"Tu class jaisa ki aap sab jante hai, summer vacations aglae hafte se shuru ho jai gi. Mai yeh chata ho ki is summer vacations mai aap log kuch naya discover kare ya kisi bhi natural or unnatural chiz pr research kare. Aur yeh kam aap akele nahi kar sakte, aap logo ko apne partner ke sath yeh project pura karna hai!"
"Partner!?" Yumna apne glasses ko sahi karte teacher se sawal karti hai. Yumna un ladkiyu mai se ek thi jo ladku se baat tu dur un ku nazar utha kar dekhna bhi nahi pasand karti thi. Aur yeh baat pura class acchi tarah se janta tha, aur is baat pr kabhi kisi ne bhi pareshaani ka izhaar nahi kiya. Nahi kisi ne Yumna ko kisi tarah ki batae sunai.
"Ji ha, partner. Yumna mai yeh nahi keh raha ki aap ka partner koi ladka ki ho. Aap jisko chahe usko apna partner bana sakti hai. Mujhe summer vacations ke baad project chahiye hi chahiye hai! Aur phir mai koi Excuse nahi suno ga! Samajh gai aap sab. Mai yeh baat sirf Yumna ke liye hi nahi keh raha. Pure class se keh raha ho!" Teacher pura project ek baar aur tafseel ke sath bayan karte hai. Aur isi duran bell bajati hai.
"Class mai umeed karta ho ki aap sab acchi tarah se samajh gai hoge. Apna partner decide karne ke baad aap log is list pr apna aur apne partner ka naam likhwa dijiye ga. Aur zoya yeh list mujhe school over hone se pehle chahiye hai. Is ki Zimedari mai aap ko deta ho. Alright class! Aap sab ka summer vacations accha guzre. Allah hafiz!" Teacher apni baat kahtm kar class se chale jate hai aur jate hi class mai shor sa mach jata hai.
Pura class buhut hi Josh mai tha. Haa kuch the class mai jinhai is project mai koi dilchaspi na thi. Aur un mai se ek the Abdullah.
Abdullah padhai mai bilkul bhi na accha tha. Kuch log tu Abdullah ko dekh hairat karte the ki bina padhe yeh kaise pass hojata hai. Aur is ka raaz kuch hi ko pata tha.
"Abdul yaar tum window ke bhar kya dekh rahe ho. Naam likwaliya kya?" Abdullah ka dost Haider usse sawal karta hai. Haider Abdullah jaisa bilkul bhi na tha. Woh padhai mai kafi accha tha. Itna ki har saal 2nd wahi ata tha.
"Tumne apna naam likwaya?" Abdullah Haider se pochta hai. Jis ko sun woh kehta hai, "Nahi yaar, abhi tak ke tu nahi. Soch raha ho ki-" "ki tum mujhe apna partner bana lo!? Yahi soch rahe ho na. Mujhe pata tha!" Abdullah ek bari si smile ke saath Haider ki baat cut karte howe kehta hai.
"Aisa tu mai apne bure khuwab mai bhi nahi soch sakta! Tumko partner banana matlab ki khud bhi fail hone ke bara bar hai. Waise tumhari Partner tu Zoya hi banegi. Hamesha wahi tu tumko bajati hai." Haider haste howe Abdullah se kehta hai.
"Nahi is baar mujhe nahi lagta woh razi hogi. Woh mujhse nafrat karti hai. Bhul gai?!" Abdullah kuch udaas ho kar Haider se kehta hai.
"Bhai tum har baar yeh baat kehte ho. Pr har ek baar woh puri madad karti hai tumhari. Aur woh nafarat tumhari harkatu ki wajah se tumse karti hai. Raat ke 3:00 baje tum usko call kar ke usse apna homework karwate ho. Exam ke waqt pura pura din usko tang karte ho aur usse hi padhte ho aur tab bhi pass na hopate ho. Mujhe tu hairat hai woh kaise bechari tumko abtak jhail rahi hai." Haider, Abdullah se keh hi raha hota hai ki tabhi Ali ajata hai.
"Kya baat chal rahi hai?" Ali sawal karta hai dono se, jisse sun Abdullah Haider ke kuch kehne se pehle hi Ali se kehta hai, "Bhai, mujhe pata hai tum ko abhi tak koi partner nahi mila. Pr fikr na karo mai ho na. Mai tumhara partner banne ki liye tayaar ho. Akhir ek dost hi tu dusre dost ka kaam ata hai!" Abdullah bare hi gurv ke sath Ali se kehta hai.
Ali yeh sun kr hasta hai. "Tumko tu mai partner bhul se bhi na banao. Aur rahi baat partner ki..."
"Kya howa Ali tum rukh kyu gai? Koun hai tumhara partner?" Haider sawal karta hai."Maham" Ali jawab mai kehta hai. "Maham! Tumhara matlab yeh jo new student hai woh!!" Haider aur Abdullah hairat se ek baar phir Ali se sawal karte hai. Unku is baat pr yakeen na tha. Project ke silsile mai Ali sirf Zoya ya Aisha pr ki trust karta tha. Yeh Maham kaha se agai!?
आप पढ़ रहे हैं
Bin Tere
Teen FictionYeh Kahani hai Pyaar ki, Jo Adhuri hai Bin Tere. Thama hai jo haath mera ae Sanam, Chodna dena warna, Mar hi jaye ge Hum. Give it a try and I'll bet you'll love it!!!