Chapter 5

328 66 6
                                    

Maham bed pr idhar udhar karwate badal rahi hoti hai, pr dur dur tak neend ka naam-o-nishaan na tha. Uske zehan mai Fariha Aunty ki batae ghum rahi hoti hai.

"Maine Aur Ahmad ne yeh faisla kiya hai ki ab hum Ali aur Maham ki Engagement kr de."

Yeh baat sunte hi Ali aur Maham ko jaise saap sungh gaya ho. Dono hairan hote hai. Yakeen nahi kr parahe hote hai. Ki unhone jo suna woh sach hai bhi ya nahi. Unke kuch kehne se pehle hi Ayaan khushi se kehta hai yeh tu buhut hi accha decision hai!

Maham buhut hi zyada pareshaan ho jati hai. Woh inkaar karna chati hoti hai. Uske kuch kehne se pehle hi Ali khara hota hai aur kehta hai "Yeh mujh ko manzur nahi! Mai abhi nahi karna chata shadi. Mujhe abhi apna carrer banana hai aur aapne khwab pure karne hai. Yeh Shadi mai nahi kar sakta!"

Yeh sun kr Maham bhi khari hojati hai aur kehti hai "Fariha Aunty, mujhhe bhi yeh baat nahi manzur. Ali sahi keh rahe hai. Abhi humko aapne carrer aur khwab pure karne chahiye, Apni life ku khul kr jeena chahiye. Aur abhi tu hum logo ki Age bhi nahi hai Shadi ki."
Maham ki yeh baat sunkr Ali uski taraf muskura kr dekhta hai. Is andaaz mai ki mano woh usku samajh ne keliye, uska sath dene ke liye Shukriya kr raha ho. Aur woh bhi usku muskura kr dekhti hai. Ki jaise woh uski baat ko samajh gai ho.

Fariha Aunty phir kehti hai, "Hum log tumko abhi shadi karne ko nahi keh rahe kyu ki hum jante hai, ki abhi tum log ki Age nahi aur abhi tum logo ko buhut kuch seekhna hai. Hum log bas itna chate hai ki abhi tum dono ki Engagement ho jai aur phir graduation baad tum logo ki shadi kr di jai gi."

"Aur Maham, beta tumhare parents ki bhi yahee marzi thi. Jab tum log 5 saal ke the tabhi humne yeh faisla kiya tha. Hum ko yeh bhi pata hai ki yeh galat baat hai aur is tarah tum log ke haq mai itna bara faisla kar ke humne tum dono ke sath zeyaati ki. Pr us waqt hum logo ko yakeen tha, nahi hum logo ko yakeen hai ki yeh faisla sahi hai aur yeh rishta zarur kam yaab hoga. Aur isse hamari dosti ki naya naam bhi mil jai ga."

Itna sab kehne ke baat Fariha Aunty khamosh ho jati hai aur phir Uncle Ahmad kehte hai,
"Agar tum dono yeh rishta nahi libha paye ya tum log ek dusre ko samajh ne mai kamyaab na bhi ho paye aur is rishte se na khush howe tu tum log ke paas pura haq hoga aledha hone ka. Pr ek baar hamari khatir is rishte ko muka do. Aur baki ka faisla hum tum dono pr chor dete hai."

Uncle aur Aunty ke itna zid karne pr aur mere Maa Baab ki akhiri khuwaish ko pura karne ki khatir Maham is rishte pr razi ho jati hai aur Ali bhi.

Ali ne kabhi apne Maa Baab ko itna zid karte nahi dekha tha aur na hi kabhi Unhone Ali se kuch manga tha tu sirf unke khatir woh razi ho jata hai.

Jab dono taraf se Uncle Ahmad aur Fariha Aunty Haa sunte hai, tu unki khushi behad badh jati hai aur Ahmad Uncle khushi se Ali ko gale se laga lete hai. Fariha Aunty bhi Maham ko gale se laga leti hai.

Aur yeh sab dekh kr Ayaan kehta hai ki bhule na ke mai bhi is pariwaar ka hissa ho. Mujhko bhi gale lagna hai. Aur yeh sun kr Fatima baji jo darwaze pr khare sari baat sun chuki thi woh andar aakr Ayaan ko gale laga leti hai. Aur yeh dekh kr Sab hasne lagte hai.

Maham raat ko howe sari baate sochte sochte khwab ki duniya mai kho jati hai.

***

Subha uth kr Maham fresh ho kr jab neche aati hai tu ek alag hi nazare se uska samna hota hai.

Charo taraf Phul aur batiya saji howi thi. Zeene se utar te waqt woh dekhti hai ki zeene ki railing pr bhi phul saje howe the. Dining room, bed room aur yaha tak ke bathroom mai bhi sajawat ki gai thi. Woh buhut hi zyada hairan thi. Ki yaha ho kya raha hai.

Dining room mai jab woh jati hai tu Ali waha pehle hi se mujut hota hai. Woh bhi utna hi hairan aur pareshaan tha jitna ki Maham. Tabhi Ayaan aata hai ek plate aur chimmach lekr. Jisko bajate howe woh Maham ko Ali ke paas zabardasti bithaal kr kehta hai.

"Bhaiy aur mere dear Maha! Aap log zarur bare hi pareshaan aur hairan hoge. Tu yeh hairani aur pareshani dur karne ke liye aagaya hai aapka chahita chota bhai Ayaaaaaan!!" Yeh keh kr woh tuhra aur plate bajata hai aur Ali ko gussa Ana shuru ho jata hai. Woh kehta hai "Jaldi bakko jo bakkna hai!"

"Nahi Nahi bhai aapko pyaar se pohchna pare ga tabhi mai batao ga!" Ayaan apni Aungli hilate howe kehta hai tu pehche rakha howa cushion Ali utha kr usku Marta hai. Tu Ayaan hasne lagta hai. "No violence bhai, No violence!" Ayaan haste howe kehta hai. Maham ko bhi Janne ki bechani thi tu woh usse bare hi pyaar se pohchti hai. "Ayaan, please humko batado ke yaha ho kya raha hai?"

"Maha ab aap kehti ho tu phir mai inkaar nahi kar sakta. Aaj aap aur mere kharus bhai ki ENGAGEMENT hai!!!" Ayaan khushi aur jhosh se batata hai. Aur idhar Maham aur Ali ka rang hi utar jata hai.

Ali furan uth kr Apni Ammi ke paas jata hai aur unse kehta hai "Yeh kya sach hai ammi!" Aur Ammi khushi se kehti hai "SUPRISE!!"

"Ammi, yeh aap itna jaldi sab kyu kr rahi hai?" Ali kehta hai tu jawab mai uski ammi usse kehti hai "kuch dino mai tumhara college shuru ho jaiga aur phir yeh talta hi jai ga is liye. Aur ha beta tum aapne dostu mai jisko chahe usku bola sakte ho."

Yeh sun kr Ali pila padh jata hai aur unse binti krta hai "Ammi please mai nahi chata ki dhom mache. Aap shadi mai jitne chahe utne mehmano aur dostu ko bulaliye ga pr ammi please yeh Engagement sirf ghar walo ke bejh mai hi kare. Please ammi warna tu mai yeh shadi nahi karo ga!" Ali ke is andaaz mai kehta dekh uski Ammi is baat pr razi ho jati hai.

Sham ko sirf pariwar ke bejh Ali aur Maham ki Engagement hoti hai.

Ring diamond ki hoti hai aur buhut hi nazuk si hoti hai. Aur kafi sadi bhi.

Jab dono ek dusre ko ring pehna dete hai tu pehche se Ayaan balloons ko pin kr dono ko mini heart attack ka tohfa deta hai. Fariha Aunty Maham ka sar chomti hai bare hi pyaar se aur Uncle Ahmad khushi se Ali ko gale laga le te hai. Ayaan sab ki photo click karaha hota hai. Aur phir Ayaan Maham se kehta hai.

"Welcome to the family Maha!"

**********
**********

Bin Tereजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें