Yeh muhabbat banayi hi kyu gayi hai, Jo sirf taklif dena janti hai. Mera adhora pyaar, Mera safar muhabbat ka, jo tham sa Gaya ek pal mai hi. Ab dubara muhabbat na kr paogi. Chaha tha tumhe toot kr, ab apne hi kirche dhonte jodhte Kat dogi sari Mai umer.
- Urwa
Urwa apne kamre Mai baithi mobile Chala rahi thi ki tabhi uske phone pr call ati hai. Ali ka phone dekh kr urwa furan phone utha leti hai.
"Hello? Ali Bhai?" Pr Ali ki jagah koi dusra shaks bolta hai. "Urwa, Mai Ali nahi, ayan baat kr raha ho, Ali bhai hai Kya?" Ayaan ki awaaz ghabrayin howi thi jisko sun urwa bhi dar si jati hai. "N-Nahi, Ali Bhai tu yaha nahi hai, Kya howa ayaan tum pareshaan kyu ho? Ali Bhai ka phone tumhare pass kaise?" Urwa pareshaan hokr sawal krti hai. Pr ayaan ke paas usko jawab Deni ki fursaat nahi thi aur woh bina kuch khae phone cut kr deta hai.
Urwa pareshaan hokr jald Isa ko phone krti hai aur Sara Hal Isa ko batati hai. Isa yeh Sab sun kr pareshaan sa ho jata hai aur Ali ke Ghar chala jata hai janne ke liye ki Kya baat hogayi.
Ali ke Ghar ja kr Isa ko pata chalta hai ki maham Ghar chodh kr kahi chali gayi hai aur Ali us hi ko talash krne nikla hai. Fariha aunty aur uncle bhi buhut pareshaan the aur maham ko talash krne ki Puri koshish kr rahe the.
Maham ka you Chala jana bina kisi se kuch kahe yeh baat kisi ko samajh nahi arahi thi. Maham aisi ladki thi hi nahi Jo bina koi wajah ke itna bara kadam uthaye.
Isa ka Dil dahail Gaya maham ke yu kahi chale Jana ka sun kr. Ali aur Maham ki khushiyoun ke khatir Isa apni Khushi ko Khushi Khushi khatam krne ko razi tha pr Maham ko kabhi na dekhne ka khayal Isa bardash na kr sakta tha, woh us hi waqt maham ko talash krne waha se nikala jata hai.
Acchi tarah se janta ho ki tum mujhse muhabbat nahi krti. Itna khushnaseeb nahi hote sab. Jinka pehla Pyaar unse muhabbat krta hai. Chalo koi baat nahi tumhari muhabbat na sahi, pr tumhari dosti pr tu haq tha na Mera...pr yu tumhara Chala jana...tumne tu yeh bhi haq mujhse chin liya.
- Isa***
Sabke ehsasat ko ehmiyat di humesha Maine, unko hasane ke khatir mazak khud ka banaya Maine. Muhabbat howi bhi tu kisse, jiski muhabbat ko Pura krte krte khud hi muhabbat kr baitha mai usse.
- Ayaan
Ayaan apni ammi ko pareshaan nahi dekh sakta tha aur ab Urwa aur uska pariwar bhi pahouch Chuka tha unke Ghar maham ka sun kr. Urwa sudh budh ban kr khadhi thi na Jane kyu badi hi ghabrayin howi pr Maine us baad ko nazar andaaz kr ke urwa ka dihaan behkana behtar samjha.
Mazakiya Andaaz Mai urwa se Maine kaha, "Kya howi mikky? Tum tu aise khari ho jaise maham ko tumne Jane ko majbur kiya ho. Aur ab uske na hone pr tumhe uski yaad satarahi hai." Bas Mera itna kehna tha ki urwa ke haath Mai pakra glass chot jata hai aur woh buhut ghabra si jati hai. "Y-Yeh k-kya keh rahe ho tum!! M-Mai aisa kyu karo gi, kyu chaho gi!?"
"Relax yaar Mai tu mazak kr Raha tha yaha sab ka mood light krne ke liye, tum theek tu ho?" Ayaan sawal krta hai naram lehze se urwa ke kandhe pr hath rakh kr. Pr uska haath urwa jhitak deti hai aur kehti, "Yeh mazak ka waqt nahi Ayaan! Ali Bhai kidhar hai? Unka kuch pata Chala? Kitne pareshaan hoge woh?" Yeh sab sun kr ayaan khamosh ho jata hai.
***
Bachapan ke sathi the hum, saath bade howe, hasi, mazak, rona, gana sab saath hi kiya. Humare darmiyaan kabhi koi na tha, tu shayad is wajah se kabhi mujhe ehsaas hi nahi howa ki jisko Mai apna sabse accha dost manti thi wohi Meri muhabbat hai. Pr ab jab mujhe ehsaas howa tu tum buhut dur ja chuke the.

आप पढ़ रहे हैं
Bin Tere
Подростковая литератураYeh Kahani hai Pyaar ki, Jo Adhuri hai Bin Tere. Thama hai jo haath mera ae Sanam, Chodna dena warna, Mar hi jaye ge Hum. Give it a try and I'll bet you'll love it!!!