Chapter 2

660 89 32
                                    

Maham aapne wardrobe se kapre nikal kr samne rakhe suitcase mai rakrahi hoti hai ki tabhi uski nigah dresser pe rakhe photo frame pr parti hai. Woh usko utha kr 2 minute tak dekhti rehti hai. Sari yaade uske ankho ke samne aajati hai.

"Mom, dad! Aap log jaldi aajao ge na? Please aap jante hai ki mai aapke bina nahi reh sakti."

"Aare meri jaan, aaj tumko kya hogaya hai. Tum aise tu kabhi nahi kehti aur yeh pehli dafa turhi hai jab hum log tumko chor kr kisi business trip pr ja rahe ho. Bus teen din mai hum log tumhare samne hoge." Maham ki ammi bare pyaar se samjhati hai usko.

"Pata nahi kyu ammi pr mera dil buhut ghabra raha hai. Aisa lagta hai ki agar aaj aap chale gai tu phir mai aap se kabhi nahi mil pao gi." Maham ke ankho mai ab aansu aachuke the. Yeh dekh kr uske Ammi aur Abbu bare pareshaan ho jate hai.

Maham ke Abbu company se baat karte hai pr woh nahi sunte kyu yeh trip buhut faida deti company ko aur Maham ke Abbu ke bina deal complete nahi ki ja sakti thi.

Maham aapne abbu ku pareshaan dekh kr unse kehti ki ab woh thik hai aur aap log bina fikr jai. Bus tuhra jaldi wapis aajaye ga. Maham ke abbu aapni beti ke Maathe pr pyaar karte hai aur kehte hai ki woh jaldi aajaye aur phir aapni pyaari beti ke sath khob Sara waqt bitaye ge. Aur yeh keh kr woh chale hate hai. Maham teen din Beetne ka intezar karti hai pr jab woh teen din pure hoi.

Woh wapis tu aye pr sirf unke jism.

Horn ki awaaz Maham ko beethe howe waqt ke khayalo se bhar liya ti hai. Maham aapne Aansu pochti hai aur khirki se jhakti hai. Car neche aachuki thi. Woh jaldi se us photo frame ko suitcase mai rakti hai, zip lagati hai, aapna hijab sahi kar ke suitcase ko Mushkil se zine paas lati hai. Suitcase kafi bhari hota hai tu woh suitcase ko zene se Dhakka de deti hai. Is tarike se woh mehnat se Bach jati hai.

Suitcase zeene se girkar first floor pr aaja ta hai 'dharm' ki awaaz ke sath. Yeh dekh kr Maham Garv mehsoos karti hai. Ki kitni Akal mand hai woh. Shaan se neche aati hai tu dekhti hai ki uske suitcase ko bare hi hairat se koi shaks dekh raha hota hai aur phir woh usko dekhta.

Woh shaks mere hi umar ka ek ladka tha. Jo musse tuhra zyada lamba tha. Uske kale baal the aur Ankhe Nile rang ki thi. Aisi ki mano kisi sagar jitni gehri aur woh- Astagfurullah! Maham yeh kya soch che ja rahi ho tum.

Maham ne Furan apni nazre neche kar li jo tuhri der pehle usko guhr rahi thi. Phir Maham kehti hai. "Suno yeh jo bags hai unko sahi se car mai rakhna aur ab chalo jaldi."

Woh tuhri der tak Maham ko hairat aur gusse se dekhta hai aur phir kehta hai. "Excuse me madam! Aap ko mai kis angle se driver dekh raha ho aur rahi baat aapke bags ki. Behtar hoga ki aap khud hi inko car mai rakh de!" Yeh keh kr woh ghar se barbarata howa nikal jata hai.

Maham yeh sunte hi Sharam se laal ho jati hai. Aur phir Bags ko gasitte howe gate tak lati hai. Aur dekhti hai woh pehle hi se car mai baitha hota hai. Yeh dekh kr usko gussa aata hai aur dhere se kehti hai. "Kaisa Zalim Insaan hai yeh. Yeh nahi ke tuhri help hi karde!"

Bags ko car mai rakh kr Maham front wali seat pr baith jati hai. Aur phir car chalne lagti hai. Car mai kafi ajeeb sa sannata tha. Tabhi woh shaks radio on karde ta hai. Gana bhi baja tu itna bather ki Maham gusse se uski taraf dekhti hai aur woh muskura deta hai. Yeh dekh kr Maham ka gussa double ho jata hai.

Yani ke is ne Jan buch kr yeh song laga ya ke yeh mujhe tang kar sake! Maham dil mai sochti hai aur jaise hi kuch bolne jati hai woh bol deta hai.

"Waise Aap ka naam kya?"

"Maham" Maham jawab deti hai aur uski awaaz se zahir tha ki woh gusse mai hai.

"Ali" woh sahks kehta hai, Maham usko dekhti hai aur phir sochti hai. ooh iska naam waise hona zalim chahiye tha.

"Accha" woh jawab mai sirf itna hi kehti hai. Aur phir Car mai khamoshi chajati hai.

Ali phir music change karta hai pr is baar koi acchi music lagta hai. Aur aise hi dekhte dekhte ghar aajata hai. Ali car tuhra jhatke se rukta hai jisse suti Howi Maham jhatke se uth jati hai. Aur  gusse se usko ghur ti hai.

Maham phir Car se utar ti hai aur dekhti hai ki Fariha aunty bhar hi uska wait kr rahi hoti hai.

"Assalam-u-Alaikum Fariha Aunty!" Maham gale lagte howe unse kehti hai.

"Walaikum Assalam Meri jaan! Safar mai pareshaani tu nahi howi na?" Yeh sunkr woh Ali ko mur kr dekhti hai jo piche hi khara hota hai. Aur phir muskura kr kehti hai. "Safar kafi accha gusra."

**********
**********

Bin Tereजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें