Chapter 21

509 22 48
                                    

Assalam-u-Alaikum friends! How are you all!?

I know you all probably hate me by now. After making promises, I never update on time. For that, I sincerely apologize to all of you. I am really busy nowadays and I am really trying my best. Hopefully you'll understand.

One of my cousin wants me to kill Maham. She really like Urwa and she wants me to replace the main character. What are your thoughts upon it.

Pray if you haven't yet. Prayer comes first!

Keep smiling because it's suits you. Don't forget to vote and share your thoughts upon it!♡♡♡

***

Maham, Ayisha ke saath uske room mai baithi homework kr rahi hoti hai pr Maham ke ane ki asal wajah homework nahi thi. Maham ko nahi samajh araha tha ki woh Ayisha se kis tarah baat kare. Ayisha bhi khamoshi se apna Homework kiye jarahi hoti hai ki tabhi Ayisha ki Ammi kamre mai dakhil hoti hai, juice aur kuch snacks ke saath.

"Masha Allah! Tum log dil laga kr padhte howe kitni acchi dikhti ho. Aur Maham, mujhe buhut khushi howi ki tum humare ghar ayi. Ab khana khilaye bina mai tumhe jane nahi dungi!" Ayisha ki Ammi bare hi pyaar se kehti hai, nashta rakhte howe. "Mujhe bhi aap se mil kr buhut accha laga pr Aunty mai khana nahi kha sakti, please takaluf na kijiye ka." Maham unku adab ke saath mana krte howe kehti hai.

"Ammi! Aap na ise kehne dijiye. Mai dekhti ho ki kaise yeh bina khaye jati hai yaha se!" Ayisha copy ban krte howe kehti hai. "Ayisha, please yaar zid na karo. Mai kisi aur din khalo gi na." Maham, Ayisha se kehti hai.

"Thik hai, phir tum ladkiyu baat aur kaam karo mai khane ki tayaari krti ho. Aur Ayisha jane na dena isko, samjhi!" Ayisha ki Ammi kehti hai aur waha se chali jati hai. Maham, Ayisha ko is tarah dekhti hai ki mano keh rahi ho, 'Please maan jao na' aur Ayisha sar hilati hai aur haath ko cross shape mai bana kr kehti hai, "Bilkul bhi nahi! Aur agar tumne phir zid ki na, tu samajhna humari dosti khatam!"

"Ayishaaa"

"Maham!"

"Accha thik hai. Pr mai call krlo pehle." Maham, Ayisha ki zid se har mante howe kehti hai aur phir Aunty ko call kr ke aapne dair se ghar lautne ka bata deti hai. Ayisha aur Maham phir padhayi se break le kr juice aur Snacks khate howe idhar, udhar ki batae krne lagti hai.

"Mujhe pata hai, tumhare ane ka asal maksad kya hai!" Ayisha achanak se kehti hai, Maham ko hairan krte howe. Maham, Ayisha ko dekhti hai aur phir kehti hai, "Ayisha...mujhe samajh nahi araha hai kya karo. Mai aise tum logo ladhta nahi dekh sakti!" Ayisha, Maham ki baat sun kr muskurati hai. Uske karib ja kr baithti hai aur uske dono haath thamte howe kehti hai, "Maham, tumhe kisne kaha hum log ek dusre se ladh rahe hai. Haider aur Abdullah ki baat nahi kr rahi ho mai, Zoya ko bhi shayad tumhari tarah nahi samajh araha hoga ki kya kare aur kaise baat kare. Rahi baat Haider ki, tu mujhe pehle din se pata tha ki Haider, Zoya ko pasand krta hai. Aur mujhe lagta hai, Zoya bhi Haider ko pasand krti hai. Mai ho jo dono ke beech agyi. Galti meri thi."

"Aisa bilkul nahi hai, Ayisha! Zoya, Abdullah ko pasand krti hai! Usne hum logo se khud hi tu kaha tha!"

"Usne kaha zarur tha pr shayad woh sach na tha. Maham, mujhe lagta ki humko yeh waqt pr chor dena chahiye. Zoya jis ko bhi pasand krti hai, aur Haider apne pyaar ko sab ke samne qubool krle tabhi sab thik ho sakta hai, aur yeh waqt hi bataye ga. Aur mai yeh har gis nahi chati ki yeh boys humari itni acchi friendship ke beech mai aye!" Ayisha kehti hai.

Bin Tereजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें