Chapter 13

373 41 32
                                    

Isa ground mai football kafi gusse mai khail raha tha aur is wajah se baki players ko kafi pareshaani paish arahi thi.

"Pata nahi aaj Isa ko kya hogaya hai. Bila wajah hum sab ki class le raha hai aur gussa raha hai." Un players maise ek kehta hai dusre se aur tuhra dheri awaaz mai.

Dusra player bhi haa mi bharte howe kehta hai, "Ha, pata nahi kya hogaya hai. Waise Isa aisa hai nahi. Woh baki players mai sabse accha khelta bhi hai aur sab ko sath le kar chalta hai. Subha tak tu Isa ka mood kafi accha tha, pata nahi aisa kya howa ki iska mood off hogaya."

Apas mai yu players ko baat karte dekh Isa ko aur gussa ajata hai. Isa unke paas jata hai pr uske kuch kehne se pehle woh unke apas mai chalti baat ko sun leta hai aur waha se chala jata hai.

Isa football ko kick karte, bitae howe kuch waqt pehle ki baat yaad karta hai.

Aaj mai buhut khush ho! Mujhe finally select kar liya gaya hai School ke top players mai. Aur yeh baat mai sabse pehle Maham se share karna chata ho...Phir Maham.

Maham ka naam uske zehan mai atai hi Isa ke hoto pr muskurahat ajati hai. Aur woh sar hilate howe sochta hai.

Mujhe pata nahi aaj kal kya hogaya hai jab se mai Maham se mila ho najane kyu us hi ke bare mai har waqt sochta rehta ho.

Isa yeh soch hi raha tha ki tabhi Ali achanak se Isa ke samne ajata hai aur usse takra jata hai. Isse pehle Isa gusse se Ali ko kuch kehta, Isa ki nazar Maham pr par jati hai. Maham thik Ali ke peche hi khari thi aur Ali Maham ka haath thame howe tha.

Yeh dekh najane kuch ajeeb se chubhan hoti hai Isa ke dil mai. Maham Isa ko dekh apna haath churwane ki koshish karti hai pr Ali uska haath thame rehta hai aur Isa ki Ankho mai Ankhe dal usku ghur tha hai.

"Dekh ke chala karo!" Ali kehta hai aur waha se Maham ke sath chala jata hai. Maham ek dafa mur kr Isa ko dekhti hai jo wahi khara najane kin sochu mai gum sa tha.

*******

"Ali! Yeh kya tarika tha!? Isa shayad mujhse kuch kehna chata tha aur tum sirf usku ghure chale jarahe the!" Maham gusse se Ali se kehti hai.

"Oho! Ab kuch zyada hi dosti nahi hogi tum dono mai!?" Ali tanziya andaaz mai Maham se kehta hai. "Ha, dosti buhut hai hum dono mai. School ke pehle din aap mujhe tanha chur chale gai the aur tab Isa hi tha jisne meri madad ki thi!" Maham jawab deti howe kehti hai.

Ali khamosh ho jata hai. Maham ko nahi samajh mai araha tha ki Ali gussa hai ya apni galti pr sharminda. Ya kahi usne kuch zyada hi tu nahi keh diya.

Maham baat phir shuru karti hai aur isbaar mazakiya andaaz mai kehti hai, "Accha yeh bataye Aap ko kya zarurat thi mujhko partner Chunne ki? Ab kisi ko shak nahi hoga kya?" Yeh sun kr Ali muskurata hai aur kehta hai, "Bhale hi tum padhai mai jitni bhi acchi ho tumhara zehan itna sa itna hi rahe ga." Ali aapne haath ke ishare se Maham ke zehan ka size usse batata hai. Jisko dekh Maham jalbala jati hai.

Maham Ali ka haath neche karte howe kehti hai, "Accha ji! Tu mera itna chuta sa zehan hai. Thik hai  phir bataye aap ne kya soch kr mujhe chuna!?" Ali chure ho kr kehta hai, "Agar tumhara koi aur mera koi aur partner hota tu jab summer vacations mai woh hamare ghar aate aur hum dono ko sath dekhte tu raaz khul na jata!"

"Hmm..baat tu sahi hai." Sar hilate howe Maham kehti hai aur phir Ali chure hokar kehta hai, "Tu manti ho na ki mai genius ho!?" Yeh sun kr Maham jhoot mut has kr kehti hai, "Genius aur aap!? Hmm...Shayad."

Bin Tereजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें