Chapter 9

328 54 25
                                    

Maham ko ab School jate hafte bahr se zyada ho chuka tha. Woh apne baki classmates ke sath kafi acche se ghul mil si gai thi. Padhai mai acchi hone ki wajah se ab Maham School ki baki teachers ke dil bhi jeet chuki thi. Sab Maham ko kafi pasand karne lage the. Pr kuch ladkiya thi jo Maham se sakt nafrat karti thi.

Woh Maham ko tang karne keliye kabhi uske shoes tu kabhi uski kitabai chupa diya karti thi. Kabhi Maham ko apni kitabo ke panne phate milte tu kabhi uski seat gudi howi milti. Seat pr gandigi pehla kr aisa zahir karti jaise unku is bare mai kuch khabar hi naho. 

Maham is wajah se kafi pareshaan aur udaas si rehne lagi thi. Maham ko nahi samjh arahi thi ki uski galti kya hai jo usku is kadr tang kiya jaraha hai. Pr Maham kabhi bhi apni pareshani Apne chehre pr zahir nahi hone deti. Woh nahi chati thi ki uski wajah se Aunty, Uncle ya uske dostu ko uski fikr satai.

Maham khamoshi se dinner kar upar apne kamre mai jaarahi thi ke tabhi Ali uske raste mai akhara hota hai. "Mujhe tum kuch pareshan si lagrahi ho. Koi baat hai jo tumko pareshan kar rahi hai? Tum mujhe bata sakti ho." Ali uski fikr karte howe ye sawal karta hai. Jise sun Maham ko buhut hairat hoti hai.

"Tumhari tabiyat tu thik hai na. Aaj the so great Ali meri fikr kar rahe hai, hmm ab tu mujhe tumhari fikr ho rahi hai. Tum Ali hi hona Ayaan tu nahi?" Maham usse mazakiya andaaz se kehti hai jiski wajah se ab Ali chirchira sa jata hai.

"Bhalai ka zamana hi nahi raha ab tu. Yaha koi fikr kr raha hai aur inko mazak sojh raha hai." Ali sar hilate howe kehta hai. Maham yeh sun kr dil hi dil mai buhut khush hoti hai ki Ali ko uski chintz hai Ali bhi uski fikr karta hai pr woh yeh khushi apne chehre pr zahir nahi hone deti.

Woh muskura kr Ali se phir kehti hai. "Aap se kisne kaha ki aap meri fikr kare. Fikr karni hi hai tu kal ke test ke bare mai kare jo aap ke chehre se zahir hai ki aap us test ke bare mai bhul hi chuke hai." Yeh sun kr Ali ki ankhe hairat se bari ho jati hai aur rang safed. Zahir tha kal ke test ke bare mai Ali bhul chuka tha. Aur kal ka test kafi ahem tha. Pr Ali isse pehle kuch keh sakta Ayaan jo peche khara sari baat sun chuka tha kas ke hasne lagta hai.

"Ohoo~ yeh kya mai sun raha ho. Maha ke fikr mai bhai itna ahem test hi bhul gai!" Ayaan haste howe tuhra kas ke kehta hai aur Maham bhi hasne lagti hai Ayaan ke sath. Hasi ki awaaz sun kr Aunty Fariha bhi ajati hai aur puri baat sun kr woh bhi hasne lagti hai. Ab Ali sharam se pani pani ho chuka tha. Woh apne kamre mai ja kr padhai karna hi us waqt behtar samjhta hai.

Dusre din Test tu accha jata hai pr Maham ko phir wahi sab jehl na padhta hai school mai. Games period mai ladkiya alag aur ladke alag ground mai khel rahe the.

Jab sari ladkiya ground mai paas- ball khel rahi thi tu woh kuch ladkiya jan buch kr Maham ki taraf tez ball pehk kr Maham ko zakhmi karna chati thi. Pr Maham jo paas-ball mai mahir thi unke sare tez attacks araam se handle kar rahi thi. Yeh dekh baki students Maham se impress ho jate hai. Aur woh ladkiya jal bhun si jati hai.

Period over hone ke baad jab sari ladkiya wapis class ko laut rahi thi tu woh kuch ladkiya Jan buch kr Apna pair agae kr deti hai jiski wajah se Maham muh ke bal gir jati hai.

Maham jab uthne ki koshish krti hai tu unmai se ek ladki apna haath Maham ki taraf barati hai Maham jab uska haath pakadh kr uthne lagti hai tu woh Maham ka haath chor deti hai aur Maham phir gir jati hai. Yeh dekh baki khari ladkiya uska mazak banati hai aur hasne lagti hai.

Maham phir khari hoti hai aur apni dress jharti hai jis pr ab milti lag chuki ti. Maham ko ek tez dard ka ehsas hota hai. Woh jab dekhti hai tu dard uske pair pr lagi chot se uth raha tha. Aur us chot maise khoon bhi nikal raha tha.

Maham apne chot saaf karne ke liye washroom chali jati hai aur woh kuch ladkiya bhi uske peche washroom pohach jati hai.

Idhar jab Ali ko pata chalta hai ki Maham ko chot lag gai hai aur chot Jan buch kar lagayi gai hai. Tu Ali ko buhut gussa ata hai aur woh class se bahar chala jata hai najane kaha.

Maham pani ki madad se apni chot aur apne gande kapdhe saaf kar rahi thi ki tabhi uske muh pr koi pani dalta hai. Maham samne dekhti hai tu wahi ladkiya uske samne khari usku dekh muskura rahi thi.

"Huh! Tum apne aapko ko samjhti kya ho. Sirf padhai mai acchi ho tu tum yeh samjhne lagi ke tum kisi ko bhi apni ungliyu pr nacha sakti ho!" Samne khari teen ladkiyu maise ek ladki tanziya lehze mai Maham se kehti hai. "Tumhara kehne ka kya matlab hai?" Maham ne unse sawal kiya tu teeno has padhi.

"Humara kehna ka kya matlab hai!? Dekho kitni bhuli ban rahi hai. Tum acchi tarah se janti ho ki kya matlab hai!" Dusri ladki ab gusse mai yeh kehti hai. Unki Ankho mai saaf tha ki kitni zyada woh Maham se jalti aur nafrat karti thi.

"Saaf Saaf batao! Tum yeh sab kyu kar rahi ho aur kya mile ga tum ko yeh sab karte howe. Mujhe acchi tarah se pata hai ki tum hi log thi jinhone meri kitabai aur shoes chupai. Aur tumhi logo ne meri kitabai phadhi aur meri seat gandi karne ke peche bhi tum hi log ka haath tha! Kyu kr rahi ho tum log yeh sab!?" Maham ne ab gusse mai unse sawal kiya jisko sun teeno kas ke hasne lagi.

"Kyu, huh!? Tum janna chati ho tu phir suno. Tum jo is school mai nai ho, jo jhot mut khojane ka bahana kr ke Isa ko apna dost bana leti hai. Isa jisse har ladki dosti karna chati hai woh tumhe class tak chorne ata hai aur phir tumhari taraf se teacher ko safai deta hai. Class ke do sabse acchi aur ameer ladkiya pehle din hi tumhari behad acchi dost ban jati hai aur phir ab Jab hum log tumhare sath chota muta mazak kar rahe the tu Ali hum logo ko aakar dhamki deta hai. Yeh keh kr ki hum log tumko tang krna chor de warna Ali se bura koi nahi hoga. Woh Ali jo Zoya aur Ayisha ke alawa school mai kisi ladki se baat bhi karna pasand nahi karta woh tumhare liye hum logo ko aakar dhamki deta hai aur tum jo yaha masum ladki ka drama kr sab ke samne hum logo ko bura bana kr humhi logo se sawal kr rahi ho ki kyu!? Kya mazak hai yeh!"

Teeno mai se jo tesri wali ladki thi, ab woh gusse mai aakar, tanziya lehze mai sari baat Maham ke samne khol kr rakh deti hai.  Maham yeh sab sun kr hairan thi.

Tu yeh log jo kuch bhi kar rahi thi iske peche yeh wajah thi. Jalan mai aakar inloge ne jo kadm uthai aur kaam kiya woh galat the. Aur Maham ko yeh sab sun kr ab behad gussa ata hai aur apsus bhi buhut hota hai. Maham ab apne liye khari hoti hai aur unka samna himmat se karti hai.

Maham gusse aur apsus ke sath kehti hai, "Mujhe Apsus howa yeh sun kr ki tum log itne acche school mai padhne ke bawajud jahil ki jahil hi rahi. Mujhe umeed bhi nahi thi ki yeh wajah suno gi tumhari unharkatu ke peche. Mai agar padhai mai acchi ho tu iske peche meri mehnat hai. Aur rahi baat dostu ki. Tum Apni ankhe kholo aur dekhe tumhare kitne sare dost hai jo tumhe pasand karte hai aur yeh dekhte bhi nahi ki tum acchi ho padhai mai ya nahi. Tumhe aise logo ki kadr karni chahiye aur dusre ki khushi dekh jalna nahi chahiye. Kyu ki yeh jalan ek na ek din tumko hi ko jala degi aur tum sab kuch kho dogi!" Woh teeno ladkiya ab khamosh khari thi.

Yeh sab sach tha. Unhone kabhi us baat pr gaur hi nahi kiya ke kitne log hai jo unko betahasha pasand karte hai aur unki harkatu pr uff bhi na karte hai. Kahi na kahi unko ehsas hogi gaya tha ki woh jo kar rahi thi woh galat tha. Pr isse pehle woh log kuch kehti peche se ayi awaaz unko rukh deti hai.

"Buhut khob! Sahi kaha tumne Maham! Mujhe tumpe gurv hai ki tum khamosh nahi rahi. Aapne saath hone wali zeyaati pr tum khari howi!" Teacher andar ate howe Maham ki taraf dekh usse gurv se kehti hai. Teacher ke sath Zoya aur Ayisha bhi thi. Jo furun Maham ki taraf chali jati hai aur usse pochti hai ki thik tu ho tum aur yeh chot kaise lagi?

"Aur tum log! Mujhe tum logo se yeh umeed nahi thi! Khaas kr ke Alina tumse! Tum tu meri sab se acchi students mai se ek thi! tab bhi tumne yeh kaam kiya! Abhi isi waqt principal office chalo! Teacher ab woh teen khari ladkiyo se gusse se kehti hai. Pr Unko office lejane se pehle hi Maham teacher ko rukh deti hai.

Maham unse kehti hai, "Is baar inko maaf  kar dijiye. Agar in logo ne koi aisa kaam dubara kiya tu ab lejaye ga pr abhi yeh baat yahi khatm kr dijeye tu behtar hai. Yeh baat sirf hum hi logo ke beech rahni chahiye class mai bhi iske bare mai koi zikr nahi ho tu accha hai."

Yeh baat teacher sun kr gurv se muskurati hai aur Maham ki baat man leti hai aur phir Un teeno ki taraf is tarah se dekhti hai ki mano keh rahi ho 'dekho tumne iske sath kya kiya aur isne tumhare sath'. Woh teeno ladkiya apna sar sharam se jhokai khamosh khari rehti hai. 

Bahar dewaar pr take lagae khara Ali jo shuru se sari baat sun raha tha woh muskurata hai aur kehta hai, "Lagta hai mera yaha koi kaam nahi." Aur jabe mai haath dal wapis class ko lout jata hai. 

*************
*************

   

Bin Tereजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें