Yeh Kahani hai Pyaar ki,
Jo Adhuri hai Bin Tere.Thama hai jo haath mera ae Sanam,
Chodna dena warna, Mar hi jaye ge Hum.
Ek ajeeb udasi thi maahol mai. Charo taraf Rona petna macha tha. Deware aur zameen mano sab ro raha ho.Ate Jate log Maham ke paas baithte aur usko taras wali nazru se dekhte, samjhate Sab thik ho jaiga hosla rakho. Pr Maham jaanti thi ab kuch na thik ho sakta. Jo usne khoya hai woh wapis kabhi nahi milsakta.
Man hi man Maham aapne aap ko kosur war tehrati. Woh bas yeh janti thi ki jo kuch howa hai, jo usne khoya hai woh sab uski wajah se. Agar us din woh call na karti ya zid na karti tu aisa kuch na hota.
Logo ki Taras bhari nazre usko kha rahi thi. Woh insab se kahi dur bhag jana chati thi.
"Ab is bacchi ka kya huga? Koun Sahara de ga? Kaha rahe gi?" Aur na Jane kitni aur batae ban rahi thi. Maham ke silsile mai. Is bin Maa Baab ki bacchi ko koi nahi rakhna chata tha. Tabhi Ek karak aur uchi awaaz mai koi bola.
"Yeh hamare sath aapne ghar mai rahe gi! Yeh hamari beti hai!"
Awaaz sun kar sab mudkar dekhte hai jaha se awaaz aai thi. Samne ek 40 se upar saal ke aadmi khare the sath mai unke ek unse kuch kam umar ki aurat bhi thi. Do no miya biwi lag rahe hai the.
Woh dono andar aate hai aur Maham ke paas ja kr baith jate hai. Woh Aurat bare hi pyaar se Maham ke Sar pr haath pehrthe howe kehti hai.
"Beta, jo hona tha so hogaya. Tumhare Maa Baab ka itna hi waqt tha tumhare aur hamare sath. Aur tumko pata hai na 3 din se zyada Dukh nahi manate. Agar tum aise hi ruti rahogi tu tumhare Maa Baab ki ruh ko dukh pohche ga. Aur woh tumhare liye pareshaan ho ge. Ab tumko aapne aap ka dihaan rakhna hai aur apni zindagi jeni hai. Mujhe pata hai yeh sab buhut Mushkil hoga tumhare liye pr Beta tumko himmat nahi harni hai. Tum akele nahi ho, hum sab tumhare sath hai!"
Yeh baate sun kar Maham puht puht kr rone lagti hai. Woh aurat usko apne gale se chimta leti hai aur woh bhi rone lagti hai. Yeh sab dekh kr Unke shuhar ki bhi ankhe bhar aati hai.
Kafi der rone ke baad jab Maham ke aansu sokte hai tu woh Aurat usko aapne haath se bare pyaar se khana khilati hai. Maham unki itni pyaar aur tuwajjah dekh kr unse kehti hai.
"Aap ka buhut shukriya aapne mera itna khayal kiya, mujh ko samjhaya aur khilaya pilaya. Pr Mai yeh nahi janti ki aap ka kya rishta hai mere aur mere Parents ke sath."
Yeh sunkr woh Aurat muskurati hai aur kehti hai "Mere rishte tumhare sath hai kai. Pr tumhare liya abhi itna Janna kafi hai ki mai tumhari Maa ki kafi acchi dost ho. Hum log dusre shehar mai rehte hai isliye zyada ana jana nahi hopaya. Samjho ki me tumhari Maa hi jaisi ho. Mera naam Fariha hai aur yeh mere shuhar Ahmad. Ahmad tumhare papa ke kafi acche dost the. Aur woh unko aapne bachpan se jante the."
Yeh sun kar Maham dihre se sar hilati hai aur kehti hai ji. Phir woh Fariha usse kehti hai. " Beta aaj se, nahi abhi se tum hum logo ke sath chal rahi ho. Aapne ghar." Pr Maham ko manzur nahi tha. Maham aapna ghar chor kr nahi jana chati thi. Woh unku mana kart hai aur kehti hai ki woh yahi Rehna chati hai. Pr Fariha us ko phir samjhati hai aur keh ti hai.
"Beta, baat ko samjho. Tum yaha akele kaise raho gi aur aagr reh bhi li tu yeh ghar aur iski tanhai tumko kha jai gi. Mujh ko pata hai yeh ghar tumko kitna aziz hai. Yaha tumhari najane kitni yaade hai. Pr mai yeh nahi keh rahi ke tum aapna ghar hamesha ke liye chordo. Tumhara jab man chahe, jab yaad aaye tum yaha wapis aa sakti ho. Aur akele is ghar mai rehna tumhare liye sahi nahi. Tum hum log ke sath mehfuz raho gi."
Maham unke itni zid karne pr razi ho jati hai. Fariha aur Ahmad usse kehte hai ki tum aapna jitna saman lejana Chaho leja sakti ho. 2 ya 3 din mai woh driver ko behje gi. Jab tak ke woh araam se packing kar le. Ek Akhri baar fariha usko gale se laga ti hai aur phir uska matha chumkr kehti hai accha Beta ab hum chalte hai. Acche se packing kr lena. Yeh keh kr Fariha aur Ahmad wapis apne ghar chale jate hai.
********
********
आप पढ़ रहे हैं
Bin Tere
Novela JuvenilYeh Kahani hai Pyaar ki, Jo Adhuri hai Bin Tere. Thama hai jo haath mera ae Sanam, Chodna dena warna, Mar hi jaye ge Hum. Give it a try and I'll bet you'll love it!!!