EPISODE 34

92 13 0
                                    

Din ka wakt tha likn surooj kally badlo ky peechy ubb tak chupaa hoa tha ajj kaly badlo ny roooshni ko bahir nhi anny dia tha barish kal sy zooro shoor sy ho rahi thi badal bars rah thy aisa lag raha tha jaisy selaab aa jaye ga baadal itny barsy thy ky sarko mai itna paanii khara ho gia tha ky bandy ki aadhi tangy us pani mai chup sakti thi aisa lag raha tha ky yeh barish rehmat ki barish nhi hai yeh saza hai logo ki jitny ansuu wafia ki ankh sy behny chahiye thy woh sub badloo my sy paani ki suroot mai nikly thy .

Isi baarish mai ik embulace Sulman sahb ky ghar ky bahir aa kar ruki thi jis mai unki beti thi ya shayad sirf beti ka jism tha wafia embulance ky peechy apny abbu ky sath un ki ghari mai aye thi likn aisa lag raha tha ky wafia patharr ki ho gaye hai noor ky jany ky baad woh kuch nhi boli thi us ki ankhoo sy ik ansuu bhi nhi baha tha.

embulance mai sy ik banda utra tha us ny bell di hi likn darwaza nhi khula tha ik baar phr bell di thi noor ky abbu jo shayad kahi jany ky liye apni ghari nikal rahy thy unho ny gate khola tha samny embulance ko dekh kar khatky thy embulance ka darwaza khula tha peechy sy 2 logo ny andaar sy noor ko nikala tha or andaar chaly gaye thy or noor ko andar Lounge mai rakhh diya tha bahr sara garage geela tha jaha pr noor ki lash ko rakhna na mumkin tha noor ky abbu yeh sub kuch boht hiraan ho kar dekh rahy thy un ko kuch samjh nhi aye ky yeh kia ho raha hai wafia apny abbu ky sath ghari sy utri usny noor ky abbu ko ik nazar dekha us ki nazar mai pata nhi aisa kia tha ky noor ky abbu ny apni ankhyy jhuka li achanak un ko koi khiyaal aya woh andaar ki tarf doory wafia or us ky abbu bhi un ky peechy gaye unho ny ja kar chadar utari to samny noor ka chehra dekh kar un ko pehly to yakeen hi nhi aya woh 5 min tak us ki shakl ko hi ghoorty rahy jasiy yakeen karna chah rahy ho noor ki ammi jo andar sy bahir nikali thi ik dum sy salman sahb ko dekh kar khatki or un ki tarf gaye jub un ki nazar zameen pr safaid chadar ky andar mujood chehry pr pari to un ky muh sy ik cheekh buland hoi woh ik dum sy zameen pr gir gaye noor ky pass us ko hath laga kr dekhny lagi jaisy yakeen karna chah rahi ho ky yeh un ki hi beti hai jub unho ny us ko hath laga ya to us ka thanda wajood dekh kar unho ny apny muh pr hath rakh liya or bolny lagi

Utho Noor ankhyy kholo Noor utho pehly to woh araam sy bol rahi thi phir chilany lagi

Nooooor utho Nooor . woh cheekh rahi thi us ka muh hila rhai thi likn us ky wajood mai harkaat nhi ho rahi thi

Beta uthoo dekho uth jao mai peryshan ho rahi hu Noor . likn woh nhi uthi .

Salman A..pp doctor ko phone kary yeh theeek ho jaye gi mu..jhy yak..en hai yeh theek ho jaye gi kary call. likn salman sahb nhi hily thy un ki ankhoo sy bh ubb ansuu beh rahy thy un ko yakeen nhi aa raaha tha ky kal jis beti ki mangni thi ajj woh dunya sy kaisy jaa sakti hai balky nhi woh beti nhi thi unho ny khudhi to kaha tha ky woh maar gaye hai un ky liye to woh ubb kaisy us ko apni beti keh rahy thy.

App ko awaaaz nhi aye mainy kaha doctor ko bulaye is baar woh cheekh kar boli thi . salman sahb ny un ki tarf dekha or boly

Ubb doctor ko bulany ka koi faida nhi hai yeh chali gaye hai.

Nhii nhiiiii app jhoot bol rahy hai yeh yeh nhi jaa sakti mainy mainy apny rub sy bohat duay ki thi ulaad ki itni duao sy mili thi yeh nhi jaa sakti app jhooot bol rahy hai jhoot bol rahy hai na. bolyy??? ubb ki baar woh cheekh pari thi

Sambhalo khud ko. salman sahb ny un ko tasali di thi

Kasisy sambhalo khudd ko bolyy kaisy sambalu app ki wajah sy hua hai appny kha tha ky Noor tum mar gaye humary liye app ny kaha tha app ki wajah sy hua hai app ki wajah sy... woh roo rahi thi cheekh rahi thi ik maa thi apni jwaan beti ko dekh kar un ka dil tarp raha tha un ki jwaan beti ki lash un ky samny pari thi woh kaisy dekh leti yh sub .

App ki wajah sy chali gaye meri Noor kal kaha tha na us ny bolyyy kaha tha na ky abbu yakeen kary mera kia nhi kia ap ny is ka yakeen kio nhi kiaaa... woh pagloo ki tarha cheekh rahi thi wafia or us ky abbu side pr kahry thy khamosh tamashaiyaon ki tarha wafia aggy jana chahti thi likn nhi yeh log bhi noor ky katloo my shamil thy woh kaisy honla deti unko likn nhi us sy noor ki ammi ky yeh halat nhi dekhi jaa rahi thi woh un ko chup karwany ky liye aggy bhari sath hi us ky kanoo mai awaaz aye thi

"Mar gaye Noor tum hmary liye" us ky kadm wahi ruk gaye thy woh aggy nhi gaye thi

Noor ki ammi zameen pr bethi roo rahi thi ik maa ka dil tarp raha tha ik baap apni by basi pr ansuu baha rha tha apni beti ka yakeen nhi kia unho ny or ajj yeh ho giya kash woh kar ly ty apni beti ka yakeen kash woh us ko bacha paty likn kash ka hi to maslla tha sara woh yeh nhi kar sakty thy kio ky wakt guzar gaya tha woh wakt peechy nhi ly jaa sakty thy

salman sahb khary ho gaye thy or boly thy

Yeh sub kaisy hoa . wafia kuch nhi boli thi likn us ky abbu ny un ko sub bata ya tha

To app logo ny mujhy kuch bata ya kio nhi ?

Wafia ny boht calls ki magr app logo ny nhi uthai mai aya bhi tha ghar pr bells di magr appny darwaza nhi khola.

Hamari bell kal sy paani ki wajah sy baj rahi thi is liye humy pata nhi chala . is ky baad woh khamosh ho gaye thy or boly

Mai us larky ko nhi choru ga meri beti us ki wajah sy gaye hai is dunya sy .un ki awaaz mai nafraat thi. Wafia unki baat sun kar tanziya hansi thi or boli

Noor ko zakriya ny nhi appki by itabari ny mara hai uncle mainy kaha tha ky noor aisi nhi hai likn yakeen nhi kia app ny chaly mujhy to chory noor ny kitna kha tha woh kitna roi thi gir garaye thi likn app ny to apni beti ka bhi yakeen nhi kia .

Salman sahb ka saar jhuk giya tha wafia ki baat sun kar woh aagy gaye thy or wafia syy nazry churaty hoe boly thy

Mujhy maaf kardo . un ki nazry neechy thi woh wafia sy nazry nhi mila paa rahy thi

Mujh sy kio maafi mang rahy hai nuksaan to sirf noor ka hoa hai jaan to us ki gaye hai app ki by itbari ny us ki jaan ly li . is ky baad wafia waha sy nikal gaye thi or salman sahb zameen pr gir gaye thy wafia ky abbu ny jaa kar un ko sambhala tha noor ki ammi musalal roye jaa rhu thi .
Kitni byitabar thi na yeh zindagi bhi...
_____________________________
Kaisi lagi episode ???
Vote zaroor kijiye ga
Waiting for your feedback

INTEKAAM (Complete)✅Where stories live. Discover now