you soon with the 2nd part of this TS till then *Muah*!

Happy Makar Sankrati to all KriYaansh Fans!! 🤗

@SarafWasima

Kriyaansh OS CompilationsWhere stories live. Discover now