part 12

501 44 4
                                    

Pehle toh thank you so much!!! Aaj third day mein hi meri story ko #1 ranking mili hai❤️ sab aaplog ke support ke vajah se... Aise hi Jude rahiye❤️ pyaar karte rahiye❤️

Ab Bina time waste kiye aage badhte hai:)

#Episode 12

HM (interrupted): Ab bas bhi kariye aaplog, rukne ka naam hi nahi lete aaplog... Uff
(The fight stops)
HM: Aaplog ka ho gya ho, toh hum ye keh rahe the ki thana dikha dete hai ab M ko..

KS: Ji MS, aao tum (referred to M)
M went behind KS and everyone else followed
KS: Pehle toh, ye hai MS ka cabin, yaha toh aap jaa hi chuki hai, aur ye hai humara desk, ye Santu ka, ye Cheeteh ka aur ye PJ ka aur tumhara desk ke liye abhi thoda arrangements karna padega, plus tumhara jab tak uniform nahi aata, tum nahi use kar sakti apna desk

M (excited): Wow, mera bhi alag desk hoga?

Everyone was smiling seeing her so excited, afterall she just entered High School, she is a kid
KS: Haa, par tab tak tum kaha baithogi vo MS batayengi

HM: Hmm, ji... Toh tab tak aap yaa toh KS ke saath unka table share karengi ya fir humare cabin mein rahengi, aur table aane ke baad bhi shayad kuch time tak ye continue rahe

SS: Par kyu MS?

HM: Kyuki hum chahte hai ye ache se observe kare sabki ko, and agar ye table pe koi kaam bhi karegi, toh inhe koi chahiye hoga jo inhe procedures bataye... Theory vali padhai toh school mein ho jaati hai, usko practically hume sikhana padega

SS: Acha acha, nice idea MS
Everyone looked at Santu
CC (whispered): Uff ye masumiyat Santu ji

HM: Ji shukriya... Aur even inko sikhane ke baad thode din tak monitor karna padega, taaki ye galtiya kare toh tabhi hum ya KS use thik karde... Ofc agar KS aapko ye thik lag raha hai?

KS: Ha MS, kyu nahi, ekdum chaukas idea hai aapka har baar ki tarah
HM smiled
HM: Aur kabhi agar hum aur KS dono busy hue, toh aap Khali nahi baithengi, SS se cyber tricks sikhengi, infact, aap Roz sabse kuch sikhne ki koshish karengi... Aur aapka regular track rakhenge iska hum
(To KS): Aap bhi dhyan rakhiyega

KS: Ji MS, aur Ama M kuch samjhi ki nahi tum?

M: Ha madam, sab samajh gyi....

KS: Badiya, chalo fir aage... (Everyone went)
Ye hai Gym room, yaha exercise kar sakti ho tum apna civil dress mein...
M smiled
PS: Has kyu rhi ho tum?

M: umm... Vo kyuki KM ne exercise bola na..

SS: Haa toh? KM bohot ache se exercise karti hai Roz

KS: thank you Santu, par humko abhi bhi kuch samajh nhi aaya

M: Haa, KM karti hongi... Par merko ekdum nahi pasand exercise karna 😂 Toh main toh nahi karti... Unless koi jabardasti karke piche padhe

SS: oh, acha

KS: Par exercise health ke liye bohot acha hota hai M, tumko bhi karna chahiye... Idhar hum sab karte hai time to time... jogging ke liye MS ke ghar ke paas ek joggers park hai, vaha jaate hai, aur baaki idhar...

CC: Pushpa ji ko chodhke😐

KS: tabhi toh golgappa ho gyi hai puri, aur unka toh umar ho gya hai na..

PS: Abhi dekha hi kya hai humne zindagi mein

SS: aur bacha bhi kya hai PJ

PJ: Ama chup Karo tum Santu

KS: Oho, humara matlab bas yehi hai ki exercise sehat ke liye bohot zaruri hai M...

HM: Haa, samjhaiye inhe kuch

KS: ha? Kya bol rhi aap MS?


Kya Mannat KS ki baat maanegi? Aage kya hoga?
Sochte rahiye...
Aaj ke liye bas itna hi, please like, comment your views and share.
Your views are very important for me.
Thank you and please ignore grammatical errors if any.

Ji, Hum Hi Hai!जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें