Class mai buhut halchal machi howi thi pechle kuch din se, pr jab bhi Maham class mai hoti ya class ke andar kadm rakhti Sara shor aur halchal tham sa jata. Sab jo kuch der pehle na Jane koun si bato mai magan the achanak se khamosh hojate Maham ko dekh kr.
Maham is baat se buhut pareshaan thi. Alina wale kisse ko bitae kuch din hogai the pr ab yeh kya naya shuru ho gaya hai. Jismai pura class hi shamil hai. Maham janna chati thi pr jab bhi woh is bare mai koi zikr krti sab waha se chale jate ya tu koi aur baat chair dete.
Maham ne bhi ab soch liya tha ki woh jaan kr rahe gi ki class mai chal kya raha hai. Lunch period mai jab sab launch kar rahe the tu Aisha aur zoya Maham ke pass ati hai Maham ki bulane ki wajah se.
"Hmm...batao Mahan kya baat hai? Tum kuch pareshaan lag rahi ho?" Aisha Maham ki fikr karte usse pochti hai. "Pareshaan tu mai ho. Aaj kal ke is ajeeb class ke rawaiye pr. Maine kuch galat kiya hai ya mujhse koi bhul hogai hai jo sab mere sath is tarah ka bartaw kiya jaraha hai?" Maham udas ho kr yeh sari batae kehti hai.
Aisha yeh sun kr Maham se pochti hai, "koun tum ko pareshaan kr raha hai aur tumne koi aisa kaam nahi kiya jis ke liye tum fikr mand ho!"
"Mujhe koun nahi pareshaan kr raha. Class mai sabhi kisi baat ko lekr aapas mai guftugo kar rahe hai pr jab bhi mai class mai hoti ya class ke andar kadm bhi rakhti tu sab khamosh se hojate. Aur tum dono bhi kuch na kuch mujhse chupa rahi ho!" Maham ab puri baat khul kr bayan krti hai aur uski awaaz mai tuhri shikwa bhi hoti hai. Aisha yeh sun kr mano ghabra si gai ho. Pr isse pehle Aisha kuch kehti Zoya bol parti hai.
"Are yeh ring kitni khubsurat hai!! Kya yeh diamond ring hai!? Aur yeh tum is taraf haath mai kyoun pehni ho. Yaha pr tu Engagement ring pehni jati hai. Ek minute kahi aisa tu nahi ki tumhari..." Zoya Maham ki ring ko dekh ek dum se buhut zyada Rumanch mai ajati hai aur usko masti sujne lagti hai. Usko janne ki dil chaspi bhi thi. Aur woh yeh sari batae tuhri uchi awaaz mai kehti hai.
Tuhri dur baithe Ali jis ka Sara dihaan un dosto ki bato pr tha, Engagement wali baat sun kr khana uske halak mai pas jata hai aur woh khaasna shuru kar deta hai. Yeh dekh Aisha kehti hai, " Waise ek baat tu kuch atpati si hai. Maine zyada tar yeh dekha hai ki jo launch Ali lata hai woh Maham bhi lati hai. Ek din aisa ho tu man liya jai ki etifaak ho sakta hai pr har din!?"
Yeh sun kr pura class ab Ali aur Maham ko hi dekh raha tha. Maham jis ke chehre pr halki sibhi shikan na thi woh apna haath ucha kr ti hai jis mai woh ring pehni howi thi aur kehti hai, "Sahi keh rahi ho tum dono. Yeh Engagement ring hai. Meri Engagement tuhre waqt pehle hi howi hai."
Yeh sun kr pure class mai sab ki ankhe hairat se bari ho jati hai aur sab ke muh khule ke khule hi reh jate hai. Aur Ali uska tu yeh haal tha ki mano usku koi saap sung gaya ho. Rang Sara udh gaya tha aur uske dimaag ne kaam hi karna band kar diya tha. Woh nahi janta tha ki ab woh agai kya safai mai kahe aur kya kare. Pr Tabhi Maham hasne lagti hai. Aur haste haste kehti hai,
"Mujhe nahi malum tha ki tum sab hi log itni jaldi baiwakuf ban jaoge. Aur rahi baat meri Engagement ki tu tum log yeh kaise soch bhi sakte ho ki sach ho sakti hai. Abhi meri umar hi kya hai jo mai yeh sab karo." Maham yeh baat kehti phir hasne lagti hai. Aur iske baat sabhi log Maham ke saath hasne lagte hai.
Chutti ke baad jab Maham car mai ja kr baith ti hai tu Ali gusse se kehta hai, "Tumhe kya zarurat thi ki tum school mai ring pehan kr aao. Agar aaj baat nahi sambhal ti tu kya hota!?"
"Yeh ring mujhe buhut pyari hai aur mai nahi utaru gi! Aap ko kis baat ka gussa hai? Kisi ne yeh tu nahi kaha tha ki hamari Engagement ring hai yeh. Aur aap tu ring bhi nahi pehan te hai tu shak kisi ko kyu hoga aap pr. Mujhe tu yeh bhi nahi pata aap ke paas ring sahi salamat hai bhi ya gum kr di aapne!" Maham Ali se utne hi gusse mai aur Shikayati andaaz se sari baat kehti hai jisse sun Ali tuhra khamosh sa ho jata hai.

आप पढ़ रहे हैं
Bin Tere
Teen FictionYeh Kahani hai Pyaar ki, Jo Adhuri hai Bin Tere. Thama hai jo haath mera ae Sanam, Chodna dena warna, Mar hi jaye ge Hum. Give it a try and I'll bet you'll love it!!!