Wafia ky abbu khud barish mai drive karty hoe noor ky ghar gaye thy unhy noor ky ghar ka rasta atta tha kio ky woh 2,4 dafa wafia ko yaha chorny aye thy woh noor ky ghar pohanchy thy or jaa kar bell di thi likn darwaza nhi khola giya tha unho ny bohat baar bell di likn andar kisi ny darwaza nhi khola tha. woh jany lagy thy ky unho ny ik baar phr akhri koshish ki magr faida nhi hoa tha noor ky ammu abbu ny darwaza nhi khola tha.
woh mayoos ho kar waha sy chaly gaye thy noor ky ammi abbu ny darwaza kio nhi khola un ko samjh nhi aa rahi thi unho ny umbrella band ki or waps ghari mai baith gaye . fajr ki azaany khatam ho chuki thi likn surroj nhi nikala tha kaaly barish ky baadlo ky peechy surooj ki roshni kahi chup gaye thhi. woh ehtiyaaat sy barish mai ghari chalaty waps hospital poohachy thy aagy kia hoa ga woh nhi janty thy un ko wafia ki fikr thi woh janty thy wafia ik hasaas larki hai rooti beshak nhi hai likn woh noor ka jana nhi bardasht kar sakti un ko musalsal wafia ki fikr ho rahi thi doctors sy woh mil chuky thy doctors ny un ko bhi koi khaas umeed nhi delai thi or yehi kaha tha ky app har cheez face kanry ky liye tiyaar rahy.
.................................................
wafia ky baba ky jany ky thori dair baad doctors bahir aye thy or wafia ki tarf dekhty hoe boly thy
I am sorry hum patient ko nhi bacha sky un ka khoon boht beh chuka tha un ka bachna mushkil tha .yeh keh kar doctor waha sy chaly gaye thy or wafia ko to apny kanoo pr yakeen hi nhi aa raha tha yeh kia hoa 10 ghanty pehly woh jis dost ki mangni pr jany ky liye tayaar ho rahi thi woh is dunya mai nhi hai yeh kia hoa tha woh ik dum zameen pr gir gaye thi woh cheekhna chahti thi roona chahti thi likn us ky muh sy ik awaaz tak nhi nikli thi us ki ankhy num thi likn phr bhi ansuu nhi nikly thy kio? yeh to woh khud nhi janti thi. kitny pal woh zameen pr beti rhi woh nhi janti thi jub peechy sy us ky baba ki awaaz aye
beta yaha kio bethi ho utho mainy kha na app ki dost theek ho jaye gi tension maat lo chalo utho shabash. likn wafia nhi hili thi wafia ky abbu ny phir kaha tha likn ik baar phr wafia khamosh thi jaisy us ky muh my zabaan hi nhi hai us ki ankhyy num thi likn anssuu nhi thy us mai us ky pass zabaan thi likn ilfaaz nhi thy us ky pass jaan thi likn hilny ki himaat nhi thi aisa lag rha tha jaisy us ky andr jaan hi khatam ho gaye hai .
us ky abbu ko ubb tashweesh hoe unho ny wafia ko uutha kar oper bethaya sath hi operation theater sy ik statchr nikla wafia uthi or us ky pass gaye wafia ky baba bus us ko dekh rahy thy or us ky peechy chal pary wafia ny hatho sy chadar uthai us ky hath kanp raahy thy teezi sy chadar hath gaye thi samny noor ka chehra tha noor ka chehra white tha or hont blue thy us ki nak mai 2 cotton ky goly daly hoe thy wafia ny us ka chehra dekha us ky naam ki tarha us ky chehry pr noor tha us ka chehra chamak raha tha noor kaa color itna white nhi tha jitna lag raha tha ajj noor ky chehry pr noor tha sakoon tha jaisy woh jang jeet gaye ho ajj Noor salman ki kafi dino pehly ki ik anjany mai ki jany wali apni moot ki dua kabool ho gaye thi or wafia ny jo us ki zindgi ki itni duaey ki thi woh kabool nhi hoe thi noor ny apny liye sakoon manga tha or ajj us ky pass sakoon tha likn ...
wafia ny jaisy hi noor ko dekha us ka poora jism kanp raha tha likn woh ubb bhi nhi kuch boli sath hi woh girny wali thi us k abbu ny us ko pakr liya tha asmaan pr ik dum badaal bohat zor sy garjy thy jo barish tham gaye thi woh ik dafa dubara shuru ho chuki thi wafia ky abbu to hiraan hi ho gaye thy wafia kio nhi roi un ko samjh hi nhi aya unho ny wafia ko pakr kar apny seeny sy laga liya likn wafia abhi bhi nhi roi us ky abbu ki bhi akhyy num ho gaye magr woh roye nhi thy . wafia thori dair baad apny abbu sy alag hoe aagy gaye noor ka hath thama or dil mai boli thi
Noor mujhy maaf kar do mai tumhy insaaf nhi dil saki mai mai waada karti hu Zakriya baig ko nhi choru gi is subb ka zimydaar srf woh hai .
sath hi ik ansuu us ki ankh sy baha tha likn sirf ik ansuu us ik ansuu mai boht kuch tha karb , bybasi , dukh nadamaat or sharmindgi . wafia sharminda thi woh noor ko insaaf nhi dila saki kio ?
yeh nhi janti thi likn us ny wadah kia tha noor ko insaaf dilaye gi . us ky baad us ny noor ky muh pr dubara chadar dal di thi us ky baba agy aye thy or boly thy
beta dekho Allah ky har kaam mai masliyaat hoti hai App ko doctors ny bata ya hai na ky Noor ki backbone toot gaye thi agr ajj woh zinda hoti to kitni takleef hoti us ko woh chal bhi na pati Allah ny is ko azzad kia hai har takleef sy. woh baap thy apni beti ko samja rahy thy ky samjhaly khud ko un ko takleef ho rahi thi ky wafia kio nhi roi likn woh kuch nhi kar paa rahy thy.
wafia ny apny baba ki baat sun kar sirf haa mai gaardaan hi laye thi jaisy keh rahi ho Ky mai Allah ki raza mai razi hu likn boli woh ubb bhi kuch nhi thi . woh kio nhi roi thi woh nhi janti thi woh cheekhna chahti thi likn nhi cheekhi thi kiooo?? woh yeh bhi nhi janti thi .
likn us ky dil ny shidaat sy dua ki thi ky Zakriya baig us ky samny ho or woh us ko apny hatho sy maardy us ny zakriya baig ki tabahi ki dua ki thi jo bhi ho is sub ka kasoor waar sirf woh tha sirf woh. or jo dil sy dua karta hai woh kbool hoti hai us ny dil sy apny rub sy insaaf manga tha noor ky liye yeh dunya zaalim hai yaha woh nhi jeet saki thi noor is dunya mai haar gaaye thi llikn Allah ki addalat mai jeeet Noor ki thi Noor dunya mai nhi lar saki thi likn Akhraat mai US ka Ruub us ko insaaf dilaye ga yeh Wafia ko yakeen tha ky Dunya beshak ZAkriya baig jaisy logo ki ho likh Akhraat mai sirf insaaf ho ga waha sach sub ky samny aye ga or zaroor aye ga yeh us ka yakeen tha.
OR BESHAK WOA RUB INSAAF KARNY WALA HAI.
_____________________________
💔💔💔
Sorry episode thori ziada late ho gaye actually mery exams thy likn next episodes jaldi aye gibor lambi ho gi
Don't forget to vote and comment
Jitny ziada votes and comments ho gy itni jaldi episode aye gi.
App ky khiyaal mai Aggy kia ho ga??? Comments mai bataye.
Duao Mai yaad rakhiye ga.
...................
DU LIEST GERADE
INTEKAAM (Complete)✅
FantasyYeh kahani hai aisi larki ki Jo ik larky ky liye sub kuch khony ko tiyaar hoti hai woh apna har hasil kho deti hai sirf ik la hasil ky peechy Jo logo ky samjhany ky bawajood nhi samjhti or apno ka maan or itabaar kho deti hai . . . . yeh kahai hai...