"Ali bhai! Aapne Car School ke peche kyu park ki? Hamesha tu aap School ke front Gate ke paas hi park karte hai tu aaj yaha kyu? Ayaan Ali se sawal karta hai. Yeh sun kr Ali Maham ko dekhta hai aur phir kehta hai.
"Baat kuch aisi hai, mai nahi chahta ki aapki ki Maha ko dekh log unke bare mai batae banaye."
Maham ko acchi tarah se pata tha ki Ali ke yeh kehne ka kya matlab tha. Woh Ayaan se muskura kr kehti hai, "Sahi keh rahe hai tumhare bhai. Aur mai nahi chati ki inki wajah se mere bare mai koi batae banae." Isse pehle Ayaan ya Ali kuch bhi kehte, Maham Car se utarti hai apna bag lekr rood cross kr School ke Andar chali jati hai.Ayaan yeh dekh kr Ali ki taraf fikr se kehta hai, "Bhai, Aap ko kya maza Ata hai Maha ko tang kr ke. Ab dekhiye woh School ke Andar tu chali gayi, pr unko naahi classroom pata hai aur naahi office. Agar woh gom hogayi tu kya hoga?" Ali yeh sun kr befikri se kehta hai, "Woh bacchi nahi. Itne students mai se kisi se bhi poch sakti hai office aur classroom ka pata."
Ali phir Car ko restart kar ke School ke front Gate ke paas park kr deta hai. Aur dono bhai Car se utar kr School ke Andar chale jate hai.
Idhar jab Maham school ke Andar pohachti hai tu usku dhiyaan ata hai ki woh Ayaan ya Ali se office ka pata pochna hi bhul gayi. Pr phir woh samne jati ek student ko roukh kr unse office ka pata pochti hai. Woh student usku dekh muskurati hai najane kya soch kr phir usku pata bata deti hai.
Class bas shuru hi hone wali thi, aur Maham ka abhi tak koi ata pata hi nahi tha. Ali jo na chate wai bhi fikr se class mai baithe bar bar darwaze ki taraf hi dekh raha tha. Peche se uska ek dost haste howe kehta hai, "Na Jane Aaj Ali is tarah kis ka intezar kar raha hai. Zarur koi khaas hai, yeh kya baat hai!" Yeh sun kr Ali ke baki dost bhi ab Ali ko hi dekh rahe the aur janna chate the ki kya Ali wakahi kisi ka intezar kar raha hai.
Yeh sun kr aur apne baki dostu ko aise dekh kr Ali sharam se chirchira jata hai aur bhana banane lagta hai. "Mai tu bas teacher ka intezar kr raha tha. Class shuru hi nahi ho rahi aur yeh baat tum jaise ghade nahi samajh paye gai." Ab sare dost hasne lagte hai aur Ali ke sath us dost ka mazak banane lagte hai.
"Y-Yeh mai kaha agayi, yeh tu playground hai!" Maham fikr se apne charo taraf dekh kr kehti hai. Phir usku samajh ati hai ki us student ne usku baiwakuf banaya tha. Usku jan buch kr galat rasta bataya aur ab woh class ke liye late ho chuki thi. Maham fikr se yeh sab soch hi rahi hoti hai ke tabhi uske peche se awaaz ati hai.
"Aap is waqt yaha kya kr rahi hai!! Class shuru ho chuke hai!" Yeh sun kr Maham palat kr dekhti hai, samne ek ladka uski umar ka pr kuch usse zyada lamba, haath mai Football liye khara tha. Uske baal gehre Bhore (brown) or kali uski ankhe thi. "Yeh sawal tu mai bhi aap se kar sakti ho! Aap is waqt yaha kya kr rahe hai, class shuru ho chuke hai!?" Maham usse ana ke sath pohchti hai. Woh apni ki howi galti dhurana nahi chati thi. Ek student pehle hi usko baiwakuf bana chuki thi aur ab yeh.
Woh ladka uski yeh baat sun kr has padha. Aur phir usse kehta hai, "Tum kya New Student ho? Kyu ki Aaj tak is tarah se kisine bhi mujh se aise baat nahi ki." Yeh suk kr Maham Apni Ana nahi chodti aur kehti hai, "Acchi baat hai na, Yeh tumhare liye bhi naya experience raha hoga. Aur haa, mai new student ho. Aur Agar Apko preshani na ho tu kya aap mujhe office ka rasta bata sakte hai?" Woh ladka is baar phir hasta hai aur Mazakiya andaaz se kehta hai.
"Zarur yaha aapke sath kisi ne shararat ki hai tabhi is kadr mood kharab hai aapka. Chaliye koi baat nahi aap new student hai tu mai choti moti baat ko mind nahi karo ga. Aye mai apko office le chalta ho. Sath isliye ja raha ho ke aap meri baat pr yakeen kr sake."
Woh dono principal office pohach tai hai, Teacher late hone pr sawal karti hai aur Maham unko sari baat batati hai phir Teacher Maham ko uska class ka section batati hai aur kuch papers bhi deti hai. Office se bhar nikal kar Maham Usku thankyou karti hai. Phir woh ladka usse kehta hai.
"Thankyou ki koi zarurat nahi, kisi ki help karna mere mood pr hai, mera mood accha tha is liye Maine aapki help ki. Waise mera naam Isa hai, aap se mil kar accha laga." Isa yeh kehte howe apna haath aage bara tha hai dosti keliye. Maham muskurate howe usse haath milati hai aur kehti hai, "Mera naam Maham hai. Thankyou aapki help ke liye."
"Agai aur Aapko koi phi pareshaani ho ya kisi bhi tarhe ki help ki zarurat ho aap mujhe yaad kar sakti hai. Pr sirf Yaad kyu ki mai zyada accha nahi ho logo ki help karne mai." Isa usse mazakiya andaaz mai kehta hai jisse sun kr Maham hasne lagti hai aur Maham ko yu haste dekh Isa usse dekhta hi reh jata hai.
Class shuru howe das minute beeth gai the aur Maham ka kuch ata pata nahi tha. Teacher ne bhi apna lecture shuru kr diya tha. Pr Ali ka dil nahi lag raha tha. Woh fikr mand tha. Na Jane Maham kaha chali gai thi. Kya woh gum tu nahi hogai. Usku fikr mai na Jane kya kya sojh raha tha. Woh sirf darwaze ki taraf hi dekh raha tha. Phir Ali se jab raha nahi gaya tu woh khara hojata hai. Isse Teacher ka dhiyaan Ali ki taraf jata hai aur woh pochte hai ki use kya masla hai?
Isse pehle Ali kuch kehta Darwaze ki taraf se Awaaz ati hai. Sabhi darwaze ki taraf dekhte hai, samne Maham khari thi aur uske sath jo shaks tha usku dekh Ali ke tan badan mai mano Aag si lag jati hai. Usku beintiha gussa ata hai. Maham is shaks ke sath kr kya rahi hai! Kyu khari hai is ke sath Maham!?
Teacher Maham ko Andar ane ko kehte hai aur usse sawal karte hai, "Aap hi Miss Maham Ali hai!?" Is baat ko sun kar Maham aur Ali dono hi pehle laal hote hai phir safaid ho jate hai. Undono ke mono rang hi udh se gai the. Unka Raaz jo Ab Raaz na raha tha. Dono ki dharkane tez thi. Dono ab bas ek dusre ko dekh rahe the. Ab agai kya hoga? Yeh kya kiya Fariha Aunty ne!!!
Pr tabhi phir teacher ek baar aur yeh sawal karte hai Maham se, jisko sun woh dhere se sar hilati hai aur phir Ali ki taraf dekhti hai. Ali ki bhi sase mano tham si gayi thi. Teacher Maham se sawal karte hai, "Pehle din hi aap late hogai, aisa kyu!?" Isse pehle Maham jawab deti paas mai khara Isa uski taraf se sari baat bata deta hai.
Teacher samjhne ke andaaz se sar hilati hai aur phir usku kisi khali seat pr baithne ko bol dete hai. Maham pareshaan aur hairat mai hoti hai. Ke kisi ne kyu uske ya Ali ke khilaaf batae nahi banayi aur koi has bhi nahi raha. Phir Maham ko ehsas hota hai ki Ali is duniya mai wahid nahi. Kafi log Ali naam rakte hai. Aur yahi wajah hai ke class itna shant hai.
Woh ek baar phir Ali ko dekhti hai, Ali uske chere pr chahi itminan se samjh jata hai aur usku bhi itminan ho jata hai.
Maham Apni seat pe baith te hai aur dekhti hai Isa abhi bhi Teacher ke saath hi khara howa tha. Isa Teacher se ijazat mangta hai aur Jane se pehle ek baar phir Maham ki taraf dekhta hai.
Maham usku muskura kr dekhti hai thankyou ke andaaz mai aur yeh dekh Isa bhi muskura deta hai. Aur phir Class se chala jata hai.
Ali dono ko dekhta aur najane kyu usko yeh dekh kr buhut gussa ata hai. "Aap ku shayad kuch kehna tha Ali?" Teacher Ali se sawal karte hai kyu ki woh us waqt se abhi tak khara hi tha. Ali ko dhiyaan ata hai ki woh Maham hi ki fikr mai khara howa tha.
Woh teacher se kehta hai ki kuch nahi sorry sir aur yeh keh kr Ali wapis baith jata hai. Teacher yeh sun kr lecture phir se shuru kar dete hai.
************
************
आप पढ़ रहे हैं
Bin Tere
أدب المراهقينYeh Kahani hai Pyaar ki, Jo Adhuri hai Bin Tere. Thama hai jo haath mera ae Sanam, Chodna dena warna, Mar hi jaye ge Hum. Give it a try and I'll bet you'll love it!!!