(CH-23) CONFESSION

1.4K 119 14
                                    

ANIRUDH ARRANGES EVERYTHING PERFECTLY. THE 8 HANDIS OF ROSOGULLA AND KULFI AND SO ON. HE WAS WILLING TO MAKE BONDITA FEEL THE SAME WAY SHE USED TO FEEL 13 YEARS AGO.

BONDITA UNWILLINGLY GAVE A CHANCE TO ANIRUDH TO LET HIM SPEAK HIS SIDE. AS BARRISTER ALWAYS LISTENS TO BOTH SIDE. BONDITA WAS SEARCHING FOR A BOOK IN STUDY WHEN SHE FINDS A DIARY. THE WORDS WRITTENS JUST STABED HER HEART AGAIN INTO MILLION PIECES.

BONDITA TAKES THE DIARY AND GOES TO TERRACE WHERE ANIRUDH HAD ARRANGED EVERYTHING.

BON - kya kar rahe hain barrister babu

ANI - Bondita kuch nahi yeh dekho yeh sab tumhare liye kiya hain maine

BON (mockingly) - ohh lekin ek jimmedari k liye yeh sab karne ki kya jarurat thi

ANI (holding her by shoulder) - Bondita tum meri jimmedari nahi meri jeene ki wajha ho. 13 sal pehle maine tumhe tumhare liye khud se durr kiya tha lekin iss doran mey samajh paya ki tum sirf meri jimmedari nahi jeene ki wajha ho Bondita. Hamara pati patni kah nahi balki usse bhi baad k maan kah rishta hain. Meine tumhare sath jo kiya wih bahot bahot bahot galat tha bondita lekin mein tumhara bhala chahta tha mein chahta tha ki tum udo khula aasman mey tum todo har woh zangir jo iss samajh ne ek ladki bar lagai hain tum ek misal bano jo har ek ladki tum jyasi banna chahe. Tum meri jeene ki wajha ho bondita meri kranti ki aag. Tumhe khudse dur karke mein hardin khud se lada hu bondita tumhare dur jane k baad tumhari yehmiyat samajh aai bondita. Mein janta hu meine jo kiya woh bahot galat tha hosake toh mujhe maaf kardena bondita. Pati Patni na sahi kya hum dost nahi bansakte bondita.

BON (removing his hand) - Prem Prem Sab Kah, Prem Na Bujhe Koi
Aathon Pahar Biga Rahe, Prem Kahave Soyi aap mujhe iska matlab samjhayenge barrister babu said bondita looking into his eyes

ANIRUDH WAS NUMB

BON (sighs) - aapne kaha tha na ki kisi k sath jindagi bhar reh k bhi pyaar nahi hota aur kisi ko Pehli nazar mey ek pal ka prem zindagi bhar kah ehsaas de jaati hain aur woh aapko milgai thi aur woh thi Manorama. Jo aapki prerna bhi thi aur mein bas ek zimmedari bas ek zimmedari. Mein hamesa khud ko kosti rahi ki aap mujhe nahi aapna paye kyuki mujh mey kami thi lekin mujhe kya pata tha ki kami mere pyaar mey nahi kami mein jisse pyaar karti hu usmey hain...

BONDITA THROWS THE HANDIS OF ROSOGULLA.

ANIRUDH WAS NOT FINDING ANY WORDS THAT COULD DEFINE HIM.

BON (yells angrily) - aapko yeh sab karne ki koi jarurat nahi hain Barrister babu kyuki mein aap par ek bojh hu ek jimmedari hu. Aur aapko iss jimmedari se mukt karchuki hu mein aab yeh sab karke kya jatana chahte hain aap ki aap mahan hain aapko meri fikar hain. Aray jaiye Anirudh babu maaf kardiya meine apko har ek uss apman aur tiraskar k liye. Maaf kiya meine aapko mera dil mera bharosa mera gurur todne k liye, maaf kiya meine aapko mere hote hui choti patni lekar aake mujhe nicha dikhane k liye, maaf kiya aapko mujhpar uthaye hui har ek sawal aur aapman kah jo mujhe aapki aur Manorama ki pyaar ki wajha se mila. Lekin aap mujhe maaf kardijeyga ki meine jabarjasti aapne aapko aap par thopna chaha, jabarjasti aapko mujhse pyaar ho yeh chaha.

ANI - Bondita..mein manta hu ki mein Manorama se pyaar karta tha..

BONDITA CLOSES HER EYES AND A TEAR DROP FALLS.

ANI - lekin bondita tum meri rooh ho meri jine ki wajha

BONDITA JUST LET A LAUGH OUT

BON - Mein aapki rooh hu. Manorama aapki Prerna aur Saudamini kon aapki jaan??

ANIRUDH - Saudamini mere liye sirf ek dost thi uske prati mujhe sirf ek lagav tha kyuki woh akeli meri ek mahila dost thi.

BON (sternly) - lekin Manorama Manorama se toh aap pyaar karte thyena..

ANI - haa karta tha mein Manorama se pyaar lekin Bondita tumhari jo jagha hain woh Manorama kabhi nahi lesakti

BON - bas kariye aur kitna jhut bolenge aap aap thakte nahi na jhut bolte huye. Konsi jagha jo Manorama nahi lesakti aapki jindagi mey Bondita sirf ek bojh ek jimmedari thi, hain aur rahegi. Meine toh hamesa se aapke nakh par dum aur pidh pe dard karwa k rakha tha na.

BONDITA REMEMBERS HOW ANIRUDH TOLD THIS TO MANORANA ON THEIR WEDDING NIGHT

ANI (rubbing his forehead) - Bondita woh sab meine isliye kiya kyuki meine tumhe bed k niche dekha tha

BON (lets a bitter laugh) - mere samne aap itna sab kehte thye Manorama se toh na jane akele mey kya kya kehte thye

ANI - Bondita yesa nahi hain aur mein nahi chahtha tha ki tum aapne laksh se batko mein tumhe barrister bana na chahta tha lekin

BON (in loud tone) - lekin kya jis Anirudh Roy Chaudhary ne mujhe har ek muskil sawal kah jawaf diya usse meri kuch sawalo kah jawaf nahi mila. Jawaf nahi tha koi baat nahi lekin ekbar bhi thande dimag se beth k samjhaya aapne mujhe nahi samjhaya kyuki aap pyaar karte thye Manorama se aur aap usse pana chahte thye Barrister babu aur yehi sach hain.

ANI - Mein manta hu meine Manorama se shaadi aapne aakarsan jo uske taraf tha uski wajha se kiya. Mein nahi chahta tha ki Manorama mujhse durr ho lekin Bondita shotti meine kabhi yeh nahi chaha ki tum mujhse durr ho. Haa mein Manorama ko kisi aur k sath nahi dekh sakta tha. Ha mein Manorama k karib kisi ko jate huye nahi dekh saka lekin Bondita tum mujhe dur ho yeh kabhi bardas nahi karsakta mein. Haa Manorama se mein pyaar karta tha lekin mere dil mey usse jyada tumhare liye jagha hain. Haa meine tumhara aapman kiya kyuki mein usse yaken dilana chahta tha ki hamare bich kuch nahi hain. Haa mein usse pane k chah mein itna aandha hogaya ki meine tumhare dukh tumhare dard ko najar aandaz karidya. Haa meine usse pane k liye tumhe itna takleef diya jo kabhi nahi bharsakta. Lekin Bondita yeh bhi sach hain ki mein kabhi nahi chahta tha ki tum mujhse dur hojao. Mein bas tumhe ek

BON (cutting his words) - aap mujhe barrister bana na chahte thye bangai mein barrister, aap mujhe ek misal bana na chahte thye bangai mein ek misal, aap mujhe aatmanirbhar bana na chahte thye lo bangai mein aatmanirbhar, aap mujhe ek khula aasman dena chahte thye diya aapne mujhe ek yesa khula aasman jaha mujhe roz  ek banjh, pati ki chodi hui aaurat, pati ko sukh na dene wali aaurat, charitrahin aur najane kya kya sunna parta hain ek yesa aasman aapne mujhe diya hain Barrister Anirudh Roy Chaudhary.

ANI - Mein manta hu meine Manorama se shaadi karke galat kiya hain tumhare sath lekin Bondita mein na Manorama ko khona chahta tha na tumhe aapme lakshya se bhatakte huye. Meine aapne pyaar aur aakarsan k chalte tumhe bahot dukh diya hain Bondita. I am sorry Bondita. Mein manta hu ki mein usse chahne laga tha isliye bhi meine Maa ko manaya dusri shaadi k liye lekin Bondita mujhe jitni khushi aur sukun tumharr sath milta tha utna kabhi Manorama k sath nahi mila. Bondita mein Manora...

THUD THUD THUD....

SOCHO SOCHO KYA HUWA HOGA KISNE MARDIYA ITNI BAR.

MY PAIN CANNOT BE HEALEDWhere stories live. Discover now