Chapter 14

382 41 35
                                    

Summer vacations shuru howe kuch din beet gai the. Ali zyada tar ghar se bahar Football practice mai busy rehta aur shaam ko ghar wapis lot ta. Ayaan bhi ghar pr kam hi dikhta tha aur Maham apna waqt Fariha Aunty ke saath bitati ya Kitabe padhti milti.

Maham apne kamre mai baithi kitab padhte padhte uub si gai thi. Kitab ko Bandh kr ke Maham apne kamre se bhar nikalti hai aur Fariha Aunty ke paas jati hai. Fariha Aunty ko itna tayaar dekh kr Maham kehti hai, "Masha Allah!! Aap tu buhut acchi lag rahi hai! Kahi ja rahi hai aap?"

Fariha Aunty muskurati hai aur kehti hai, "Shukriya meri jaan. Haa beta Maine socha kyu na mai aapni saheli wa chali jao. Waise tum kuch khao gi?" "Nahi, bas tuhri dair pehle hi tu nashta kiya hai. Mai kuch nahi khao gi. Aap jaiye." Maham kehti hai.

"Nahi beta mujhe accha nahi lagraha hai tumhe is tarah akele chor kr jana. Tum kyu na mere  saath hi chalo!" Fariha Aunty fikr aur pyaar ke saath Maham se kehti hai pr Maham unko mana karde ti hai yeh keh kr ki woh jaye aur maze kare.

"Accha thik hai beta, apna dihaan rakhna, Mai chalti ho aur mai dupaihar tak wapis aajao gi!" Yeh keh kr Aunty Fariha jane lagti hai pr tabhi Maham ke zehan mai khayaal ata hai aur Maham kehti, "Aunty rukhai!"

***

Shaam ko jab Ali ghar wapis ata hai tu pure ghar mai Maham ko talash krta hai pr Maham usse kahi nazar na ati hai. Ali phir Ayaan ke room mai ja kr Ayaan se Maham ke bare mai pochta hai, jisko sun Ayaan mazakiya andaaz se kehta hai, "Aaj suraj kaha se dhal raha hai jo aap Maham ko talash karte idhar udhar phir rahe hai!?"

Ali yeh baat sun kr chir jata hai aur waha se chala jata hai aur Ayaan khub hasta hai. Phir Ali apni Ammi ke paas jata hai jo Apne kamre mai baithi chashma lagai kitab padh rahi thi. "Ammi, aapko pata hai Maham kaha hai? Kahi nazar nahi aarahi."

Fariha Aunty Ali ko is tarah Maham ke bare mai fikr se pochta dekh muskura deti hai aur kehti hai, "Maham ghar pr hai." "Pr Ammi woh ghar pr nahi hai! Maine Sab jagah dekh liya!" Ali kehta hai kuch jald bazi mai.

Fariha Aunty apna chashma utarti hai aur kitab ke saath side pr maujud table pr rakhte howe kehti hai, "Maham 'Apne' ghar pr hai." "Apne!? Pr waha usko kya kaam aur woh waha kyu gayi hai!?"

Ali kehta hai jisko sun uski Ammi muskura deti hai aur kehti hai. "Ab tum sara din, bahar football khelte rahoge aur dostu ke saath tafri bazi karoge, tu woh tu tumse tang ajai gi na. Yeh nahi ke tum usko kahi ghumne le jao ya uske saath waqt bitao, usko jano-"

"Accha thik hai Ammi ab bas bhi kare! Mai upar ja raha ho, Fatima baji ke haath ek cup chai bhij wa dijiye ga!" Ali apni ammi ke lecture ko cut te howe kehta hai aur keh kr upar chala jata hai. Aur idhar uski Ammi sar hilate howe kehti hai, "Iska kuch nahi ho sakta." Aur phir kitab padhna shuru kar deti hai.

Upar Bed pr leta Ali idhar udhar karwate badlata pr chain na hasil hota. Ali apna phone check krta hai aur call krne ko sochta hai tabhi usko yaad ata hai ki Maham ke paas cellphone hi nahi. "Tch!" Karke phone bed pr pehk deta hai. Phir najane woh kya sochta hai aur bed se turant uth kar kamre se bahar nikal jata hai.

Tezzi se zeene utar kr bahar janne ko darwaza khol ta hai tu Uski Ammi ki awaaz ati hai, "Ali kaha!?" "Mai bas bahar ja raha ho! Tuhri dair mai ata ho!" Ali yeh keh kr bahar chala jata hai aur car start kr najane kaha chala jata hai. 

***

Maham apne ghar mai jab dhakil hoti hai, tu jaise sari yaade uske ankho ke samne ajati hai. "Assalam-u-Alaikum mai ghar agayi!" Maham uchi awaaz mai kuch gam ke saath kehti hai.

Usko pata tha ki uska jawab dena wala ya uski awaaz sunte hi bari si muskurahat saja kr uska Welcome karne wala ab koi na tha.

Maham aapni shoes wahi utar kr Andar ati hai. Ghar saaf pada tha jaisa woh chor kr gai thi, pr ghar mai dhol na mitti dekh woh jan gai thi ki Uncle, Aunty har hafte kaam wali ko bhej uske ghar ko safa karwa diya karte hai. Yeh dekh usku khushi hoti hai.

Bin Tereजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें