Woh apny kamry sy nikal kr khany ki table pr gaye thi
Kia hoa phr kia faisla kia appny beta.
Baba mujhy koi khaas masla nhi hai is rishty sy app soch ly agr app ko theek lagy to app un ko haa boldy.
Wafia khaamosh ho gaye thi or us ky baba or mama boht kush thy unho ny us ko galy lagaya tha
Beta woh bohat acha hai mujhy or apki mama ko bhi hohat pasand hai
Mai abhi un ko phone kar ky bata hu.
Us ky baba phone kary batta chuky thy or wafia chup thi.
Raat ko woh apny kamry mai bethi thi jub dubara zuhaib ki call aye.
Mujhy yakeen nhi ho raha.
Appny haa kio ki.
Mainy bohat sooch kar haa ki hai appka kasoor nhi tha appky dost ka tha .
Appny mujh sy badla leny ky liye to haa nhi ki.
Wafia hans pari thi
Nhi mainy badla leny ky liye nhi ki ha.
Paka?
G vesy bhi galti appky dost ki thi.
Or meri mafi ka kia hoa?
Mainy maaf kia.
Oh shukrr thankyou.app zakriya ky sath kia kary gi ubb.
Yeh faisla mainy pehly hi Allah ky havaly kar dia tha mai intekam nhi leti Allah pr chor deti hu woh behtareen faisla karny wala hai.
Hmm.... Zakriyya mera dost hai app us ko maaf nhi kar sakti.
Nhi. Wafia intahai gussy mai boli thi.agr appny zakriya ky baary mai baat karni hai to phr allah hafiz
A cha.chaly yeh app ka orr us ka masla hai allah hafiz.
..................
Woh kamry mai tiyaar bethi thi sath hi uski ammi or chand rishtydar bethy thy us ky baba ny darwaza knock kiya or molvi sahb chalty hoe nikkah ky liye andar aye.
Ijazaat ha?molvi sahb ny ijazaat chahi.
G ijazaat hai.
Wafia khan app ka nikkah...
Wafia ki zindagi ka ik mushkil faisla tha yeh likn us ny apny app ko Allah ky havaly kar dia tha.
G qabool hai.
Molvi sahb dubara pooch rahy thy.
Us ko noor ki baat yaad aye thi.'yaar pata nhi kon khushkismat larki hogi jis ki shaadi zohaib sy hogi'
Or ajj wafia woh khushkismat larki bany wali thi.
G qabool hai.
Molvi sahb akhri dafa dhura rahy thy.
Mai itna bura nhi hu jitna app mujhy samjhti hai yakeen Kary.
Zuhaib ki kahi gaye baaty uus ky kanoo mai aye thi.
G qabool hai.
Us ki ankhy num thi jis shaks sy woh nafraat karti thi ajj woh khud ko us ky naam kar chuki thi.
Ubb woh wafia khan sy wafia zuhaib ban gaye thi wafia ko kismaat ka khel bhi ajeeb laga tha insaan ki kismaat mai kia likha hota hai yeh to khud insaan bhi nhi janta kuch faisly allah khud karty hai or beshak woh behtareen hoty hai.
.us ky nikkah my zakriya nhi aya tha na hi us ko bulaya tha london jany ky baad us ny zuhaib sy koi raabta nhi kia tha na hi zuhaib ny koshish ki thi.
............................
6 saal baad4 saala noor bahir garage mai zuhaib ky sath ball sy khail rahi thi wafia andr sy un ky liye chai laye thi.
Noor or zuhaib aa jaye noor beta thora break ly lo dekho paseena aa raha hai app ko.
Nhi na mama plz thori dair or baba mama sy kahy na.
Choti si noor bol thi zuhaib ki jaan thi woh bachi.
Wafia khelny do meri beti ko.
Mai app bap beti sy boht tang hu khely mujhy kia yeh chai agr thandi hoi to mai ny duhara nhi banani.
Acha theek hai na bana na.zuhaib ny us ko kaha tha or dubara apni beti ky sath khelny laga tha zindagi ky 6 saal ik dum guzar gaye thy zuhaib ajj bhi vesa tha bilkul fit.Or noor ky liye apny baba sub sy ziada handsome thy dunyaa mai.
Pichly. 6 sall boht achy guzry zindagi sukoon sy guzr rahi thi woh 3 logo ki family bohat kush thy zuhaib apni beti noor sy boht pyaar karta tha sunday ko woh bahir bethy thy.Jub guard aya tha
Sahb app sy milny aya hai koi?
Kon hai?
Pata nhi sahb.
Acha idhr hi bhej do.
Wafia andr gaye thi cheeni leny chai ky liye.
Bahir sy anny wala zakriya tha zuhaib us ko dekh kar khara ho gia tha zakriya kitna badl gia tha ankhoo mai verani ajeeb sa khoof likn chehry pr muskaraht sakaye apny andr ky tofaan ko kahi bohat andr dabaya hoa tha zakriya ny.woh aggy bhara tha zuhaib ko galy lagany ky liye.
Thori dair baad woh peechy hoa tha
Mai boht bikhr chuka hu mai khali hath reh gia hu.zakriya ny zuhaib ko kaha tha
Arry yeh beti hai tumhari .
Ha beti hai.
Mainy pics dekhi thi tumhari likn tumny apni wife ky sath nai lagaye koi pic.
Ha bus us ko nhi pasand.
A cha..
Kia naam hai app ka?
Zakriya neechy beth kar us sy pooch ra tha
Woh us ki baat sun kar andr bhag gaye thi shayad naam ka asr tha
Noor nam hai.zuhaib bola tha meri or wafia ki beti hai.
Zuhaib ka lehja intahai ajeeb tha .
Or zakriya shock mai tha.
Wafia yeh wohi larki ha.. Abhi woh bol raha tha jub
Andr sy wafia aye thi
zuhaib noor ko kia hoa.woh bol rahi thi jub ik dum zakriya ko dekh kr khamosh ho gaye thi
Yeh hamary ghr mai kio khara hai.us ky lehjy sy hi nafraat saaf nazr aa rahi thi.
Is sy milny aya tha.tumhari dost ki badua lagi hai mujhy jo ajj khali hath reh giya hu mai.
Zakriya us ko dekh kar bola tha.
Meri dost tumhy kia badua dygi woh to usi din dunya sy chali gaye thi zakriya jis din tumny us ki izaat ka janaza nikala tha.
Wohh woh mar Gaye.zakriya hiraani sy bola.
Mari nhi tum ny mar dia us ko.
Phr us ki maa ki badua lagi mujhy jo meri zindagi tabah ho Gaye.
Zuhaib side pr khara sub sun raha tha woh kuch nhi bola us ko samjh hi nhi arraha tha ky kia boly.Tumhari zindagi khaa Gaye un ki ahh bakwaas mat karo tumhari ghatiyaa harkaat khaa gaye noor ko us ky maa baap ko jin ki jwan ulaad mar gaye.or tum keh rahy ho tumhari zindagi khaa gaye un ki ahh tum to mery samny khary ho sahi salamat.
Sahi nhi hu mai nhi hu mai sahi woh ik dum cheekh para tha. Meri biwi mar gaye meri beeti mar gaye mujhy mery gunah ki sazaa mili mery jigar ka tukraa thi woh mar gaye meri ankhoo ky samny meri beti mar gaye mai kuch nhi kar saka kuch nhi. Woh kehti thi mai us ka super hero hu hospital mai us ny mujhy kaha ky
Baba app kio nhi aye mujhy or mama ko bachany us1ky akhri ilfaaz yeh thy meri bethi mujh sy gila karty hoe gaye dunyaa sy.tum soch sakti ho kitna dukh hoa tha mujhy.bolo soch sakti ho.
.woh phr cheekh para.Meri bhi dost thi woh behn thi meri meri ankhoo ky samny apni sachai ka yakeen dilaty dilaty mar gaye mai bhi kuch nhi kar saki tumhari anna ny zindagi barbaad kar di meri, noor ki,us ky maa baap ki, un ki izaat ka janaza nikal diya tum ny zakriya woh bhi cheekh pari mainy tumhy kbhi badua nhi di.
Tum ajj bhi nhi badly itna kuch ho gia tumhary sath ajj bhi tumhari anna khatam nhi hoe tum ajj bhi sharminda nhi ho zakriya.
Ajj bhi maafi bhi nhi mangi tum ny.ajj bhi tumhari ankhoo mai sharmindagi nhi hai.
Mai maafi nhi mangta kisi sy zakriya baig kabhi nhi jhukta. Ubb to mery pass vesy bhi kuch nhi bacha ky us ki wajah sy mai mafi mangu tum sy.mai food Marta hu meet Andr agg lagi hoi hai mai jal raha hu sukoon nhi hai mery pass.
kitni ana thi us mai itna kuch ho gia or woh abhi bhi nhi jhuka.
Kuch logo ko Allah wakai kabhi hidayaat nhi deta jaisy zakriya.
Mainy pehly tumhy badua nhi di likn ubb deti hu kash tumhy kabhi sukoon na mily tum tanha ho jao.
Mai tanha reh gia hu kuch nhi hai mery pass yeh badua kafi pehly lag chuki hai mujjy kisi ki shayad noor ki maa ki likn ubb mai kis liye mafi mangu meri biwi to chali gaye meri beti to chali Gaye.
Zakriya ny us ko dekha tha phr zohaib ko dekha tha or bola tha
shaadi Mubarak or beti bhi chalta hu khuda hafiz.
Zuhaib ky kandhy pr hath rakha tha
Zuhaib ny uski baat ka jwaab nhi dia tha zakriya jany laga tha jub zuhaib bola tha
Allah tumhari zindagi assaan kary or tumhari saza jaldi kat jaye. Jo kuch bhi tha woh us ka wahid dost tha behtareen dost us ki yeh halat dekh kr us ko takleef hoe thi.
Zakriya chala gia tha wafia neechy hi ghaas pr beth gaye thi zuhaib neechy jhuka tha
Wafia maaf kardo us ki halat dekho us ki biwi chali gaye beti chali gaye.
Wafia ny zuhaib ko dekha tha
Mainy us ko na pehly badua di thi na ajj dil sy di mai apni badua wapis leti hu yeh to insaaf hai jo Allah ny kia hai meri dua hai us ko hidayt dy Allah.wafia yeh keh kar andr chali gaye thi or zuhaib bahir khara tha
Hiraan tha wafia ky kahy gaye ilfaaz pr.
.......................
Kuch logo ky sath insaaf allah karta hai noor ko insaaf mila tha zakriya ko allah ny hidayaat or maafi ki tofeek nhi de thi.
Zuhaib wafia or noor kush thy noor ky liye us ky baba ideal thy sary apni zindgiyoo ko sakoon sy GuZar rahy thy ik zakriya tha jo akela reh gia tha pata nhi kis ki badua lahi thi us ko ky woh itna tanha rah giya tha shayad noor ki maa ki zakriya chahta tha woh mar jaye likn mout hi naseeb nhi ho rahi thi woh khudkushi nhi karna chahta tha kio kio ky us ny aggy itny gunah kiye thy ky or ki jagah hi nhi bachi thi.
Zakriya bus intezaar kar raha tha mout ka.
_____________________________
So finally my first novel is completed
Hope you guys like this novel
Waiting for your votes and comments
YOU ARE READING
INTEKAAM (Complete)✅
FantasyYeh kahani hai aisi larki ki Jo ik larky ky liye sub kuch khony ko tiyaar hoti hai woh apna har hasil kho deti hai sirf ik la hasil ky peechy Jo logo ky samjhany ky bawajood nhi samjhti or apno ka maan or itabaar kho deti hai . . . . yeh kahai hai...