NEXT DAY BONDITA GOT READY AND WAS GOING TO SCHOOL WITH BATUK. THE FEW WOMENS TAUNTED HER BADLY.
WOMEN 1 - aray dekho toh kyase aab bhi vidyalaye jarahi hain
WOMEN 2 - haa agar inki jagha koi aur hoti toh kahi muh chupaye beth rahi hoti
WOMEN 1 - haa lekin yeh dekho kyase shaan se aab bhi jarahi hain
WOMEN 2 - ha yesahi rawaiye ki wajha se chote malik ne dusri patni lekar aaye honge
WOMEN 3 - kyu yesa keh rahe ho bacch hain aur hamari choti malkin
WOMEN 1 - aray jiske pati ne ek saal mey dusri patni lekar aai ho usse kya samman de
WOMEN 4 - jarur koi kami hogi warna chote malik yesa kyu karte
WOMEN 3 - bas bhi karo bacchi hain
BON - nahi hain mujh mey koi kami aur mein kyu aapna muh chupau meine koi paap ya chori nahi ki hain galti barrister babu ki hain ki unhone ek patni k hote huye dusri patni lai galti unhone ki toh mein aapne muh kyu chupau. Aap ek aaurat ho kar dusri aaurat ko yeh sab kyase keh sakte hain. (In the top of her voice)
WOMEN 1 - aray dekho toh kyase baat kar rahi hain aab bhi
BATUK (BAT) - aaplog ki himmat kyase hui meri boudi se yesay baat karne ki bhuliye maat Roy Chaudhary ki badi bahu hain meri boudi kaka se kehkar sabke kaam band karwadunga (threatning them)
BON - rehne doh batuk yesa karna thik nahi hoga aur kehne wale kehte rahenge chalo dher horahi hain (with moist eyes)
BAT - boudi aaj nahi jate ghar chalo
BON - nahi batuk ghar par bhi yehi sunayenge barrister babu isse accha school chalo
BAT - thik hain boudi
BONTUK REACHES SCHOOL. BUT BOYS START TEASING HER.
BOY 1 - aray suna hain tumhare pati ne dusri vivaah karli kya huwa
BOY 2 - aray ladki padhegi toh pati toh dusra vivaah karega na (laughs)
BOY 3 - haa aur wyase bhi yeh itni choti woh itne bade vivaah toh karenge naa (pulls her hair)
BON - tumhari himmat kyase hui meri baal kichne ki
BOY 1 - yese (pulls her hair)
BAT - xodo meri boudi ko
BOY 1 - yeh haat (pushes batuk)
BON - tumhari himmat kyase hui batuk ko dhakke marne ki
BOY 1 - yeh ladki (holds her hand)
BONDITA's ANGER REACHES ON PEAK. BONDITA PUSHES THE BOY WITH FULL FORCE AND HE FALLS ON EDGE OF DESK.
PRINCIPAL - kya horah hain yaha
BOY 2 - sir yeh Bondita ne Atharva ko dhakka diya
BOY 1 - haa sir dekhiye (showing his wounds)
PRINCIPAL - Bondita yeh sab kya hain
BON - pehle inhone mujhe aur Batuk ko chidaya
BOY 1 - nahi sir yeh jhut bolrahi hain
BON - nahi sir
PRINCIPAL - mein aabi Anirudh ko bulata hu
PRINCIPAL CALLS ANIRUDH AND HE REACHES SCHOOL
ANI - Sir kya huwa aapne itna urgent kyu bulaya
PRINCIPAL - yeh dekho Bondita ne ek ladke kah sar foddiya
ANI - kya Bondita ne nahi sir woh yesa nahi karsakti
PRINCIPAL - sab student ne confirm kiya hain
ANI - Bondita yeh tumne kiya
BAT - dada pehle
ANI (cutting him) - mein Bondita se baat kar rah huna
BON - pehle inhone mujhe
ANI - haa ya naa Bondita
BONDITA NODES IN YES.
ANI - tum school padhne aati ho ya marpit karne (shouting at her)
BAT - lekin dada
ANI - tum chup raho batuk tumhe bondita ko rokna tha na aur tum bhi isle saath marpit karne lag gaye. Jungli hogai ho Bondita kabhi kuch kabhi kuch karte rehte ho paresan kardiya hain tumne mujhe (looking at her)
BAT - lekin dada boudi ki baat
BON (cutting him) - rehne doh batuk
PRINCIPAL - Anirudh its my warning Bondita ko acche se samjhadoh warna Bondita ko suspend karna hoga humey
ANI - ji sir mein samjhadunga
PRINCIPAL - aabi tum lekar jasakte ho inhe
ANI - jii sir
ANIRUDH TAKES BONTUK GOME.
TRI - aray aaj itni jaldi kyase aagaye tum log
ANI - puchiye aapni bahu se aaj school mein ek ladke kah sar foddiya
TRI - kyaa bahu tumne
BONDITA COULD NOT HOLD LONGER. SHE CLIMED ON SOFA AND MAKES ANIRUDH TURNS TOWARDS HER
BON - aap khud ko samajhte kya hain barrister babu
TRI - bahu yeh kyase
BON (cutting him) - nahi kakasur ji aaj mujhe bolne dijey.
BON (looking at anirudh) - aapne ek bar bhi mujhse puch ki meine yesa kyu kiya nahi aapne sirf unn ladko ki taraf se baat suni meri baat nahi suni aapne. Aapko mujhpar bharosa nahi tha. Haa pita meine un ladko ko kyuki unhone mujhe chidaya, batuk ko dhakka mara aur (she starts crying loudly)
BAT - aur boudi k sath batameezi ki unhone boudi ki baal kichey aur haat tak pakda isliye boudi ne unhe dhakka mara aur aapne boudi ko sabke samne daata (while crying)
BON - aap bahot badalgaye barrister babu aap bahot badal gaye. Aap mujh par bharosa nahi karte aap mujhse pehle jyasa pyaar nahi karte nahii karte mein paresaani hu aapki (in loud voice)
BONDITA STARTS THROWING EVERYTHING. TRILOCHAN LOOKS AT ANIRUDH IN DISGUST AND HOLDS BONDITA.
TRI - bahu bahu ruko lag jayegi aapne kaka sasur ji ki baat nahi sunogi idhar aao
BON - barrister babu ne sabke samne mujhe firse daata unhone meri baat nahi suni (while sobbing)
TRI - koyli pani lekar aao
SAMPURNA (SAMP) - bondita idhar aah tune jo kiya thik tha lekin yese kisi kah sar fodna accha nahi hain na (hugging her)
IN MY FF SAMPURNA IS NICE.
ANI - Bondita mujhe maaf (holding her hand)
SAMP (cutting him) - bas Anirudh bas aur kitna dil todoge meri behen ki tumne bina uski baat sune usse daat diya agar itne paresaan aagai ho toh xod kyu nahi dete meri behen ko kyu jabarjasti usse riste mey bandhkar usse paresaan kar rahe ho
BON - nahi didi agar barrister babu ne mujhe xoddiya toh mein kaha jaungi aakhir hain kon mera iss duniya mein aanath hogai hu mein sab ne mera saath xoddiya
(runs to her room while crying & sampurna follows her)AANATH HOGAI HU MEIN SAB NE MERA SAATH XODDIYA WAS THE ONLY WORD RUNNING ON ANIRUDH MIND.
TRI - padgaye tere dil ko santi aab toh khush hain. Hamari ful jyase bahu kah kya haal banadiya tune. Hasti khelti bacchi ko rulake accha nahi kiya tune Anirudh. Ek bar uss bichari bacchi ki baat toh sunleta
MANO - haa Anirudh tumne Bondita k sath bahot galat kiya aaj
TRI - toh tumne konsa sahi kiya hain uske pati ko chinkar (taunting Mano)
ANI - mujhe nahi pata tha ki yeh sab
BAT - jab batarahe thye tab sunlete na aab pachtak kya faida. Aap bahot badalgaye dada (leaves with Trilochan)
MANO - Tumse yeh ummed nahi thi Anirudh tumne bahot galat kiya aaj Bondita k saath. Tumhe maafi magni hogi Anirudh Bondita se
ANI - Mein aabi Bondita se baat karta hu
YOU ARE READING
MY PAIN CANNOT BE HEALED
FanfictionSo this is the story of Anidita. It begins from the day when Anirudh married Manorama so that he can bring bondita on right path. Bondita was hurted and dead inside. Bondita was brutally tortured not physically but mentally leading her to panic atta...