Ali bhar se jab ghar mai dhakhil hota hai tu usse kuch awaze hasne ki sunai deti hai. Woh Awaze Sofe wale kamre se arahi thi. Ali ko janne ki dilchaspi hoti hai ki yeh awaze kiski hai aur kyu arahi hai.
Woh kamre mai dhakil hota hai aur wajah dekh uska rang pela padh jata hai. Ali ki Ammi Maham ke sath baithi Ali ke bachpan ki Album dekh rahi thi aur Maham ko Ali ke bachpan ke kissai suna kr has rahi thi. Maham jisse woh kissai sun bara maza aaraha tha aur use sun woh khub has rahi thi.
Ali tezzi se ja kr pehle Album utha tha hai aur phir Shikayati Andaaz se kehta, "Ammi! Aapse Maine kitni baar kaha hai yeh pictures kisi ko na dekhya kijiye aur is Album ko tu maine store room mai chupadiya tha tu yeh yaha kaise!?"
Yeh dekh Ali ki Ammi usse kehti hai, " Tum in pictures mai kitne chote se mote se cute bacche lagrahe ho aur Chupadiya tha!? Mai kitni udas hogai thi mujhe laga yeh Album musse gum hogai hai pr kitna accha howa. Agar Maham store room mai kaam se na jati tu yeh Album kabhi mujhe dubara dekhne ko milti hi na."
Yeh sun kr Ali gusse se Maham ki taraf dekhta hai aur Maham usku masum shakal se muskura kr dekhti hai pr Maham ki Ankhe kuch aur hi shararat bayan kr rahi thi.
Accha tu yeh kaam iska tha!! Jab se yeh ghar mai aai hai isne mujhe tang kr ke rakha howa hai aur sab ke samne itni masum banti hai ki jaise Sara kusur aur ghunegar mai hi ho! Ali man hi man yeh sochte howe Zino se upar char raha tha ki tabhi peche se Maham ki hasne ki awaaz ati hai.
Ali ek waqt teher as jata hai. Kya yeh sab batae Maine sochne ke sath bol bhi di thi? Ali sochta hai. Aur phir woh palat kr dekhta hai ki Maham uske thik peche hi khari thi.
Maham uske samne haath barati hai aur kehti hai, " Yeh Album mujhe de do please. Abhi ise Maine puri nahi dekhi hai." Ali Album apne peche kr leta hai aur kehta hai, "Bilkul bhi nahi. Aur aapko pata nahi privacy bhi kuch hoti hai!?"
"Hmm...thik hai. Phir na de. Pr aapko pata hai ke mere paas aapki kuch 'Cute' bachpan ki pictures hai jisse Maine wahi store mai us box mai para paya. Aur jaise ki aap jante hai ki jise jo chiz pehle milti hai woh uski hojati hai tu woh pictures ab meri privacy mai shamil hai." Maham Ali se muskurate howe kehti hai. Aur Ali yeh baat sun kr mano jam sa jata hai.
"Tum aisa nahi kr sakti! Mujhe abhi isi waqt wapis karo meri pictures!" Ali jalbala kr Maham se kehta hai aur Maham apni ungli hilate howe kehti hai, "itni jaldi bhi kya hai." Yeh keh kr Maham upar apne kamre ki taraf Jane lagti hai pr peche se Ali aakar Maham ka rasta rukh deta hai aur ek baar phir apne pictures ki mang karta hai, "meri pictures mujhe wapis do warna-"
"Warna kya? Huh? Ali iske aagai aap kuch krne ya kehne ka sochna bhi mat warna yeh pictures mai school mai Sab ko dekha dogi!" Maham Ali ki baat cut te howe kehti hai.
Ali gussa daba kr kehta hai, " Aisa tum nahi kar sakti!" "Aisa mai kar sakti ho!" Maham Ali ko jawab deti hai uski Ankho mai Ankhe dal kr aur phir yeh keh kr woh apne kamre mai chali jati hai. Ali wahi khara reh jata hai.
Ab bus! Buhut hogaya. Ab aur mai isko bardash nahi kr sakta! Apne aap ko samjhti kya hai yeh. Ab tum dekhna Maham mai kya karta ho.
******
Raat ko jab sab gehri neend mai the, Ali khamoshi se Maham ke Kamre mai dhakil hota hai. Aur ahista ahista Maham ke taraf jata hai. Maham ki bed ke paas wali armari dhere se khol kr usmai apni pictures dhondne lagta hai. Ki tabhi Maham ki awaaz sun ghabra sa jata hai.
Kafi dair baad jab Maham ki taraf se koi awaaz nahi ati tu Ali, Maham ko dekhta hai. Pata chalta hai ki Maham neend mai barbara rahi thi. Maham ko itni gehri neend mai sote dekh Ali ko masti sojhti hai, aur Ali Khamoshi se Apni jaib mai rakha mobile nikalta hai aur Maham ki tasweer khichta hai.
आप पढ़ रहे हैं
Bin Tere
Teen FictionYeh Kahani hai Pyaar ki, Jo Adhuri hai Bin Tere. Thama hai jo haath mera ae Sanam, Chodna dena warna, Mar hi jaye ge Hum. Give it a try and I'll bet you'll love it!!!