Noor ki maiyaat samny pari thi ird gird log aye hoe thy kuch afsoos karny or kuch formality nibhany Noor ki ammi ko to jesy kisi cheez ki hosh hi nhi thi woh apni beti ki maiyaat sy lippaat ker Ik dum sy roony lag jati or thori dair baad bolny lag jati
Beta Chalo uth jao bohat ho giya apni maa ko mat Tang karo Noor Meri jaan uth jao dekho na Meri beti maa ko maat satao uthjao. Noor jub noor na uthti to ik dumm bohat oncha oncha Noor Noor cheekhna shuru ho jati or PHR ik dum sy Rona shuru ho jati. In ki halat dekh kar har kisi ki ankhy num thi ik maa thi jis ki jwaan beti maar Gaye thi maa ka kaleja phaat Raha tha apny samny apni beti ky bysud part wajood ko dekh kar wafia in ko sambhala chah rahi thi wafia ki ammi bhi waha poohch chuki thi likn Noor ki ammi kisi ky kabu Mai hi nhi aa rahi thi aisa lag Raha tha apna zehni tawaazan khoo chuki hai Noor ky Abbi ka bhi kuch yehi haal tha liln woh roo nhi paa rahy thy ankhyy num thi or laal ho chuki thiblikn ansu thy ky ankoo Mai kahi phass hi Gaye thy bybasi,gussa,nadamaat,
Pachtawa,karb sub kuch un ky chehry pr wazeah tha.
....................
Thori dair baad darwaza khula tha or samny sy anny wala or koi nhi Imran or us ki family thi Noor ky Mamu mamani,Imran or Iman thy. Jo pata nhi kis muh sy aye thy Noor ky janazy pr. Un ki dekhty hi Noor ky abbu ka para high ho giya tha jub ky kasoor waar to us ky abbu thy Jo itny logo ky Sammy bhi apni beti ko maan na baksh saky itny logo ky Sammy apni beti ki badnami sunty rahy. Fitraat hoti hai insaan ki galti kaha maan ta hai woh apni itni asaani sy in ka bhi yehi haal tha apni galti nhi maan rahy thy un ky Sammy woh log kasoor waar thy jabky logo ka to kaam hi baaty banana hai in baton sy to apny bachaty hai likn us ky abbu my nhi bachaya tha woh apni beti ki hifazaat nhi kar saky thy jis ka nateja in ky Sammy tha.Woh ik dum dum uthy or bolny lag pary
Kio aye ho?woh dheemi awaaz Mai boly thy likn gussa saaf zahir tha woh koi tamasha nhi karna chahty thy is liye awaaz dheemi rakhi thi.
Samny sy koi kuch nhi bola tha. To woh ik baat PHR bolyDafa ho jao mery Ghar sy. Is baar in ki awaaz onchi thi likn kisi ny khass dhiyaan nhi diya tha.
Ub bhi khamoshi thi samny sy
Jub samny sy koi kuch na bola to unho ny I dum aagy bhar kar Imran ka girybaan pakr lia. Imran Jo nazry jhukakar khara hoa tha ik dum girybaan pakrmy par Gussy sy us ka chehra laal ho giya or apna girybaan churany laga likn Noor ky abbu ki giraft sakht thi woh in Sy batameezi nhi kar sakta tha
Tumny Mara hai Meri beti ko tumhari tumhari is maa ki bato sy Mari hai Meri beti.
Ub ki baat woh oncha boly thy irdgird ky log mutawajah hona shuru ho Gaye thy Imran Jo zabt kar ky khara hoa tha apni maa pr ilzaam lagny par ik dum apna girybaan churwaya or woh bhi kadry onchi awaaz Mai bolaMeri ya Meri maa ki wajah sy nhi Mari app ki beti app ki wajah sy Mari hai app ki byitabari ny Mara hai Noor ko kaisy baap hai app apni beti ko sub sy samny apna maan Tak na baksh saky aisy to nhi hoty baap ky in ki beti ky bary Mai log baaty bana rahy ho or woh kuch na boly or khamoshi sy bus sunty rahy. Imran qadry onchi awaaz Mai bola tha irdgird ly log ubb in ko dekh rahy thy.
Noor ky abbu pehly to sunty rahy PHR jub bardasht khatam hoi to cheekh paryBakwaas na karo.
Imran in ki baat or tanziya hansa or talkhi sy bola
Kia hoa Sach bardasht nhi hoa na app sy magar afsoos hakeekt hamesha talkh hi hoti hai. Chaly ammi abbu yaha sy koi shook nhi hai iskabil hi nhi hai yeh ky in ky sath hamdardi ki jaye woh mur giya tha us ky peechy us ki ammi or Iman bhi mur Gaye thy likn Noor ky Mamu nhi mury thy Jo kuch bhi tha Noor in ka khoon thi.
Itna Sach Noor ky abbu bardasht nhi kar par thy yeh baaty un sy hazam hi nhi hoo rahi thi ky koi in ko in ki apni beti ka katil kahy isliye woh ik dum sy zameen pr gir Gaye thy.
.......................Ambulance ka shoor samny sarko pr mujood gariyoon ko rasta deny ka keh Raha tha.
Ambulance thori dair baad hospital ky bahir thi Noor ky abbu ko statcher pr andar ly kar Jaya giya tha or seedha emergency Mai Gaye thy unka BP shoot kar giya tha or kuch stress tha or kuch Sach bhi bardasht nhi hoa tha unsy.unko under observation rakha gia tha.
................
Noor ky abbu ki badkismati yeh thi ky apni jwaan Murda beti ko kandha bhi nahi Dy paye thy ik to Noor ka accident hoa tha jis ki wajah sy us ky muh pr chooto ky nishaan bohaat wazeah thy dusra us ka khoon itna baha tha ky gusal ky baad khoon saaf karny or bhi nishaan reh Gaye thy doctors ny kaha tha ky laash ko ziada dair nhi rakh sakty.
Jis ki wajah sy Noor ky kareebi rishtydaro ny hi kandha Dy kar maiyaat ko dafna diya tha peechy Noor ki ammi rooti rahi thi cheekhti rahi thi likn jaany wala to Chala giya na Kia faida roony ka pehly roo Lia hota beti ko to shayad yeh na ho ta udhar wafia ki ankho Mai nami thi likn najany kio us ky ansuu nhi beh rahy thy wafia ki ammi ny Noor ki ammi ko sambhala hoaa tha.
____________________________
Hope you like this episode
Dont forget to vote and comment
Waiting for your feedback
YOU ARE READING
INTEKAAM (Complete)✅
FantasyYeh kahani hai aisi larki ki Jo ik larky ky liye sub kuch khony ko tiyaar hoti hai woh apna har hasil kho deti hai sirf ik la hasil ky peechy Jo logo ky samjhany ky bawajood nhi samjhti or apno ka maan or itabaar kho deti hai . . . . yeh kahai hai...