TARGET - 75+ ⭐ & 20 COMMENTS. DOUBLE COMMENTS WILL BE COUNTED AS ONE.
BONDITA STOPS HER STEPS AND TURNS AROUND.
BON - jante hain barrister babu aapko ek patni nahi balki ek gulam chaiye tha jo aapke din kahe toh din bole raat bole toh raat. Aapko ek aadarsh patni nahi ek bejuwan insaan chaiye tha jo aapke kisi bhi karya mey aap par sawal na uthaye. Aapko ek tark karne wali patni nahi aapko chupchap aapke aatyachar sehne wali patni chaiye tha. Aapko ek bacchi nahi aapko aapke patni se milne wale sukh jo pura kare wyasi patni chaiye thi. Aapko aapke galat harkat par aawaz uthane wali nahi aapke aatyachar aur julum sehne wali patni chaiye tha.
ANI - Bonditaa.. (with shaky voice)
BON - Aapne mujhe galat k khilaf aawaz uthana sikhaya tha lekin jab meine aapni aawaz uthai toh aapne kya kiya aapne meri aawaz ko dabadiya yeh kehkar ki mein ek aadarsh patni nahi hu aray aapne mujhey patni manahi kab tha jo mein aapke najar mey kabhi aadarsh patni banti. (In loud tone)
ANI - Bondita tum meri
BON - kuch nahi lagti thi mein aapki isliye toh bhare mefil mey mujhe itna zaleel kiya aray meine kya bigada tha aapka. Mere tark karne par hamedha mujhay aapne sarhaya lekin jab aapki aur Manorama ki byasi vihai ki rasam horahi thi tab meine kuch sawal kya kardiya aapne toh mujhe lamba choda tana aur basan mardiya yeh bhi nahi socha ki mujh par kya biti hogi.. (with a tear drop)
ANI - mein tumhara bhala chahta tha..
BON - kyasa bhala barrister babu jo ek bacchi se uski bachpan chinlay, ek masum se uski masumiyat, ek patni se uska pati, ek aaurat se uski pehchan, ek suhagan se uska sindur, ek shishya se uska sikshak, ek bacchi se uska rakshak, ek tark karne wali ladki se uske biristra babu.. (while sobbing)
ANI - Bondita mein tumhe ek khula aasman dena chahta tha
BON - aapne mujhe pata hain kyasa aasman diya hain barrister babu ek yesa aasman jaha se roz logo se bejjat hona, unke tane sunna, unse jaleel hona parta tha ek yesa aasman diya hain aapne mujhe..
TEARS STARTS FLOWING DOWN THEIR EYES.
BON - aapne ekbar kaha tha ki Banerjee babu ne pehli patni ki hote huye dusri vivaah karli isliye woh aab na pehli patni k rahe na dusri patni ki lekin aap barrister babu aap toh sirf mere nahi rahe kyuki aapki hum umeer patni toh aapko bahot pyaar aur samman karti hogi na isliye toh uss din mujhe tod k xoddiya tha (with a fake smile)
ANI - Bondita yesa nahi hain
BON - agar mujhe yese narak bhari jindagi deni thi toh kyu bachane aaye mujhe Hiramandi bik jane dete mujhe, hojane dete meri nusmais, marjane dete mujhe ussi narak mey (while crying & sobbing)
ANI - Bonditaaa (on the top of his voice)
BON - chillaye maat chillana mujhe bhi aata hain mein woh Bondita nahi hu jo chupchap aapki har aatyachar sehti thi (in loud tone)
TRI - Bondita beta bas karo aab
BON (with fake smile & wiping her tears) - nahi kaka aaj bolne dijey bahot himmat karke bolrahi hu..ussdin byasibihai k rasam par meine aapki patni ko ghadi isliye di thi taki woh uss ghadi par yeh dekhsake ki woh kabtak aapki gulam ban k rehpati aur kabtak aap usse narak jyasi jindagi desakte thye lekin khusnaseeb woh usse mere jyase din dekhne se pehle dugga maa legai aur mein jo jana chahti thi lekin ja nahi pai..
ANI - Bondita please yesa maat bolo
BON (looking into his eyes) - kyu sach kadwa laga aapko aur isse kahi jyada kadwe ghut toh meine piya hain barrister babu aapko toh bas khadwe ghut kah swad kyasa hota hain iska ehsaas dilaya hain. Ek sawal puchungi sach sach jawaf dijeyga barrister babu.
ANIRUDH NODES IN YES.
BON (with wet eyes) - ekbar bhi taras nahi aaya mujhpar woh sab karne se pehle ekbar bhi nahi aaya kya. 3 saal sath thye aap mere fhir bhi ekbar bhi taras nahi aaya mujh par. Mujhe itna taklif dene se pehle, bhare pure samajh k samne aapman karne se pehle, mujh par chillana, daatna, mujhe harbar nicha dikhana yeh sab karne se pehle ek bar ek bar bhi taras nahi aaya mujhpar. Mein toh wohi nanhi bondita thina jo aapke har faisle har kadam par aapke sath khadi thi. Mein wahi bondita thina jiski jimmedari aapne li thi. Mein wahi bondita thina jiska sath aapne aandhere mey bhi nibhane kah wada kiya tha toh kya ekbar bhi woh sab khyal mey nahi aaya mujhpar itna zulum karne se pehle.
ANIRUDH WASNOT ABLE TO UTTER A SINGLE WORD. HE WAS LEFT WITH NO ANSWER.
BONDITA GOES TO HER ROOM AND LOCKS HERSELF. ANIRUDH GOES TO HIS STUDY.
ANI - mein toh bondita kah bhala chahta tha na toh uska bhura kyase kiya meine mein toh usse khula aasman dena chahta tha toh kyase usse narak mey dhakel diya...mein toh usse kranti ki misal bana na chahtha tha toh kyase uss misal ko aapne haatoh se bujadiya. Mein toh usse majboot bana na chahta tha toh kyase toddiya meine ussay..
BON - jo baat meine 4 saal se dabake rakha tha aakhir woh baat aaj meine kehdiya sabkuch kehdiya jo mein inn 4 saaalo mey keh nahi pai. Jo dard aapne mujhe diya hain na barrister babu woh kabhi nahi bharega aur mein bharne bhi nahi dungi. Aapka har ek dard aur har ek ehsaan bahot aache se chukayegi bondita.
WHAT WILL THE FATE BRING FOR THESE TWO?? HAPPINESS OR THE PAIN FOR ETERNAL LIVES??
STAY TUNED🦋
YOU ARE READING
MY PAIN CANNOT BE HEALED
FanfictionSo this is the story of Anidita. It begins from the day when Anirudh married Manorama so that he can bring bondita on right path. Bondita was hurted and dead inside. Bondita was brutally tortured not physically but mentally leading her to panic atta...