Maham kitchen mai Fariha Aunty ka haath bata rahi hoti hai. "Aare beta Maine kaha na jao baitho, Mai aur Fatima hai na. Tum Jake aaram karo!" Fariha Aunty bare hi pyaar se usse kehti hai. Aur Fatima baji bhi sar hilati hai haa me mai.
Fatima baji fariha Aunty ke mulazma hai. Woh din bhar yaha rehti hai aur sham ko apne ghar wapis jati hai. Fatima baji ka is duniya mai koi nahi isliye woh kaam karti hai. Aur yaha din bhar rehti hai. Woh yaha is tarah rehti hai ki woh bhi is ghar ka hissa ho. Aur sab yaha inki buhut izzat bhi karte hai.
"Aunty mai buhut araam kr chuki aur aap mujhe aapni beti samjhti hai na tu kyu mujhe is tarah mehmano ki jaise baith ne ko bol rahi hai. Laye yeh plate mai table pr rakdo, laye deejye." Maham unse shikayat karte andaaz se keh kr Fatima baji se plate le leti hai. Aur woh dono uski baat muskura kr akhir maan hi lete hai.
Khana jab Sara table pr set kr diya jata hai tu sab baith jate hai khane ke liye. Fatima baji bhi unhi ke sath baithi hoti ek hi table pr. Yeh baat mujhe buhut pasand ayi, ke yaha bhed bhaw nahi kiya jata. Aur ek garib ko sath dastarkhan pr Bethal kr khana khilana barkat ka sabab hai.
Khane ke waqt tak Uncle Ahmad bhi office se aachuke hote hai. Aur sath mai Baith kr sab khana khana shuru kardete hai.
"Maham yeh lu yeh dish tu try karo khaas maine tumhare liye banaya hai, aare yeh kya, yeh bhi tu lo. Aare Ayaan Zara yeh paas tu karo, lu bata yeh bhi khao!" Fariha Aunty ki khushi aur Josh itna tha ki mano unka bas chale tu dastarkhan pr rakha Sara saman woh mujh ko khilade. Aur idhar meri plate mai rakha khana hi mere gale se neche nahi utar raha tha Sharam se.
Yeh sab dekh kr Ayaan aur Ali dono has padhe. Ayaan tu hasta raha pr Ali furun hi khmoush hogaya. "Maha, Ammi ka bus chale tu woh ek din mai hi aapko muta karde." Ayaan haste howe kehta hai aur Aunty Fariha aapne defense mai kehti hai ki woh aapni beti ko fit bhi karke dekha sakti hai, agar woh mota karti hai.
Yeh sun kr ab tu Uncle Ahmad bhi has padhte hai. Aur sab khushi khushi khana khate hai.Khane ke baad Ali, Ayaan aur uncle T.V wale room mai chale jate hai. Aur mai khane ki platai utha kr kitchen mai rakhne chali jati ho. Aunty aur Fatima baji dekh kr daath ti hai aur mujhko Jane ko bolti hai. Is baar mai unki baat man leti ho. Aur Aunty ko bata kr aapne kamre mai wapis Jane lagti ho.
Zeene charte waqt Ali samne aajata hai. Woh upar se neche Aaraha hota hai aur najane kyu mujhko dekhte hi sare howe tamatar ki tarah muh bana kr jaldi se chala jata hai. 'Zalim! Kharus! Pata nahi is bande ko kya masla hai.' Maham dil mai gusse se sochti hai.
"Aap zarur soch rahi ho gi ke pata nahi bhai ko aap se kya masla hai, hai na?" Peche se ayi awaaz ek pal ku Maham ko dehla deti hai. Aur woh zene pr larkhara jati hai.
"Aare sambhal ke Maha." Ayaan peeche se Maham ko Sahara de kr kehta hai. Phir Maham jab sambhal jati hai tu woh mur kr Ayaan ko thanks krti hai aur usse se pohchti "ha, Kyu tumhare bhai ka mood kharab hai?"
Ayaan zeene charte howe usku puri baat batata hai. Aur uske peeche Maham bhi charti hai.
"Bhai ki narazgi unke kamre se Judi hai. Bhai ko aapna kamra aziz tha pr apsus Ammi ko zyada aziz Maha aap thi. Tu Ammi ne zabardasti bhai ko blackmail kr ke unka kamra chin liya aur aap ke liye usku girly style mai set kr diya. Pr ab is mai aap aapne aap ko Mujrim na samajh yega. Aur bhai ki fikr bhi na kariye woh thik ho jaye ge."
Yeh sab sun kr Maham tuhra sharminda ho jati hai. Pr Ayaan dubara usku yakeen dilata hai ki ismai uski koi galti nahi aur bhai thik hojai ge. Ayaan Maham se yeh bhi kehta hai ki bhai jitne bure dikhte hai utne hai nahi. Maham ab apne kamre tak pohach chuki thi. Woh kamre mai Andar Jane se pehle Ayaan ko kehti hai thik hai. Mai samajh gai. Thankyou Ayaan. Aur yeh keh kr woh aapne room mai ja kr room ka drwasaza bandh kr leti hai. Aur light bandh kr ke sone chali jati hai.
***
Maham ko Fariha Aunty wah rehte howe ek hafta hone ko tha. Maham kafi jaldi sab mai gul mil si gai thi. Woh sab ke mijaaz se wakif hi horahi thi. Woh itna acchi tarah Jan chuki thi ke is ghar mai sab usku dil se Muhabbat karte hai aur inke dil saaf hai. Ali hi sirf ek Wahid insaan tha jis se ab Maham chir ne si lagi thi. Kyu ki jab bhi Ali ka samna hota woh sare howe tarah tarah ke muh banata ya tu usko aajis krta ya kahi chala jata usko dekh kr.
Sham ko khane ke baad Fariha Aunty ne Maham ko aapne kamre mai bulaya hota hai. Maham unke kamre mai Jane se pehle knock krti hai. Ayaan darwaza kholta hai aur tuhra jhok kr Welcome style mai usku andar ane ko kehta hai.
Maham kamre mai andar ati hai aur paas wale sofe mai baith jati hai. Kamre mai pura pariwar mujud hota hai. Uncle Ahmad, Fariha Aunty, Ali aur Ayaan. Yeh dekh kr usku tuhra ajeeb sa lagta hai. Aur kamre ka muhool bhi serious bana howa tha. Isse pehle Maham kuch kehti Fariha Aunty aapni baat shuru karti hai.
"Tum sab log yeh soch rahe hoge ki is waqt humne tum logo ku yaha kyu bolaya hai. Baat kuch aisi hai ki Maine aur Ahmad ne yeh faisla kiya hai ki ab hum Ali aur Maham ki Engagement kr de!"
Yeh baat sunte hi manu Ali aur Maham ke pairu se zameen hi khich si gai hoti hai. Waqt that sa gaya hota hai. Dono ke muh khole ke khole hi reh jate hai aur shock unke chehre pr zahir tha.
*************
*************
आप पढ़ रहे हैं
Bin Tere
Teen FictionYeh Kahani hai Pyaar ki, Jo Adhuri hai Bin Tere. Thama hai jo haath mera ae Sanam, Chodna dena warna, Mar hi jaye ge Hum. Give it a try and I'll bet you'll love it!!!