Ali subha nashta kr ke Football practice pr nikal jata hai. Is baat se anjaan ke ghar pr agae kya hone wala hai. Shaam tak jab Ali wapis ata hai tu dekhta hai ki ghar pr kafi sannata chaya howa hai.
Woh har tarf dekhta hai, apni Maa aur Ayaan ki talash mai pr ghar pr woh dono hi nahi the. Na chate howe phir Ali, Maham ke kamre mai knock karta hai. Awaaz na ane pr Ali darwaza khol kr dekhta hai tu malum hota hai ki Maham bhi apne kamre mai na thi.
Ali ko kuch atpata sa lagta hai pr woh yeh baat soch kr tal deta hai ki shayad ho sakta hai Maham ko Ammi shopping pr legayi hai aur Ayaan bahar apne dostu ke sang ho.
Pr jab kafi dair ho jati hai tu Ali ko fikr hoti hai. Ali apni Ammi ke mobile pr call krta hai pr call unreachable batata hai. Phir Ali upar apne room mai chala jata hai. Waqt kaise beet jata hai usku pata hi nahi chalta aur uski aankh phone ki ring se kholti hai.
Ali jab tak phone utha ta hai call cut ho chuki thi. Ali phir check karta hai tu dekhta hai ki Maham ki paach missed call pari howi thi. Ali turant number dial kr usku call krta hai. Aur uske phone utha te hi kehta hai, "Waqt dekha hai!? Kaha ho tum!?"
Dusri taraf Maham pehle tuhri dair khamosh rehti hai phir tezz awaaz mai gusse ke saath kehti hai, "Mai pechle aadhe ghante se gate ke paas khari ho aur ghar ka darwaza lock hai!! Maine bell bhi bajayi aur call bhi kiya pr shayad aap kisi ke khuwabu mai khoye howe the, jiski wajah se aap ko kuch na sunai diya!!"
Ali ko yeh baat sun kr yaad ata hai ki usne upar apne room mai Jane se pehle gate ko lock kardiya tha. Woh bina kuch kahe phone cut karta hai aur tezzi se neche aakr darwaza kholta hai aur dekhta hai Maham wahi khari howi thi. Maham se kuch kehne ki uski himmat hi na howi.
Maham ke chere se saaf tha ki woh kafi dair se intezar kr rahi thi aur kafi gusse mai bhi thi. Maham Ali ko ek baar ghur ke dekhti hai aur gusse se andar chali jati hai. Ali Phir darwaza lock kr andar ata hai aur Maham ko akele dekh usse sawal karta hai.
"Ammi kaha hai?" "Mujhe nahi pata!" Maham Ali ko jawab dete howe kehti hai. "Kya matlab tum nahi janti? Ammi tumhare saath nahi thi aur tum kaha gayi thi!?" Ali phir sawal karta hai.
Maham glass mai pani nikalte howe kehti, "Aunty kaha hai yeh mai nahi janti, Jane se pehle Maine Aunty se ijazat le li thi aur rahi baat mai kaha gayi thi, Woh mai aapko batana zaruri nahi samajhti!" Maham pani Pete howe kehti hai.
Ali ko yeh baat sun kr gussa ata hai. Pr woh kuch na kehta hai. Akhir dono mai naraazgi jo chal rahi thi. Ali phir apni Ammi ko call karne ki koshish krta hai pr call na lagti hai. Maham kisi kaam se kitchen mai jati hai aur waha table pr rakhe kagas ko padh kr hairan reh jati hai.
Maham woh kagas ke tukre ko le kr sofe wale kamre mai ati hai jaha Ali baitha T.V pr Match dekh raha tha. Maham bina kuch kahe Ali ko woh parcha dekhati hai. Ali usse woh parcha le kr parta hai jis pr Aunty Fariha ne likha howa tha,
Dear beta Maham aur mera nalayak beta Ali,
Mai, Ayaan aur tumhare Abu, kuch dino ke liye tumhari Nani ki taraf jo dusre shehar mai rehti hai waha ja rahe hai. Tumhari Nani ki tabiyat kuch nasaaz hai. Ghar aur Maham ka acchi tarah se dhiyaan rakhna. Fikr na karna aur Fikr nahi karwana. Hum log jald wapis ajaye ge, Insha Allah. Aur Maham ko tang ya pareshaan bilkul na karna.
P.S Enjoy!~
Tumhari dil se jawaan, Maa♡♡
"Y-Yeh Ammi kaise kr sakti hai!!" Ali ko yakeen nahi araha tha ki abhi usne jo padha woh sach hai ki nahi. Ali phir apne sar pr haath phair ta hai aur ghar se bahar chala jata hai.
आप पढ़ रहे हैं
Bin Tere
Teen FictionYeh Kahani hai Pyaar ki, Jo Adhuri hai Bin Tere. Thama hai jo haath mera ae Sanam, Chodna dena warna, Mar hi jaye ge Hum. Give it a try and I'll bet you'll love it!!!