part 80

191 19 4
                                    

HM was about to tell M something but M smash closed the book and was in super hurry to leave but HM held her wrist before she could run away from the Hitler

HM: kaha bhaag rhi hai?

M: Areh... Karii dii ne khaane bulaya na... Chalo chalo, aap bhi chalo jaldi (said M pulling HM dramatically but HM tightened her grip on M's hand)

HM: jyada bano mat... Jo kr rhi thi vo khatam karke khaogi

M: yaar aapi... Huff (M took a long breathe and then continued while cupping HM's face with her free hand) merii pyaari aapi, aap itna kaam karti hai, itni mehnat karti hai, thaane pe, Ghar mei (signalling at the files through her eyes), pura din kaam krti hai... Toh atleast ab khaana toh garam garam khaye na, aapki mehnat ki kamai hai.... Aur vaise bhi, aap hi toh kehti hai na khaana thanda nhi khana chahiye... So chaliye

HM being confused at M was so much focused in her words that her grip losened around her wrist which was M's ultimate plan and M took this opportunity to freehold herself and run away... But she stopped infront of the gate when HM called her out

HM: areh madam, ye chp fir dinner ke baad khatam kar lena

M: ab iska din toh Aaj nahi ban payega

HM: matlab?🤔

M: matlab aapi humari khadus SHO ne itna kaam karaya ki ab hum kha ke aram karenge... Aur jaha tak baat hai padhai ki toh vo kabhi aur karenge

HM: kabhi aur kyu... Kal hi karogi

M: vo toh aap pe depend krta hai na, kis din aap merko jabardasti padhne bitha paogi...

KS: Hasiii, Mahiii... Aa jaao ama topa log, khana thanda ho raha hai

M: Hehe... Chalo tataa... Aap bhi aa jao khana thanda ho jayega Varna.... "Aayeee diii" (M responded to KS)

And M ran away

HM looked at the table which was a mess that M didn't clear and she huffed at it, also smiling

HM (to herself): alag hi praani hai ye ladki bhi na😂😂

HM cleared the table and joined the trio for dinner. They had dinner while talking and laughing. Then M and KH went to M's room and KarEena did the same.

In room:

KH: Ranveer ka kya scene hai?

M: kya scene hai matlab?

KH: areh, kal usse kaha milegi? Ek hafta milna hai na

M: uhm haa, kal ka toh soch rhi ki school ke paas chaat ya icecream kha lungi uske saath, last period bunk kar lungi, fir tu mil Lena merse and saath mei jayenge thaana... Aur by chance late hua thoda toh bol denge traffic mila hum dono ko

KH: are you sure tu bunk kar payegi?

M: mai Mannat hu, sab kr sakti hu

KH: koi aur tareeka nhi hai kya yaar? Bunk is risky

M: bhai 7 din lagatar milna hai, kuch na kuch krke karna hi hoga...

KH: tch, aur parso? 2nd day kya karegi?

M: hum dono 2nd day ko mall jayenge

KH: kya? Kyu?

M: kyuki humara Mann hai bohot din se... Tu akele ghumna, mai thodi der uske saath ghum lungi, day 2 done, aur isme toh permission bhi hogi so we are safe technically

KH: I hope, aage?

M: huf, aage pata nhi... Kaise kya karenge, day 3 ke liye kuch dhyan mei nahi aa raha

Both KH and M were thinking and KH spoke

KH: uhm, ek idea hai

M: kya?

KH: day 3 pe hum dono ka school ke baad chaat khaane ka mann hua, isliye hum late Gaye thaana

M: good idea

KH nodded

KH: day 4?

M: ek din Aisa kar sakte hai ki paas ke mele (means fair) mei jaa sakte hai, ye bol denge hum dono ko jana hai

KH: bhai lagataar 3 din hume jaane nhi milega

M: haan toh day 4 pe zaruri nhi hai jana... Plus usko filhaal backup rakhte hai, pehle 3 din toh sahi se nikle, fir dekhte hai

KH nodded

M: kya soch rhi hai

KH: tera ye Ranveer alag hi insan hai, aisi shart kon rakhta hai

M: vahi na, pata nhi kya dekh ke merko pasand aa gya tha ye

KH: shakal dekh ke, cute cute krti thi bada

M: yaar merko thodi pata tha ye sab ho jayega... I knew Hasii dii is against always with these par itna hai, ye thodi

KH: vahi na, ab is musibat ka kuch karna padhega, bas ye 7 din aram se nikal jaaye

M: han bas, fir ye Tanta hi khatam ekdum... Acha vaise mai soch rhi thi, hum kal mall ka bol de kya?

KH: kyu?

M: fir ek saath itna bahar jaane ki permission nahi mili toh

KH: par Mahi abhi puchegi kal ke liye toh bhi vo nhi maanenge, so gye honge vo dono, kal exercise ke liye uthna hai na... Abhi jaaa ke utha ke ye puchegi ki mall chale jaaye toh ye dono chalne layak nhi chodhenge

M: tch, baat toh sahi hai, subah puchlu kal?

KH: dimaag kharab hai tera?

M: arehh

KH: nhi mahi, jaisa plan hai, vahi rehen de, day 3 tak toh kr, sambhal lenge hum dono utna

M: I hope

And then with hopes of positivity in heart, the duo went to sleep.






Aajke liye bas itna hi...

Aage kya hoga?
Sochte rahiye...

Please like, comment your views and share.
Your views are very important for me.
Thank you and please ignore grammatical errors, if any.

आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछला अद्यतन: Jun 20 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

Ji, Hum Hi Hai!जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें