Car mai kafi ajeeb si khamoshi chai howi thi. Isa Car ki peche wali seat pr baitha howa Car ki window se bahar ki taraf dekh raha tha. Yeh zahir tha ki Isa gusse mai hai.
"Tumhari tabiyat ab kaisi hai? Ya kahi tu doctor wa le chale?" Khatija Aunty apni beti se fikr mai sawal karti hai. "Ammi, maine kaha na mai thik ho. Ghar pr aaram karogi thik ho jaiga. Aap fikr na kare." Urwa apni Ammi se kehti hai.
"Beta agar tumhari tabiyat acchi na thi, tu tumko kehna chahiye tha na. Waha kitni sharminda hona para hum logo ko aur phir mai unku khul ke mubarak bhi na keh saki." Khatija Aunty kehti hai.
"Ammi, mujhe nahi pata tha ki waha ja kr meri tabiyat zyada kharab ho jaigi. Mujhe mauf karde." Urwa apni Ammi se sar jhuka kr kehti hai. "Accha chalo koi baat nahi. Pr ayinda agar tumhari tabiyat acchi na ho tu mujhse bata dena." Khatija Aunty kehti hai baat khatam karte howe.
"Ji Ammi" Urwa yeh keh kr Car ke bahar dekhne lagti hai. Kuch hi minutu mai woh apne ghar ki wapis ajate hai. Khatija Aunty aur unke shuhar apne kamre mai chale jate hai. Aur Isa bhi. Urwa wahi khari reh jati hai.
Urwa apne kamre mai Jane se pehle apne liye kitchen se ek glass juice leti hai aur apni Ammi, Abu ke liye chai banati hai. Isa aaj ek baar phir kafi gusse mai tha. Aur apne bhai ka mood thik karne ke liye woh Uske liye ek cup coffee tayaar karti hai.
Apne Ammi, Abu ko chai de kr woh apne bhai ke kamre mai jati hai aur knock karti hai. Pr andar se koi jawab nahi ata hai. Woh dubara aur tebara phir knock karti hai pr tabhi koi jawab na ata hai. "Bhai!? Mujhe pata hai aap so nahi rahe. Please darwaza khule. Mujhe fikr horahi hai." Urwa fikr se kehti hai darwaze pr knock karte howe.
Tabhi andar se koi jawab nahi ata hai. Urwa apne kamre mai jane ke liye murti hai ki tabhi darwaza khol jata hai. Urwa mur kr dekhti hai darwaze pr Isa gusse se khara howa tha.
Isa kehta hai, "Meri Fikr!? Kyoun!? Jab mujhe tumhari Fikr thi aur mai tumse poch raha tha tab tu tumko mera khayal na aya! Aur mujhe acchi tarah se pata hai ki tumhare pait mai koi dard nahi tha! Tum us waqt Ali ki wajah se ro rahi thi!" "Bhai! Maine kaha na, Ali ki is mai koi galti nahi. Aur mai Ali ki wajah se nahi to rahi thi!" Urwa kehti hai.
"Tum phir uska side le rahi ho! Jab ki usne sirf hamesha tumko rolaya hi hai! Do saal pehle bhi aur aaj bhi tum us hi ki wajah se ro rahi ho aur us hi ki side le rahi ho! Tu tumhe meri fikr karne ki koi zarurat nahi!" Isa gusse se apni baat keh kr darwaza bandh kr leta hai. Urwa tuhri dair wahi khari rehti hai aur phir apni kamre mai wapis chali jati hai.
Kamre mai ja kr andar se darwaza bandh kr, Urwa khub roti hai aur bethe pal ki yaad samne ana shuru ho jati hai.
Ting Tong
Darwaze ki bell sun kr Urwa ki Ammi usse darwaza khone ko kehti hai. Urwa apna hijab sahi kr Darwaza kholti hai. Samne khare shaks ko dekh kr uske chehre pr muskurahat saj jati hai.
"Assalam-u-Alaikum! Aap ke yaha ane ki wajah!?" Urwa mazakiya andaaz se sawal karti hai. Jisko sun darwaze pr khara shaks apsus ke saath sar hilate howe mazakiya andaaz mai kehta hai, "Mickey, Andar tu ajane do phir sawal ki barish barsana."
"Ji, zarur shauk se andar padhare! Aap hi ka tu ghar hai." Urwa mazakiya andaaz mai tuhra jhuk kr andar ate shaks ka sawadat krti hai. "Kyu tang kr rahi ho Urwa isko! Aao beta andar aao!" Kitchen se nikaltai howe Khatija Aunty muskura kr us shaks ko baithne ko bolti hai.
"Aare nahi Aunty mai aaj baithne nahi aya! Bas aap itna bata de Isa kidhar hai?" Woh shaks sawal karta hai. "Isa!? Woh abhi hi bathroom mai shower lene gaya hai. Jab tak tum baitho mai chai lati ho." Khatija Aunty muskura kr kehti hai.
आप पढ़ रहे हैं
Bin Tere
Roman pour AdolescentsYeh Kahani hai Pyaar ki, Jo Adhuri hai Bin Tere. Thama hai jo haath mera ae Sanam, Chodna dena warna, Mar hi jaye ge Hum. Give it a try and I'll bet you'll love it!!!