Chapter 8

285 56 4
                                    

Lectures ab khatm ho chuke the aur lunch period ko shuru howe tuhri der ho chuki thi. Maham apna lunch kr ke lunch box bag mai hi rakh rahi thi ke tabhi Maham ki seat ke samne do ladkiya aa khari hoti hai. Woh dono Maham ki classmate hoti hai.

Maham dono ko sawaliya nazru se dekhti hai tu dono mai se ek agai bhadh kr kehti hai, "Hi! Mera naam Ayisha hai. Mai class president ho. Aur tum jo ki new student ho, yeh meri Zimmedari hai ki mai tumko yeh school aur yaha ke sare rules aur events ke bare mai batao aur samjhau." Aur phir Ayisha ke paas khari ladki kehti hai, "Aur mera naam Zoya hai! Mai is class ki event manager ho. Sare events aur meeting plan krna mera kaam hai."

Maham yeh sun kr dono ko muskura kr dekhti hai aur kehti hai, "Tum dono se mil kr mujhe buhut accha laga! Mera naam Maham hai!" Maham dono se haath milate howe kehti hai. Ab jab teeno dosti ban gai thi. Ayisha aur Zoya Maham ki samne wali seat pr baith jati hai aur phir Zoya Maham se pochti hai.

"Accha yeh batao tumhare yaha transfer hone ki koi wajah?" Tu yeh sun kr Maham ke chere pr udas si ek muskurahat ajati hai. Usku betai lamhe yaad se ane lagte hai. Phir Maham unse kehti hai, "Actually, mai apni Aunty wa rehne ayi ho. Aur ab yahi rahugi. Apni padhai mai yahi mukambal Karogi." Yeh sunkr dono samjhne ke andaaz se sar hilati hai aur phir ab Ayisha Maham se pohchti hai.

"Tum pehle koun se School mai padhti thi?" Maham usko ab tuhra gurv ke sath batati hai. "Mai Magnolia Branch mai padhti thi."

Magnolia Branch ek jana mana school tha aur iski kafi branches pehli howi thi pure daish mai. Yaha bari ho mushkil se admission milta hai aur iski fees bhi kafi zyada thi. School ka naam sun kr samne baithi dono dostu ki ankhe hairat se bari ho jati hai aur unka muh khula ka khula reh jata hai.

Aisa nahi tha ki yeh school jis mai abhi yeh log padh rahi hai woh kuch kharab ho. Woh bhi ek mashur aur jana mana school hai. Aur zyada tar Magnolia Branch ke saath is school ka competition rehta hai.

Ayisha hairat se kehti hai, "Maine suna hai, Ke waha admission hone mai kafi dikkat hoti hai." Maham kehti hai ki aisa bilkul nahi hai. Waha sirf yeh dekha jata hai ki aap ka dil padhai mai lagta hai yaha nahi. Agar ha tu admission pakka aur agar nahi...tu phir ha dikkat asakti hai.

Idhar Ali ka Sara dhiyaan Maham ki batu pr laga howa tha. Woh aisa pr zahir nahi kr raha tha ki woh Maham ki batae sun raha ho. Woh apne dostu ko sang kuch is tarah khara tha. Ki mano woh unse hasi mazak kr raha ho.

Tabhi Ali ka ek dost Maham ki taraf dekh kr kehta hai, "Yaar, yeh new student bhi kafi acchi hai dikhne mai, mai soch raha ho ki kyu na mai bhi ja kr isse dosti karlo." Yeh sun kr Ali ko behad gussa ajata hai aur woh is kadr khatarnak tarike se uska haath pakadh kr usku rukta hai aur guhr ta hai ki woh ek pal dar sa jata hai.

"Aare yaar t-tum ko kya hogaya. Tum kya usse dosti kr na chate ho? Agar aisi koi baat hai tu sorry yaar mai nahi karta dosti." Ali ka dost usse yeh keh kr usku thanda krne ki koshish krta hai aur Ali khamosh hi rehna behtar samjhta hai.

Maham ab apni nayi bani teeno dosto ke sath has rahi hoti hai. Aur batao mai kuch aise waqt chala jata hai ke mano abhi kuch hi minute betai ho.

Lunch period ab khatam ho chuka tha aur lectures phir shuru ho chuke the. Kuch is tarah  Maham ke school ka pehle din khatm hota hai aur chutti ki bell bajati hai.

Ali tuhri der tak class mai khara rehta hai. Aur jab Maham apna bag lekr class se bhar Jane ki tayari kr rahi hoti hai tab Ali class se bhar chala jata hai. School se bhar nikal kr aur phir Car mai baith kr Maham ka intezar karta hai.

Kafi dair ho chuki thi Ayaan bhi Car mai baith chuka tha pr Maham. Uska phir koi ata pata hi nahi tha. Ayaan Ali ko mujrim nigaho se dekhta hai aur kehta hai, "Maha sahi kehti hai! Aap kisi Zalim se kam nahi. Aap ko unke saath bhar ana chahiye tha ab pata nahi Maha kaha hogi. Aur mujhe tu yeh lag raha hai ki woh rasta bhatak gai hai. Sab aapki wajah se!"

Ali ab gusse se kehta hai, "Mai kafi dair Classroom mai khara raha aur jab woh nikalne wali thi usse pehle nikla ki woh mujhe follow kr sake pr tumhari Maha ke akal hi kab hai. Jab dekho rasta hi bhatak jati hai!"

Ayaan ab Ali se kehta hai, "kya aap ne unse kaha tha ki follow kare ya aapne unku Car kaha park hai is bare mai kuch bataya!?" Yeh sun kr ab Ali tuhra sharminda hota hai pr apni akadh nahi chorta. Woh kehta ki accha thi hai. Woh lekar ata hai Maham ko. Yeh keh kr woh Car se utar kr school ke andar jata hai.

Classroom mai pohach kr dekhta hai ki waha naahi Maham hai aur naahi uska bag. Phir woh upar ke sare classroom mai dekhta hai aur neche aakr har neche ke classroom mai dekhta hai, playground mai jata waha bhi nahi thi Maham. Ab Ali pasine se tar batar tha aur fikr mand bhi. Usse samajh nahi araha tha ki agar Maham nahi mili tu woh sab ko kya jawab dega.

Corridor se guzarte waqt uski nigah Maham pr padhti hai jo Ayisha aur Zoya ke sath khari has rahi thi. Yeh dekh uske Aag si lag jati hai. Woh yaha pagalo ki tarah usko dhund raha hai aur yeh madam khari gup shup aur  mazak kar rahi hai. 

Woh teeno ke samne bina kuch soche samjhe akhara hota hai. Yeh dekh Ayisha hairani se pochti hai, "Aare Ali jitna mujhe yaad hai tum tu class se jaldi chale gai the tu ab yaha kya kr rahe ho? Kuch bhul tu nahi gai class mai? Ali ke paas ab kehne ko koi jawab nahi tha. Woh kehta bhi kya ke woh Maham ko dhun ne aya tha jo yaha befikr hasi mazak kr rahi hai.

Ali Jhot mout ki muskurahat chehre pr chipka kr Maham ki taraf dekh kr kehta hai, "Haa, mai yaha kuch bhul gaya tha pr phir samjh aya uska tu mera kuch kaam hi nahi aur ab mai ghar ja raha ho!!" Yeh sun kr Maham ko samjh ajati hai ki woh kya kehna cha raha hai pr isse pehle Maham kuch kehti Ayisha Maham ka haath pakdh Ali se kehti hai, "Ali, yeh hai meri nayi dost Maham aur Maham yeh hai Ali Ahmad!"

Maham aur Ali ek dusre ko dekhte hai aur phir Zoya kehti hai, "Pata hai Ali, Maham Magnolia branch se yaha padhne ko ayi hai aur apni Aunty wah reh rahi hai. Usne Hum mai yeh bhi bataya ke woh yahi se ab apni padhai mukambal kare gi aur haa-" isse pehle aur kuch zoya Maham ki tarif mai kehti Ayisha bol pari.

"Ali bhi waise kuch kam nahi, haa yeh baat kuch aur ha ki woh cheating se paas hota pr sports mai Ali kafi accha hai."  Yeh sun Maham has padhti hai aur Ali shaminda.

Ali ko samjh nahi arahi thi ki uski dost uski tarif kar rahi hai ya burai. Tuhri aur baat cheet ke baad akhir Ayisha aur Zoya Maham ko Jane deti hai aur Ab Maham school se pehle nikal kr Car mai ja baith jati hai. Ali jaan kr dair se school se bhar nikal ta hai ki kisi ko shak na ho.

Car mai jab Ali baith ta hai tu dono Maham aur Ayaan sar hila kr kehte hai, "Yaha hum log garmi mai baithe tap rahe hai aur Ali apne dostu ke sath gup shup laga rahe the. Batao kaise zalim aur befikre mijaas ke hai yeh!" Yeh sun kr Ali dono ko ghur kr dekhta hai aur dono hasne lagte hai. Ayaan Ali se kehta hai, "Bhai, ab yeh aap ka farz hai ki aap hum dono ko ice cream khilai!" Ali kehta hai, "Accha aur woh kis khushi mai!?"

Ayaan aur Maham ek dusre ko muskura kr dekhte hai aur phir kehte hai, "Maha ka pehla din tha school mai aur treat tu banti hai na!" Ali phir dono ko dekhta hai is andaaz mai ki yeh dono mazak tu nahi kr rahe pr phir majburan Ali ku dono ke liye Ice-cream dilani hi padhti hai.

***********
***********

Bin Tereजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें