Chapter 6

314 55 8
                                    

Hamari Engagement ko bithe howe ab kuch din ho chuke the. Ali indo zyada tar bhara hi rehte aur jab woh ghar pr hote tu T.V wale room mai ya tu aapne kamre mai waqt bitate. Unki harkatu se saaf tha ki woh mujhe nazar andaaz kar rahe the.

Ayaan ke school bhi shuru hone ko the, tu woh aapna waqt zyada tar project complete karne mai lagta aur mujh se bhi project ki designing keliye madad mangta.

Mai aapna zyada tar waqt Fariha Aunty ke sath bitati. Waise kitchen mai mujhse koi kaam nahi karwaya jata. Fatima baji bhi mujhe kitchen mai ane nahi deti. Tu fariha Aunty ke sath zyadatar gupshup hi chalti.

Aaj mai kamre mai baithi aapne dostu ke bare mai soch rahi thi. Ki najane woh kaise honge. School mera bhi shuru hi hochuka hoga. Pr mai yaha se apne school kaise jaugi. Tu akhir mai Maine yeh socha ki raat mai isbare mai Aunty Fariha se baat karo gi. Pr mere kuch kehne se pehle hi. Sham ko Fariha Aunty khane ki table pr yeh baat chaidh deti hai.

"Maine aur Ahmad ne Maham, beta tumhara admission issi shehar mai karwa diya hai. Aur tumhari books se lekar school uniform ka bhi bandubas kardiya. Beta, ab tum kal se Ali ke sath aapne naye school ja sakti ho." Yeh baat sunte hi Maham se pehle Ali hi bol para. 

"Ammi! Ab yeh mere school bhi jaigi!" Ali ne tuhre gusse aur hairat se kaha. Jisko sunte hi Uncle Ahmad ne Ali ki taraf gusse se dekha. Ali yeh dekh kr khana chodh kr chala jata hai. Baat ko sambhalne ke liye Ayaan khushi ka izhaar karta hai aur sath hi mazak bhi karta hai jisko sunkr sab hasne lagte hai.

Raat ko jab Maham aapne kamre mai wapis aati hai tu dekhti hai ki uski books, bag aur school uniform pehle se hi waha mujud hoti hai. Woh apni dress dekhti hai aur usku buhut pasand aati hai. Phir woh apni books ko sahi se set karti hai aur unko bag mai rakh deti hai. Uska bag latest fashion hota hai jo khaas kr school hi keliye design kiya gaya tha. Woh buhut khush hoti hai aur kal ka be sabri se intezar kar rahi hoti hai.

Phir Maham ki nazar paas rakhe howe photo frame pr padhti hai. Woh usko utha ti hai aur usko khamoshi se dekhti rehti hai. Na Jane kin sochu mai gum si ho jati hai woh. Pr tabhi darwaze pr dheme se koi knock karta hai. Itna ke Maham sun le. Maham darwaza khol ti hai aur samne maujud shaks ko dekh kr turant uske muh pr darwaza bandh kr deti hai.

"Ya Allah! Adhi raat ko is ka kya kaam mere kamre mai. Mujhe pata hai ki hamari Engagement ho chuki hai pr Nikkah tu nahi. Yeh yaha aya kyu hai. Aur agar isko kuch kehna bhi tha tu subha nahi keh sakta tha aur-" isse pehle Maham aur kuch sochti Ali phir knock karta hai. Maham dhere se phir darwaza khol ti hai pr is baar sirf adha hi darwaza khol ti hai aur pochti hai, "Aap yaha is waqt kyu aye hai, koi kaam? Yeh sun kr Ali ko hasi ajati hai. Maham ne pehli baar usku is tarha haste dekha hota hai. Pr Ali uski wajah se nahi pr uspr has raha tha yeh dekh uska chehra sharam se laal hojata hai.

"Kya mai Andar asakta ho?" Ali pochta hai aur Maham darwaze ke paas se hat jati hai. Ali andar aakr badbadata hai, "Ab tu mujhe aapne kamre mai bhi ane ki ijazat leni pr rahi hai." 

"Ji aap ko shayad kuch kehna hai mujhse, tu bataye!?" Maham Ali se pochti hai. Tu phir Ali kehta hai, "Jitna mai apni ammi ko janta ho, meri ammi ne mere hi class mai tumhara admission karwaya hoga. Mai tumse itna chata ho ki tum school mai is tarah rehna ki tum mujhe bilkul nahi janti ho. Aur yeh Engagement wali baat kisi ko bhi pata nahi chalni chahiye. Meri ek reputation hai school mai aur mai nahi chata ki mere bare log bate banai."

Yeh sun kr Maham ko gussa ata hai pr woh usko apne chehre pr zahir nahi hone deti hai. Woh usse kehti hai, "fikr na kare, mujhe bhi koi shok nahi aur mai bhi nahi chati ke maire bare mai bhi koi bate banai!" Yeh sun kr Ali kehta hai, "Accha hai ki yeh baat tum samjh gai. Ab mai chalta ho. Aur ha itni raat hogai hai aur tum jaag rahi ho, behtar hai ki so jao! Mujhe late hone ki adat nahi." Yeh keh kr Ali muskurate howe kamre se chala jata hai. Aur Maham usku muh chirate howe darwaza ban kr ke sone chali jati hai.

***

Dusre din Maham kafi jaldi uth kr  fresh hone keliye bathroom chali jati hai. Tuhri hi der howi thi ke darwaza koi tezzi se knock karta hai. Maham brush karte howe darwaza kholti hai tu dekhti hai Ali khara hota hai.

"Jaldi hatto mujhe bhi fresh hona hai warna mai late ho jauga!" Ali jaldi mai kehta hai aur Maham ke muh se kuch yu sunta hai."Guwgagwa"  aur Ali gusse mai kehta hai, "pehle kulli karlo phir kuch bolna aur jaldi karo!!" Maham fresh ho kr bahar ati hai aur kehti hai, "Itni hi jaldi thi tu aap jaldi uth jate. Aur ha Jaldi karye ga mujhe late hona pasand nahi."  Yeh keh kr Maham bare hi shan se apne kamre mai wapis chali jati hai yeh sochte wai ki kal ka badla pura howa. Aur Ali wahi khara usku dekhta hi reh jata hai. Ki abhi isne mujhe kitne araam se bate suna kr chali gai.

Maham apni dress pehan kr ek baar phir apne aapko aaine mai dekhti hai. Woh buhut pyari lag rahi hoti hai. Simple si ek ponies tail mai. Phir woh apna bag utha thi aur neche aati hai.

Khane ki table mai sab hi mujud the aur woh bhi unhi mai baith jati hai. Fariha Aunty bare hi pyaar se kehti hai, "Masha Allah! Kitni pyari meri beti lagrahi hai!" Yeh sun kr Ali muh banata hai aur Ayaan tarif karta hai. "Maha, wakahi aap buhut pyari lag rahi hai!" Maham yeh sun kr khush ho jati hai aur thankyou krti hai.

Breakfast mai woh sirf ek glass dodh aur kuch Apple ki pahk hi leti hai. Aur woh bhi Fariha Aunty ke zid karne pr. Phir Fariha Aunty aapna ek aur huqum sunati hai Ali ko, "Maham tumhari Zimedari hai Ali. Tum Maham ko School acche se dikha dena aur Tumhare sath hi Maham jaigi!" Yeh sun kr Ali ek juhoti muskurahat chere pr saja kr kehta hai, "Ji jo huqum aapka!"

Yeh keh kr teeno, Salam karte hai aur bag lekr bhar chale jate hai.
Bhar Ali Car nikal chuka hota hai aur Ayaan Car ke Agai wali seat ka darwaza khol kr kehta hai, "Maha aiye yeh seat pr aap hi baithye." Maham mana krti hai aur peche wali seat pe Jake baith jati hai aur Ali bhi nahi chata tha ki Maham agai baithe, kyu ki agar school ke kisi bacche ne dekh liya tu ek naya hangama shuru hojaiga. Yeh dekh kr Ayaan phir agai baith jata hai aur Ali Car start kr deta hai.

***************
***************

Bin Tereजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें